7. Izhaar E Ishq ❤+❤

1 0 0
                                    

Kuch 1 mahine hi hue the Saahil aur Saanvi ko baat karte-karte aur dono ki yeh aadat mein shaamil ho gaya tha. Baat pehle instagram message se shuru hui thi, fir woh baatein roj-roj ghanton Instagram chats pe hone lagi aur fir baatein chats se phone calls pe pahunch gayi aur aaj woh milne waale the.

Aur fir dono  Café Coffee Day (Connaught Place) mein pahunche.
Saanvi - Hiiiiii....
Saahil ( Sharmaate hue)- "Hi"
Saanvi - Hi bolne mein kaisi sharmindagi shayar sahab?
Saahil - Arre, Pehli baar kisi ladki se mil raha hoon to ho jaata hai thoda, nervousness type...
Saanvi (Chidhdhate hue)- To fir interview start karein?
Saahil(hairan)- Matlab???
Saanvi(Chidhdhate hue)- Tum hi naa feel kar rahe Nervousness type?
Saahil- Tum naa Saanvi... sach mein pagal ho.
Saanvi- Aur tum? Sharmaati dulhan, haan? Hahahaha.
Saahil- Tum nahi sudhrogi.
Saanvi- You are right, daddu.
Saahil- Arre, bas bhai aur shy feel karwa rahi tum to.
Saanvi- Pagal, sharmaate kyun ho itna? Ladkewaale thodi dekhne aaye hain tumko, hahahaha...
Saahil- Saanvi yaar...
Saanvi- Saahil yaar...
Saahil- Yaar, tum paas rehna humesha.
Saanvi- One second, If I'm not wrong yeh sharmeeli dulhan ne hi naa kaha?
Saahil- Nahin, aapke Shayar Sahab ne kaha.
Saanvi- Ahemm...Ahemm...Ladka line pe aa raha, haha.
Saahil- Beshak, hahahaha
Saanvi(Chidhti hui)- Saahil...
Saahil- Saanvi...
Saanvi- Chup!
Saahil- Woh to nahi honewala main, hum aapke Shayar Sahab jo thehre.
Saanvi(Sharmaate hue)- Saahil... tum bhi naa
Saahil- Ab tum sharmeeli dulhan, hahahahaha.
Saanvi (Sharmate hue)- Saahil...chup naa...
Saahil- Naah... dulhan ho to aisi.
Saanvi- Tum ab flirt kar rahe ho.
Saahil- Flirt to nahi hai, for sure.
Saanvi(taalte hue)- Achcha batao tum kyun milna chahte the mujhse.
Saahil- Jis wajah se tum milna chah rahi thi.
Saanvi- Matlab?
Saahil- Itni baat karte the roj ke roj to milne ki ichcha to hoti hi hai naa.
Saanvi- Haan... right.
Saahil- Kuch order kiya jaaye.
Saanvi- Haanji, Shayar sahab.

Aur fir aise hi dono ki baatein hone lagi,
Aur Saahil ko kuch apnapan jaise mehsoos hone laga aur iss mulaqat ke baad dono kaafi nazdik bhi hone lage the aur woh har hafte mein shanivaar (saturday) ko milne lage the.

Saahil ab Saanvi ke liye kuch alag hi mehsoos karne laga tha, Koi apne jaisa
Saahil samajh nahi paa raha tha ki use Saanvi ko lekar kuch alag sa hi ehsaas hone laga tha.

Saanvi ko ab har shanivaar (saturday) ka intezar rehne laga tha aur Saanvi ko bhi Saahil ke saath kaafi apnapan mehsoos hone laga tha.
Koi apne jaisa❤.
Par Saanvi Saahil ko apna ek achcha dost samajhti thi bas.

Saanvi ko shayari aur kavitaon mein kaafi jyada dilchaspi thi aur Saahil use har roj shayari sunaya karta tha aur Saanvi shayari ko apne diary mein likh liya karti thi.

Ab dono ko ek dusre ki aadat kuch jyada hone lagi thi aur ab to kabhi-kabhi safte mein samay nikaal mil liya karte the. Saahil ki adhoori zindagi ab poorie si hone lagi thi. Woh ab khush ho kar jeene laga tha aur ab to woh apne padosiyon se bhi baat karne laga tha aur kaafi jyada khush rehne laga tha.

Aur Saahil apne sapne ko poora karne ke liye bhi kaafi jyada mehnat karne laga tha, Shayad Saanvi ne zindagi hi badal thi Saahil ki, nahi to kuch mahine pahle woh to kaafi toota hua aur bikhra hua tha.

Saahil ab Saanvi ke liye kuch jyada hi alag sa ehsaas karne laga tha par ab tak woh pyar ko samjha nahi tha use lagta tha jaise use kabhi pyar hoga hi nahi par ab use aisa mehsoos hua par use aisa sochne mein ajeeb sa laga ki aisa nahi ho sakta hai aur use pyar nahi ho sakta hai woh dono bas achche dost hai aur ab Saahil khud ko yeh samjhane laga.

Par pyar ki ehsaas rukti kahan hai woh ehsaas dheere-dheere badhne lagi thi aur Saahil ko kaafi hi sukoon milne laga tha Saanvi ke saath aur Saanvi bhi humesha Saahil se milne ka mauka dhhundhti rehti thi par woh ab bhi use ek achcha dost hi maanti thi bas lekin use Saahil ke saath rehna kaafi pasand hone laga tha aur ab to woh Saahil ko din mein kabhi bhi call kar liya karti thi.
Par Saahil Saanvi ke liye kuch ehsaas to karne hi laga tha par apne sapne apne practice ke bich jo woh khud hi ghar mein karne laga tha kyunki woh samajh gaya tha ki sapna dekhna aur poora karna  dono mein fark hota hai  aur sapne ko poora karne keliye kadi mehnat lagti hai aur Saahil jab bhi practice karta woh apne phone ko silent kar liya karta tha aur practice ke waqt woh apna dhyaan bilkul bhatakne nahi deta tha Saahil kaafi majboot iraade ka ladka tha.

ROOHANIYATWhere stories live. Discover now