Untitled Part 4

234 14 1
                                    


CHAPTER 4

Acp sir walked slowly toward the peeped through the window into the fully lit icu room. He saw Abhijeet lying on the hospital bed with closed eyes . An oxygen mask was attached with his pale face . He was looking different, totally ill.

Acp sir and the team ran towards the icu room . They found Arnav standing outside the room. Before Acp sir could ask him anything, doctors came out of the room .

Acp: Kaisa hai ab woh?

Doctor: Kia main aap se akele main kuch baat kar sakta hoon. Aap mere cabin mein aajaye.

Acp: Ji .

Acp sir followed him to his cabin. Doctor asked him to sit down.

Doctor: Condition under control hai but he is not totally fine. lungs mein carbon monoxide bhar gayi thi . lekin us ke chehre aur hathoon par hatha payi ke nishan hain. Us ki shayad aag lagne se pehle kisi se larayi hui hogi.

Acp: What?

Doctor: Ji han lekin aik baat us se bhi zyada pareshan karne wali hai. His mind is totally restless. Woh kisi wajah se bahut pareshan hai aur har waqt kuch sochta rehta hai. Woh sleeping pills ka bhi bahut excessive use kar raha hai shayad jis ki wajah se us ki health par aur bura effect para hai. At this time he needs complete rest but for some reason he is lacking it? Mujhe laga ke shayad aap ko wajah pata ho is liye maine socha ke yeh baat aap se discuss karon. Kyunke aise conditions mein aksar insaan kisi aik ko hi trustworthy jaan kar ussi se apni sari problems share karta hai.

Acp: (in an inaudible voice): Shayad main wajah janta hoon. (now clearly to doctor) Main us se pochoon ga . Thank you soo much .

Doctor: Are thank you kis liye. lekin ab aap koshish ki jiye ga ke usse har kisim ke stress se dur rakhein aur us ko ab sleeping pills tu bilkul bhi mat istimal karne di jiye ga.

Acp: Ji zarur.

And Acp sir left the cabin.

Acp came to Arnav with slow steps.

Acp: Aap ke hath ab kaise han . chot zyada to nahi aayi.

Arnav: Nahi woh to bas halka phulka hath jala tha.

Acp: Aap ka bahut shukriya aap ne us ki jaan bachayi. Yeh waqai bahut bari baat hai apni jaan pe khel ke kisi ki jaan bachana.

Arnav: Are nahi . Yeh tu hum sab ka farz banta hai aik dusra ki madad karna .

Acp sir just smiled after listening that.

Acp: Acha aap ka naam Arnav hai na.

Arnav: Ji

ACP: Arnav ji aik baat bataye , jab aap wahan phaunche the tab wahan koi aur tha. Matlab koi aisa jis par aap ko shaq hua ho.

Arnav: Ji nahi. Jab main wahan phaucha tha tab wahan koi nahi tha. Woh asal mein main aksar wahan beach pe walk ke liye jata hoon. Abhi pichle hi dino meri Abhijeet se mulakat hui thi. Jab maine wahan aag lagi dekhi tu main us taraf bhaga tab mujhe laga ke shayad andar koi hai.

Acp: Matlab us waqt wahan koi nahi tha.

Arnav: Nahi.

Acp: Thank you soo much aap ne hamari itni help ki.

Arnav: Ab mein chalta hoon. Kabhi zaroorat ho tu mujhe yaad ki jiye ga.

Arnav left . Acp sir watch him go but actually his mind was racing fast. He turned to his team and said

Acp: Main aik kaam se ja raha hoon . Tum log yahin rehna aur mujhe update karte rehna .

Team: Ok sir.

AT DUO HOUSE

Daya and Suresh were enjoying their time with each other. When they heard door bell.

Suresh: Aa gaya woh. Aaj tu us ki bahut hatt rahi hogi, dekhna tappa hua hoga.

Daya: Us ke paas chabi hai. gate pe koi aur hai. Tum ruko main dekhta hoon.

Daya went towards the gate lazily . when he opened the gate he saw Acp sir standing there.

Daya: Sir aap . is waqt? kuch kaam tha kiya?

Acp:(entering inside giving a stern look to Suresh): Haan kaam tu bahut zaroori hai kisi se.(directly to Suresh) tumhari himmat kaise hui yeh sab karne ki.

Suresh: Kia?

Acp: Tumhi ne Abhijeet pe hamla karaya na. Aur us ka baad wahan aag laga di take koi saboot na mil sake.

Suresh: Aap mujh par faltu ke ilzaam na lagayein. Main ne aisa kuch nahi kiya hai.

Daya: Ji han sir. yeh aaj pura din mere sath tha.

Acp: Aise kaam koi khud kab karta hai. Is ne bhi kisi se kar waya hoga.

Suresh: Ab main yahan aur nahi ruk sakta. (while leaving) Aur haan sir . us ko bata di jiye ga ke us ke lagaye hua faltu ilzaamon se main darne wala nahi.(and he left the place).

Daya:(clapping) Wah sir wah. matlab us ki baton par tu aap aankhein band kar ke yaqeen kar lete hain aur hum sab yahan bewakoof bethe hain.

Acp: Daya mujhe tum se yeh umeed nahi thi. hum ne tumhein kitni calls ki lekin tum ne kisi ka phone nahi uthaya.

Daya:(carelessly) Phone switched of tha.

Acp: Tumhein chutti di thi is ka yeh matlab nahi ke tum bilkul hi farigh ho gaye.

Daya: kitni fikar hai na aap ko us ki . sirf ussi ka khayal hai.

Acp: Daya tum aisa ab se sochne lage.

Daya: Main aisa kabhi bhi nahi sochta tha. (pointing towards him) aap logon ne sochne par majboor kiya. Kisi ne mujh se aake yeh nahi pocha ke tumhein kaisa lag raha hai (stressing on his words) demote ho kar. Kaisa lag raha hai mujhe jab mere se junior jo log the woh ab mujhe mere naam se bula sakte hain kyunke woh meri jagah promote nahi , main un ki jagah demote hua hoon. Sab ko ussi ki fikr hai ke kahin usse koi taklif na ho.(His voice was raising with every passing moment) Aap ne dekha nahi kaise us ne meri ghaltiyon ko cash karaya. (laughing sarcastically) kyun dekhein ge. aap ki tu jaan basti hai na us me.

Acp:(angrily) Apni awaz neeche rakho. Aur aik baa kaan khol kar sun lo. Maine tum mein aur us me kabhi farq nahi kiya. Agar dill chahe tu us se milne aa jana . majboor nahi karun ga tumhein.

Saying that he left the place.

A/N: Hello every one. First of all i am reallyvery sorry for being late. actually i am busy with my new college . and ialways try to give my best to you people . 

Do read and review 


You are the reasonWhere stories live. Discover now