"Maa...Papa...mera sapna kavi banne ka hai aur yeh sapna aaj se nahi jab hum class 6 mein the naa tab se hi hai. Pehle to bas shauk se hi start hua tha, fir kab naa dheere-dheere sapna ban gaya yeh shayri likhte-likhte, shayri ki kitaab , kavita ki kitaab aap dono se chhupa karke padhte-padhte dilchaspi aa gayi aur humko issmein itni gehraai dikhne lag gayi naa ki humko to khud pata nahi chala yeh dilchaspi kab mera sapna banke mere sar pe sawaar ho gayi, mere sapna hai yeh maa...papa ,
hum bahut dare hain batane se humko maaf kijiyega aap dono par aap to samajh sakte hain naa? Sapna ko poora karne mein saath dijiye papa... maa. Aap dono humesha har paristhitiyon mein mera saath dete aaye hain mera khwaab hai aur aap dono ke khushi ke saath hi poora karna chahte hain hum.
Bas humko aap dono ki manzoori aur aashirvaad chahiye bas🙏🙏.Sukhdev (haste hue) - "Humko laga hi tha hai tum mein bhi woh cheez jo tumhare baap mein thi. Haan, aise kya dekh rahe ho?
Hum bhi shayari aur kavita likkha karte the beta tumhare hi umar mein aur ab bhi likh lete hain kabhi-kabhi. Sumitra dekh rahi ho naa hum bole the naa ek baar tumko ki humko pata nahi kaahe humare bete mein shayar jhalakta hai, dekhi naa? Mera beta tum mere pe gaya hai.
Sumitra tum maano naa maano beta humara mere pe hi jyada gaya hai, hahahhahahaha.
Aur tum darrta kaahe hai, apne maa-baap se itna darega tum? Itna samjhaye- bujhaye, girte waqt mein itna uthaayein hain aur tum humse darega beta? Humdono se ? Yahi sila dega beta tum?"Saahil- "Kya karein papa hum to darr hi gaye the aap to jaante hi hain naa mera yeh darr ka problem, humko laga maniyega ki nahi ya naraz ho jaiyega, bas yahi darr tha papa."
Sukhdev- "Apne baap se to itna mat hi daro tum dost hain tumhare papa tumhare.
Aur tumko shayari aur kavitaon mein hi ruchi hai naa, likho beta aur humko sunaao aur jo likhe hue bhi ho usko bhi sunaao, hum bhi to dekhe apne bete ka lekhan. Par beta abhi paristhiti ke anukul chalo dekho final year hai, likho shayari-kavita par beta iss chakkar mein padhai ko mat kam kar dena. Dekho hum samajh gayein hain ki itne din se saal se sapna hai yeh tumhara aur uske saath-saath hi result bhi laaye ho achcha ab humko itna bhi samajh mein aa gaya hai yeh bhi hai support system tumhara , jaadoo hi hai to tumhara yeh aur isko tum kabhi zindagi mein chhorna bhi mat, kabhi nahi aur hum kahenge bhi nahi chhodne lekin beta samajhte ho naa? Itna mehnat karke itne upar ki chadhaai kiye ho aur final year bhi hai, hai naa? Ab beta itne upar aa kar gir jaoge to beta muskil to ho hi jaega naa, samajh rahe ho naa baat ko? Abhi padho thoda dhyaan lagake aur shayari wagerah likhna chhodo bhi mat bas itna keh rahein hain ki saal bahut mahatvapurn hai iss mein jyada dhyaan do abhi usmein itna bhi mat doob jaao bas."