2.KOSHISHEIN JAARI HAIN.

7 0 0
                                    

To Saahil ne chhallang maar hi li aur khud ke darr se lad ek aur kadam aage badh gaya waise hi junoon ko saath liye.

To ab Saahil vidyalaya ke manzil ko paa kar mahavidyalaya ke safar ko nikal pada tha.
Saahil ab ek Isc. student hai.
Ussne apna pravesh(admission) Anand Roy Mahavidyalaya ( A.R College) sarkari mahavidyalaya mein karwa liya tha.

To dusri taraf Saahil ki jigyaasa shaayari aur kavitaon ki ore kaafi badhne lagi thi.
Haalanki, usne apne maata-peeta ko apni ruchi abhi batayi nahi thi par ab to woh chupke-chupke shayaarion aur kavitaon ki kitabein bhi kharidne laga aur chhupa kar rakhne laga tha kyunki Saahil darrta tha ki kahin uske maata-peeta uske iss ruchi ko mana naa kar dein bas iss hi ek wajah se saahil darrta tha apne maata-peeta ko apni ruchi batane se.

Vidyalaya ke samay mein Saahil ke dost to rahe hi the par ussne jyada bhi gehri dosti kisi se nahi ki thi woh bas jyadatar apni padhai mein magan rehta tha aur uske liye uske sab kuch usske maata-peeta yaani sukhdev jee aur sumitra jee hi the.

Haan cricket mein ruchi hone ke kaaran woh maidaan mein apne kuch vidyalaya ke mitron ke paas khelne jaata tha, use cricket mein kaafi ruchi thi aur ab bhi hai. Padhai aur lekhan ke bina agar Saahil ko kisi cheez mein dilchaspi thi toh woh cheez thi cricket match dekhna aur cricket khelna.

Haalanki, vidyalaya mein to Saahil ki kuch khaas gehri dosti nahi hui par mahavidyalaya mein use ek dost mila Mridul Kaushik, unki baatein mahavidyalaya ke pehle din se hi shuru ho gayi thi pehle kuch din thodi baatein ho jaaya karti thi jaise ki namaste namaskar ya fir madhyantar (lunch break) ke waqt baatein hoti thi aur dono hi achche vidyarthi the.
Iss tarah baatein karte-karte kab unki dosti ho gayi unhe khud pata naa chala aur fir woh saath bench par bhi baithne lage, saath aana-jaana karna, madhyahn (lunch) saath karna, hasna-hasana aur kabhi-kabhi ek dusre ke ghar jaa kar padhai bhi saath karna yeh sab hone laga. Wo achche dost the par achanak se hi unki yeh dosti badi gehri hone lagi.
Mridul ke peeta Jaban Kaushik ek bade vyapari the.
Woh ek bade johri( jeweller) the aur Saahil ke peeta peshkar( court clerk ) aur Saahil ki maata shikshika (tutor) thi par peshe se unke sambandh mein koi khatas nahi thi balki Mridul ke peeta Saahil ko bahut hi pyar karte the aur bahut hi maante the, woh use bahut hi pratibhashali samajhte the aur Jaban Kaushik Jee (Mridul ke peeta) ko Saahil se baat karna atyadhik pasand tha issliye woh kabhi-kabhi to Saahil ko apne vyapar sthan pe bhi bula liya karte the. Jaban Jee humesha hi Saahil ko samjhaya karte the ki apni pratibha pe kabhi shak mat karna warna zindagi bahut kathinayi se beetegi kaafi kathin zindagi ho jaegi.
Khud se pyar karna sikho khud ko swikaarna sikho. Aur yeh kami bhi thi Saahil mein woh bhale hi pratibhashali tha par use uske pratibha pe shak tha shayad yeh ek aur bhi kaaran ho sakta hai ki Saahil ne apni ruchi yaani ki Kavi banne ki chahat ka zikr apne maata-peeta se nahin kiya tha. Aur shayad tab Saahil mein uski kavitaon mein kaafi kamiyaan bhi thi aur jisse ki woh awgat(aware) tha.

Saahil apni ruchi Mridul ke Peeta Johri Jaban Jee ko batana chahta tha, use uss waqt ek samarthan ki bahut zarurat thi aur kyunki Saahil apne maata-peeta ke baad apna dusra parivaar bhi Jaban Jee aur unke bete Saahil ke dost Mridul ko maanta tha.

Ab mahavidyalaya mein pravesh kiye hue Saahil ko 1 saal ho gaye the aur Saahil ka dhyaan kavitaon ke taraf to kheencha jaa raha tha par Saahil ab bhi ek pratibhashali vidyarthi tha aur saath hi woh apne class ke achche vidhyarthiyon mein maane jaane waala ladka tha jismein ki mridul bhi shamil tha par dono mein ek dusre ke prati jalan naam ki koi cheez hi nahi thi.

Ab aa gaya tha gyarvi ki pariksha ka samay aur Saahil shikshak-shikshikaon ka priya vidyarthi ho gaya tha aur mahavidyalaya mein uski izzat bhi kaafi thi kyonki ek toh woh achcha vidyarthi to tha hi aur saath mein kaafi vinamr ladka bhi tha.

Gyarvi ki pariksha ke liye Saahil aur Mridul ne din-raat ek kar diye the unka dhyaan kaafi kendrit tha unke lakshya ki ore.

Aur ab shuruaat hui gyarvi ki pariksha aur jiske liye Saahil ki KOSHISHEIN JAARI THI.
Pariksha samapt hote hi Saahil apni kamzori pe aa gaya uska darr fir use satane laga aur woh bewajah ki chintaon mein fir se ulajhne lag gaya.

ROOHANIYATWhere stories live. Discover now