Rishabh - Lavanya tum hosh mein tou ho mana k maine tumhara yakeen toda hai par tum jo bol rahi ho vo main nahi kar sakta.
Karan - Bhai yakeen tune nahi isne toda hai hum sabko dhokha diya hai.
Lavanya - Kya bakwas kar rahe ho? Konsa dhokha? Kaisa dhokha? Dhokha tou mere sath hua hai.
Karan - Zyada anjaan ban ne ki koshish mat karo main sab janta hu mujhey sammy ne sab bata diya.
Lavanya - Bakwas band karo tum.
she raised her hand to slap karan but Rishabh held her hand.
Rishabh - Lavanya!!(He Shouted)
Band karo ye tumhari himmat kaisey hui mere bhai par hath uthane ki?Lavanya - Ohh!! Tou apne bhai ki itni fikr hai tumhey or mera kya?
Karan - Main batata hu!! Kya? Rishabh, Preeta ka accident hua nahi karwaya gaya tha.
Rishabh - What??
Karan - Haan, Or vo Accident kisi aur ne nahi Lavanya ne karwaya tha.
Rishabh was shocked and could'nt able to believe that lavanya did this.
Rishabh - Karan tu kya bol raha hai tujhey pata bhi hai? Lavanya aisa kyu karegi.
Karan - Bhai meri baat par yakeen kar sammy ne isko khud call pe baat karte hue suna tha k preeta ko mar do.
Sameer - Haan bhai Karan bhai theek bol rahe hain maine khud suna tha ye bol rahi thi k preeta ko rastey se hata do aur vo ap dono k beech mein aa rahi hai maine apko aur karan bhai ko batane k liye call bhi lagaya tha but kisi ne call nahi uthaya.
Rishabh - Kya ye sach hai lavanya? Main kuch pooch raha hu kya se sach hai? Agar main tumhare liye zara bhi mayne rakhta hu tou bolo(He shouted)
Lavanaya - Haan ye sach hai maine hi uska accident karwaya maine usko pehle bhi warning di thi but usne nahi suna mere pas aur koi rasta nahi tha.
Rishabh was shattered after knowing this.
Rishabh - Maine tumsey ye expect nahi kiya tha Lavanya aaj tumne mera yakeen tod diya.
Lavanaya - Rishabh meri baat suno.
Rishabh - Ek lafz aur nahi chali jao yha se mujhey tumhara chehra tak nahi dekhna chali jao.
Lavanaya - Rishabh, I'm Sorry.
Rishabh - Nahi chahiye tumhari maafi just get out.
Lavanaya left the house in anger
Karan hugged Rishabh
Karan - Bhai ab sab theek hai... Vaisey tu kuch bhul nahi raha.
Rishabh - Kya?
Karan - Preeta, Usko ghar nahi lana kya?
Rishabh - Yaad hai usko kaisey bhul sakta hu.
Rakhi - Puttar tu jaa Preeta ko lekar aa main greh paravesh ki tayyari karti hu.
Everyone decorated the house with flowers and Rishabh took Preeta to Luthra House.
Rakhi - Aao Preeta absey ye ghar tumhara hai.
She took everyone's blessings
On the other hand Lavanaya was shouting throwing and breaking things in her room.
Lavanaya - Main tumhey chordungi nahi Preeta aaj tumhari wajah se mera Rishabh mujhsey door ho gya meri zindagi mein aag lagakar main tumhey bhi khush nahi rehne dungi.
Main tumhey barbaad kar dungi.
आप पढ़ रहे हैं
RISHTA FF || ROOH - E - MOHOBBAT
FanfictionA Love story of two friends Rishabh and Preeta!! Read the story to know how destiny bring them together!!❤