Isme mujhe koi vote nahi chahiye koi comment bhi nahi chahiye ye mere dil ki aawaj hai jo kehne se khud ko rokna mushkil ho gaya agar aap meri baat se agree ho tag your friends taki un tak bhi meri awaz pahuche
kal se mere jehan me sirf ek baat aa rahi kya kisi ka gunaah ye hai ki wo ek ladaki hai aaj ye kaisa samaj hai jaha na 6maheene ki bachchi safe hai na 60 saal ke bhujurg mahila kal phir ek lady Dr ke sath sarmsaar kar dene wali ghatna ghati phir se maa bharti ka dil roya hoga phir se har ladaki kal ke baad ghar se bahar jaane me dar mehsoos kar rahi hogi akhir kab tak kab tak? mata pita apni ladakiyo se to saikdo sawal puchte hai jab wo ghar se bahar kadam rakhti hai par kabhi unhone apne beto se puchne ki himmat ki ki kaha ja rahe ho kyon ja rahe ho kab lautoge kaum dost hai nahi kyon? akhir jin logon ne is ghatna ko anjaam diya wo kisi ke bete to honge humare samaj ko betiyon se kahi adhik beto pe dhyaan dene ki jarurat hai ki wo kya kar rahe unki sangati kaisi hai galti samaj ki hai jo ek rapist ko to apna lete par us masoom ladaki ko nahi apnata jiska koi kasoor bhi nahi hota arre samaj chodo uska khud ka parivaar bhi shayad nahi apnata aaj log kehte kanoon sakht karo fasi do but mera manna hai jab tak samaj ke gandi soch humari bahu betiyon ki taraf nahi badlegi jab tak samaj apne beto ko ye soch nahi dega ki ladaki koi bhog ki vastu nahi wo bhe insaan hai kisi ki beti hai kisi ki behan hai aaj jo tum uske sath karoge kal tumhare parivaar ki beti ya behan ke sath wahi hoga ye shuruaat kahi na kahi se to honi chahiye ladakiyon ko darna nahi balki himmat se mukawala karna chahiye aisi ghatiya soch se koi bhi ladaki shiksha se banchit na ho sarkari school me ladakiyon ke liye muft aatmraksha ke liye caurse hona chahiye mere khyaal se sabko iski jarurat hai taki apni raksha kar sake is dil dehla dene wali ghatna se darna nahi hume khud ko mehfoos banana hoga i wish ki main dekh saku aise samaj ko jaha ladakiyan surakhshit ho andhera hone se pehle ghar jaane ki ke liye apna kaam na chode. padhe likhe aur aange bade kya hoga mera aur maa bharti ka ye sapna pura? 😢😢😢😢😢😢😢😢
sorry reader its not a UD khud ki baat aap tak pahuchaani thi agar meri baat kisi ek ki bhi soch badalti hai kisi ek ko bhi himmat deti hai to i think isse badi mere liye koi baat nahi hogi ek ant nahi aarambh hai ye ladayi hume badi lambi ladani hai to daro nahi utho lado aur ek din jeeto humare hoslo ki udaan kamjor nahi shere this with your friends ✊✊✊✊✊✊
ek sarahniya kadam police dwara
its 11 : 30 aur holiday ke din aaj maine aakh kholi aur moblie check kiya to ek sukoon mehsoos hua ye khabar dekh ke ki jis ghatna ko un darindo ne anzaam diya aaj unka anjaam pura desh dekh raha hai paap ka yahi ant hota hai yug koi bhi ho jeetta ant me dharm aur satya hi hai wo baat alag hai ki sach ko lambi ladayi ladani padati mujhe sukoon hua ki desh ki beti ko aaj finally insaaf mila haidrabaad police ko mera salam main unke is kadam ke saath hoon unhone jo kiya bilkul sahi kiya aaj maa bharti ke dil ko jarur sukoon hua aur shayad aap logon ko par ye sirf shuruaat hai mujhe wo din dekhna hai jab aise darinde aisa karne se pehle apne anjaam ko soch ke kaap jaaye aaj mujhe sukoon mila aur aapko ?
YOU ARE READING
Ae watan(jonoon mera) left right left
RomanceWinner of Fantastic Awards 2010 Highly rank # 1in suspence lovestory start in sep 14 sep 2018 a Ravi story with different concept of Ravi as a friend and his strong friendship bond ek aisi dosti jaha ek dusre ke liye kuch bhi karne ko ready apne...