friendship

28 1 0
                                    

Friendship

" hazim .. uth jay .. ap late ho rhay hai baba ne aaj ap up office bulaya hai " falak ne usee utaya .

" hmmm ! Uth rha hu .. Or aaj mein kawab dekh rha hu .. k tum mujhe kud utaa rhi ho " hazim ne ankhee band kiye hue kaha

" nahi .. hakikat hai .. uth jay or ankhee kholee " falak ne chir k kaha

"Nahi .. mein nahi khol rha ... mein ankhey kholu ga to yeh kawab tooth jay ga .." hazim ne zidi lehje mein kaha .

" to ap ankhee nahi kholee gey " falak ne pucha to us ne naa mein sir hilaya .. falak ne pass praa pani ka jag is k upr phankaa to woh chilata hua utaa ..

" what the hell " hazim ne pani saaf krtey hue kaha .

" hmm ! Ab pta chlaa k kawab hai ya hakikat " falak ne kamr pr haath rakhtey hue kaha

" pta chl gaya hai k hakikat hai ... Q k kawaab mein to tum mere saath bohot achee se pyash atii ho " hazim ne kaha or dressing room mein chlaa gaya

Hazim is time hikmat sahab k office mein the ...

" han to bolo miya ... kya socha hai kahn jana hai tum ne " hikmat sahab ne pucha .

" chachu ... abhi to pta nahi hai .. Or wese bhe 1 haftey k bad meri chuitiya katam ho rhi hai .. mujhe wapis job pr jana hai " hazim ne unhee baataya .

" beta .. meri baat samjho. .. dekho ab mein bhe itna jawaan nahi rha hu k tumhara or apne business chlaa saku. .. mein ne asif or zain ko bhe un ka bussniss sonp diya hai .. ab tum bhe mashaallah shadi shuda ho gay ho. .. job jitni kr li hai bohot hai ... mein tumhare baap ki jagha hu or us natey se mein tumhay hukaam deta hu k ab tum apni zimadari sahmablo ... " hikmat sahab ne kaha .

" thek hai chachu. ... mein resign kr du ga .. pr mujhe thora time lgee ga " hazim ne kaha to unhoo ne han mein sir hilaya

" chloo ... thek hai . Tumhari chachi bohot gusa hai k tum ne abhi tak kahni jane ka Q nahi socha ..chloo ab raat tak btaa do " hikmat sahab ne kaha

" acha chachu mein chlta hu .. " hazim ne kaha or chlaa gaya ..

Sham ho rhi the ... hazim ghr ayaa to falak room mein nahi the .. woh hikmat sahab ki taraf gaya .. mgr falak udhr bhe nahi milii .

" chachi .. falak kahi gai hai kya " hazim ne akir puch hi liya .

" areee nahi beta .. dekho shaid woh pichle lone mein ho. .. udhr us ne parindey rakhey hue hai ... jab bhe free time hota hai to woh udhr hoti hai " mona bagum ne baataya to hazim han mein sir hilata hua udhr chlaa gaya ...

Pichle lone mein bohot Saree pinjree the .. jin mein bohot se parindey the ... falak side pr krii unhee dekh rhi the or hass rhi the .. aaj hazim ne bohot arsee bad us k cehree pr yeh hassi dekhi the .. joh k fake nahi the .. woh chlta hua us k pass ayaa ..

" tumhay parindey bohot pasand hai " hazim ne pucha .

" hmm " falak ne han mein sir hilaya .

" mujhe bhe .." hazim ne kaha .

. pr mujhe yeh hawa mein urtey hue zada ache lgtey hai " falak ne trance ki surt mein kaha .

" to phir tum ne unhee asee kayad Q kiya hua hai " hazim ko heyrani hue the ...falak k cehre pr ek zakhmi muskurahat ai ..

" is liye k kahin in k bhe nazuk dil is dunya walee ki nazar ho k murjha na jay . Idhr yeh jese bhe hai .. safe to hai na " falak bol to gai the .. mgr jab pta chlaa to hazim k cehree ki taraf dekha .. us k cehree pr pashtawa .. dhuk k tasuraat the ...

" i am sorry " falak ne us ki taraf dekhtey hue kaha .

" kis liye " hazim ne normal hotey hue kaha .

" mein ne ap ko " falak boltey hue ruk gai .. Q k mulazma usee bulane a gai the ...

" falak bibi .. ap dono ko mona bagum bulaa rhi hai " mulazma ne kaha .

" han mama se kahoo k hum 5 min mein a rhay hai " falak ne kaha to han mein sir hilati hui chlii gai ...

" falak .. w oh .. mujhe tum se ek baat puchni the ... woh ... chachu ne kaha hai k unhee thori deyr tak baatay k hum ne kahn jana hai " hazim ne niche muu krtey hue pucha .

" hum log Kashmir chlee gay ... mujhe Kashmir dekhne ka bohot shok hai " falak ne kaha or chlii gai .. piche hazim us k itni asaani se baatane pr heyraan ho rha tha ..

Woh log ab sab ko btaa k apne room mein ayee the ... hikmat sahab ne un dono ki kl raat ki ticket book krwa di the ..

" hazim " falak ne aaj usee bulaya the .. yeh name woh us ki zubaan se sunne k liye kitna tarsaa tha. ...

" hm han .. bolo " hazim ko samjh nahi a rhi the k woh kese react kree .

" w woh mm mein apni packing kr rhi hu .. to ap bhe bta de k kon kon se cheese rakhni hai ... ap ki bhe rakh deti hu " falak ne pucha to hazim usee ankhee paar paar k dekh rha tha ..

"K kya such mein tum meri packing kroo gi " hazim ne heyraani se pucha .

" had hai ... bhalai ka koi zamana hi nahi hai " falak ne guse kaha .

" a acha acha sorry ! Mazak kr rha tha yr
. Ek cup cofi hi la do mujhe " hazim ne kaha to falak cofi bananey chlii gai ..
Woh cofi le k ai ...

" mein koi kawab dekh rha hù " hazim muu mein burburaya .

" Q " hazim ne pucha .

" tum araam se Saree kaam kr rhi ho " hazim ne hastey hue kaha to falak chup ho k side pr beth gai ... or kud bhe cofi pinee lgi ..

" ap ko asaa Q lgta hai k mein phele ap k kaam nahi krti the " falak ne thori deyr baad pucha .

" mein ne asaa to nahi kaha . Tum to mere saree kaam krti ho .. woh bhe binaa kahey ... " hazim ne jazb se kaha .. who usee ki taraf dekh rha tha .. falak thori se confused ho gai .. isee liye chup kr k beth gai ..

" thanks " hazim ne thori deyr k bad kaha .

". cofi k liye nahi kaha " hazim ne kaha to falak ne ek eye brow upr kr k usee dekha .

" to phir kis liye " falak ne pucha .

" w woh .. mujhe ek chance dene k liye .. agr tum mujhe ek chance na deti to mein shaid is mein gilt mein hi mar jata .. " hazim ne sarmindagi se kaha .

" acha chlee chorey yeh sab .. subho bohot kaam hai .. soo jay " falak ne us ka mood change krne k liye kaha or late gai ...

Aaj or kuch na sahi pr us ka dil bohot mutamieen the .. dil se bohot braa bojh the joh k katam ho gaya tha ... us ne usee maaf nahi kiya tha to woh nafrat bhe nahi rhi the ... maaf krne k liye dil tayr ho rha tha .. Or bohot jald un dono ki zindagi ne bhe change hone ki tayri krni the ...

Dusri taraf hazim bhe bohot kush tha .. us k dil men ahista ahista us hazim ki nafrat ki dewaar katam ho rhi the .. us ne us se dosti kr li the ...

Yeh ahsaas hi hazim k liye bohot kubsurt the us k ankhoo mein aaj hazim k liye nafrat ka samnder nahi the . Jis se hazim ki roh fanah ho jati the .. woh aaj Allah ka jitna sukar adaa krta kaam tha ... sarii raat woh yeh hi sochta tha .. usee kushi se neend nahi a rhi the ...us ne watch pr time dekha to 2 : 30 bajh rhay the . Woh uta or washroom mein gaya .. wadu kiya or tahajt ki namaz asaa ki .. Or dua k liye haath utayee .

" ya Allah .. mein tera gunah gaar banda hu mere Malik ... mein ne asee gunah kiye hai jin ki koi maafi nahi hai .. pr tu raheem hai . Kareem hai .. mujh pr apni rehmat kr de .. mere Malik .. mein tera jitna sukar adaa kru kam hai .. tu ne us k dil mein mere liye narmi peyda ki hai .. mere Malik usee mujh bashk de .. mein is kabil nahi hu .. mein janta hu ..
Pr teri rehmat to besumaar hai .. meri zasa ko katam kr de .. mujh maaf kr de .. is k dil mein bhe mere liye muhobat daal de .. mujh pr rehmat kr de ... " hazim ne dua ki .. Or uth k bed pr late gaya ...

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Jul 15, 2020 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

zalim muhobatWhere stories live. Discover now