Main Paishawar Faraibi Hoon , Mohabbat Kar Nahi Sakta
Faqat Lafzi Mohabbat Hai Main Tum Pe Mar Nahi Sakta
Mohabbat Ki Musafat Ne Bahut Zakhmi Kiya Mujh Ko
Abhi Yeh Zakhm Bharne Hain, Main Aahen Bhar Nahi Sakta
Bhale Tum Ne Nahi Chaha , Magar Mein Ne To Chaha Hai
Tumhari Yaad Ko Dil Se bhi Baahir Kar Nahi Sakta
Aray Oh Ishq !!! Chal Jaa Kam Kar, Kis Ko Bulata Hai ?
Husn Bazar Main Bikta Hai , Sooli Charh Nahi Sakta
Yahan Har Aik Chehray Par Alag Tehreer Likhi Hay
Meri Aankhon Main Aansoo Hain , Abhi Kuch Padh Nahi Sakta
Main Apni Raat Ki Zulfon Main Khud Chaandi Sajata Hoon
Main Uski Maang Main Waadon Ke Heeray Jarr Nahi Sakta
Main Us Ghar Ka Muqeemi Hoon Jisay Oqat Kehte Hain
Main apni hadd mein rehta hun, sou aagey barh nahi sakta
Muhabbat? aisa jazba hai jo jannat se utaara gya hai. yeh woh wahid jazba hai jo agr sacha ho toh woh khalla jissay insaan bharney kay lye saari zindagi safar krta bhatakta hai, usaay poora kar deti hai. mein aaj tk samjh nahi paayi loug muhabbat ko define ya explain kese kr sktey hain yeh toh aisa jazbaa hai jo bas rooh se rooh hi samjh sakti. yeh jarro ki trha apki raggo mein phailta hai aur khoon ki trha andar dorhta hai. insaan kay saath bas masla yhaan hua kay woh jannat ka jazba le kar duniya mein jannat bnaney chala hai. na mumkin! yhan takleef hai, dard hain, visaal hai, lekin jo asmaano pe likhay gye hotay hain woh ek dusrey kay hi rehtey hain, hamesha! bashart yeh kay muhabbat rooh se ho, shakal ya jism se nahi.
YOU ARE READING
RANJISH HI SAHI [𝕮𝖔𝖒𝖕𝖑𝖊𝖙𝖊𝖉]
Spiritualتم سے رنجش بھی ہے اختلاف بھی اور کچھ ع ش ق بھی ᴍᴀɴʏ ʟɪᴠᴇs ᴇɴᴛᴀɢʟᴇᴅ ᴛᴏɢᴇᴛʜᴇʀ; ᴇxᴘᴇʀɪᴇɴᴄɪɴɢ ʙᴏɴᴅs, ᴀᴅᴠᴇɴᴛᴜʀᴇs, ғᴜɴ, ʟᴏᴠᴇ, ᴘʀᴏᴍɪsᴇs ᴀɴᴅ ʜᴇᴀʀᴛʙʀᴇᴀᴋs. ᴡʜᴏ ᴡɪʟʟ ᴡɪɴ? ʜᴜʀᴛ? ᴛʀᴜsᴛ? ʟᴏᴠᴇ? ꧁ʙᴏᴏᴋ ɪs ɪɴ ᴇɴɢʟɪsʜ ᴡɪᴛʜ ʀᴏᴍᴀɴ ᴜʀᴅᴜ ᴛᴏᴜᴄʜ (ᴀs ʏᴏᴜ sᴇᴇ ɪɴ ᴛɪᴛʟᴇ ᴀɴᴅ ᴅ...