Untitled Part 5

227 14 1
                                    

CHAPTER 5

THE NEXT DAY

The room was silent apart from his heavy breathing and the beep beep sound that was indicating he was alive. He slowly opened his eyes, squinting in attempt to sharpen the blurred images before him. He glanced around and look in the deserted, blue and white color schemed hospital bedroom. He shut his eyes , trying to remember what had happened exactly . He was collecting his thoughts when he saw Acp sir along with the doctor and the rest of the team entering inside.

Doctor: Ab kaisa feel kar rahe ho ?

Abhijeet: (weakly) Better.

Doctor: Kahin pain tu nahi ho raha.

Abhijeet simply nod his head in no.

Acp: (with a smile on his face) Ab tum mujhe at least 2 weeks se pehle bureau ke aas paas bhi nazar na aana.

Freddy: Han sir aap bas jaldi se theek ho kar wapis aa jayien.

He passed a fake smile to him but actually his eyes were searching someone else. The little hope in his heart was now fading. He looked towards Acp sir but his downward gaze clear the clouds.

Ab tum hospital ke aas paas nazar bhi na aana..............

Bhai ab tum hospital se break up kar bhi lo..............

Han bhai tum tu superman ho na .tumhein kahan chot lagti hai.....................

He was not believing that Daya ,his friend cum brother who always cares him alot, always thinks about him first , didn't even came to ask him how is he? In what condition he is? whether he is alive or dead? those questions were stressing him alot. He was blankly looking towards his team . He really want them to leave so he could cry on his fate, which separated them so badly that now there is no going back.

Acp understands his condition so he said to his team

Acp: Tum log chalo. Us ko rest karne do.

The team left with good wishes for him.

Acp: Dekho Abhijeet main....(he was interrupted by Abhijeet)

Abhijeet: Mujhe pata chal gaya how important I am? Woh shayad meri ghalat fehmi thi jo mujhe laga ke main Daya ke liye sab se important hoon.

With that he turned his face to the other side to hide his tears . Acp sir waits there for sometime than he also left the place.

AT DUO HOUSE

Daya: Kia mujhe us se milne jana chahiye?

Suresh: Kaise fuzool baatein kar rahe ho yaar. Tum abhi tak us ke game ko samjhe nahi. Mujhe yaqeen hai ke ye sab us ne apne sath khud kar waya hoga ta ke tum us ke paas jao ,wo tumhein thora sa emotional blackmail kare aur sab kuch pehle jaisa ho jaye. Tum yeh mat bholo ke ye wahi insaan hai jis ki wajah se aaj tum aik junior officer ki post par ho. He betrayed you than why are you dying to meet him?

Daya:(angrily) Tum theek keh rahe ho. Us ne hamari itne saal ki dosti ka hi lehaaz nahi kiya. nafrat karta hoon main us se. Bhala aise hote hain dost

Suresh: (dramatically) Woh dosti nahi thi Daya , Woh aik jaal tha jis mein tum itne buri tarah ulajh gaye , aur woh tumhein is dosti ke jaal mein phansa kar aage nikal gaya. Tum bahut bewakoof ho aur woh intihia chalak. Us ne tumhein sahi se istemaal kiya.

Daya: Par aisa hamesha mere sath hi kyun hota hai.

Suresh: (looking at him keenly) Tum logon ko pehchanne main bahut bari ghalti karte ho.(in a meaningful way) tumhein tu yahi nahi andaza hota ke kaun sahi hai aur kaun ghalat.

Daya: Tum theek keh rahe ho.

Suresh: Acha kuch khane ko hai tu do bahut tez bhook lag rahi hai.

AT AN UNKNOWN PLACE

Person: Bhai hum pakre tu nahi jayein ge na .

Bhai: Kaisi baatein karte ho . munh se shudh shudh alfaaz nikala karo. Is waqt shatranj ki baazi mere haath mein hai. Wahi hoga jo main chaahoon ga.

Voice: Jaisa tum chahte ho waisa kuch bhi nahi hoga.

He arrogantly moved towards the man who was brutally tied with ropes. He held him by his chin and said

Bhai: Tere tu main bas sathi ke aane ka intezar kar raha hoon warna tu main tumhein kab ka oper phauncha choka hota. Aisi planning to tu marne ke baad bhi nahi kar sakta.

Voice: Tum hum cid waalon ko jaante nahi ho.

Bhai: Sab ko janta hoon main. Aur main yeh bhi janta hoon ke is waqt baazi mere hath mein hai.(and he started laughing like a mad person)

AT HOSPITAL

Abhijeet: Sir Arnav ji ke hathoon par zyada chot tu nahi aayi thi.

Acp: Han thore thore hath jale the lekin ab kafi behtar hain. Unhoon ne bataya ke woh tum se pehle bhi mil chuke hain.

Abhijeet: Ji sir woh jis din main Suresh se lar kar bureau se chala gaya tha us din beach par meri un se mulakat hui thi. Kafi ache insaan hain.

Acp: Han aur bahadur bhi. Unhoon ne bataya ke jab unhein us aag wale ghar se kisi ke chilane ki awaz aayi tab woh us taraf bhaage tu wahan tum the. Apni jaan pe khel kar aaj kal kaun kisi ki madad karta hai.(after a pause) Ab tum aik baat batao tum sleeping pills bhi istemaal karte ho.

Their conversation was interrupted as they saw Tarika entering inside.

Acp: Are Tarika aao.

Tarika: Maine disturb tu nahi kiya na.

Acp: Nahi tu.

Tarika: (to Abhijeet) Tum kaise ho. Yaqeenan kaho ge ke theek hoon hai na. Agar us din tum meri baat sun lete tu aaj ye na hota. Main keh rahi thi ke mere sath chal lo lekin tumhein tu wahan pata nahi kya karna tha.

Acp: Tum us din is ke saath thin.

Tarika narrates him the whole story .

Acp:(to Abhijeet) Kyun roke the tum wahan par.

Abhijeet: Sir ghar par yaqeenan Suresh hota aur mera us se phir jhagra hota bas isi liye nahi gaya tha.

Both Acp and Tarika shared a sad glance.

A/N: Hey guys. I am extremely sorry for a lateupdate. but i will try my best to update soon from now. Thank you to all myreaders 

You are the reasonWhere stories live. Discover now