Kareena asks Karan to go to his room to get ready and she asks Sherlyn to get Mahira ready for the marriage.
Karan's room.
Karan was lost in Preeta's thoughts. Recalling every moment he had spent with her.
Kyun mera dil kehta hai ki tum nirdosh ho jabki mera dimaag kehta hai ki tum galat ho...kyun mera dil yeh nahi manta ki tum kisi ke saath kuch galat kar sakti ho...mere dil aur dimaag ki iss jang mein kyun humesha mera dil jeet jata hai...kyun Preeta Arora aisa kyun hota hai!! +
Just then Rishabh enters the room.
Rishabh: Karan, tu abhi tak tayaar nahi hua? Kya baat hai? Kahi aisa toh nahi ki tujhe yeh shaadi hi nahi karni?
Karan didn't say anything.
Teri iss chupi ne mujhe sabh bata Diya, Karan. Aur agar tu nahi chahta ki yeh shaadi ho...toh mein yeh shaadi nahi hone dunga...I promise, mere chhote bhai...
Rishabh left the room asking Karan to get ready for the marriage.
Arora house.
Preeta was sitting on the bed, numb. Shrishti enters the room and looks at Preeta, with tears in her eyes.
Mein di ko iss haal mein nahi dekh sakti. Mujhe kuch toh karna hoga.
Preeta notices Shrishti and asks her to come near her.
Preeta: Kya hua tujhe Shrishti?
Shrishti: Yeh toh aap batayi na di, kya hua aapko? Kabse mein dekh rahi hu...aap bas apne khayalon mein khoyi huyi hai...agar Karan sir se itna pyaar karti hai toh jaake yeh shaadi rukwa dijiye. Aap Karan sir ki patni hai aur aapke hote huye woh kisi aur se shaadi kaise kar sakte hai di!!
Preeta: Chup kar Shrishti! Tujhe pata bhi hai, tu kya bol rahi hai. Please jaa yaha se mera sir already dukh raha hai tu aur mat paka.
Shrishti: Par di, mein toh bas....
Preeta (angry): Bas! kuch nahi kahegi tu kyun ki tu galat hai!!
Then suddenly they hear a voice.
Voice 1: Kya galat keh rahi hai woh? Sahi toh keh rahi hai...aapke hote Karan bhai kisi aur se shaadi kaise kar sakte hai!!
Shrishti (with tears in her eyes): Sammy, tum...
Sameer smiles seeing her. Then they hear another voice.
Voice 2: Please Preeta baat ko samjho... bhai abhi gusse mein hai isliye yeh shaadi kar rahe hai...par tum toh samajhdaari se kaam lo...Pyaar mein yahi hota hai...agar ek galti kare, toh dusra uski galtiyan sudhare...Tumne ek galti ki thi, Prithvi se shaadi ke liye haan karke, jo bhai ne sudhardi...ab bhai ek galti karne jaa rahe hai aur ab iss galti ko sudharne ki baari tumhari hai...
Preeta smiles seeing Kritika.
Preeta: Par Kritika tum toh jaanti hona Karan mujhse kitni nafrat karta hai...
Shrishti: Nahi di, Karan sir aapse bohot pyaar karte hai...
Sameer: Haan Preeta, Karan bhai abhi bas thode gusse mein hai...