Sooraj ki kirnein khidhki se chann kar ghar mein daakhil ho rahi thi jiske maanind ghar ek dum roshan sa ho gaya tha. Ghar ke sabhi afraad dining room mein mez ke atraaf baith kar naashta kar rahe the. Haya aur Jihan ki mangni aur Rohail aur Natasha ke walimah ke baad yeh doosra din tha. Sulaiman sahab naashta karte karte akhbaar padh rahe the aur Fatima jo unke pehlu mein baithi thi apni nanand Sabeen se guftugu mein mulawwis thi. Rohail aur Natasha table ke ek taraf baithe the toh Haya aur Jihan unke bilkul muqabal mein baithe the. Jihan aur Rohail idhar udhar ki baatein kar rahe the aur Haya unki baatein dilchaspi se sun rahi thi. Uske labon par ek mustaqil muskurahat thi. Natasha apne phone mein masroof thi aur Rohail ke mukhatib karne par woh phone se nazrein uthakar uski baat par muskuraati ya chand alfaaz kehti aur waapas phone mein masroof ho jaati. Uski toh jaise dunya hi alag thi.
Haya beech beech mein nigaah saare afraad par daudhati aur khush hoti. Usey toh jaise sab khwaab lag raha tha. Waqt ke saath log aur rishte kitne badal jaate hain. Kuch din pehle tak yeh sab usey ek khwaab lagta tha par ab yeh haqeeqat mein badal chuka tha. Mez par uske maa baap, bhai bhabhi, shohar, aur uski saas (yaani ke Sabeen phuppu) sab maujood the. Uski family mukammal thi aur in sabko yun hasta muskurata dekhkar uski muskurahat jaise labon par se hatne ka naam nahi le rahi thi.
Jab Jihan aur Rohail ki guftugu ruki toh Rohail kuch kehne ke liye, Suleiman sahab aur Fatima se mukhatib hua. Yeh dekhkar Natasha jo kaafi der se phone mein masroof thi, phone ko apni pehlu mein rakh diya aur sanjeedgi se Rohail ki baat par ghaur karne lagi.
"Abba Ammy, jab se mein aur Natasha Pakistan aaye hain, hamein Pakistan ghoomne ka mauqa hi nahi mila. Saara waqt khaandaan ki dawatein aur hamare walimah ke function ki tayyari mein nikal gaya. Toh meine socha ke kyun na mein Natasha ko Pakistan ghuma laun isi bahane hamara honeymoon bhi ho jayega aur Natasha ki Pakistan ghoomne ki khwahish bhi puri ho jayegi. "
Rohail jaanta tha ke Suleiman Sahab abhi bhi ussey zara sa khafa hain par usey yeh ummeed thi ke unki naraazgi ab aur zyaadah din tak nahi chalegi.
Suleiman Sahab ne akhbar se apna sar utha kar Rohail ko dekha aur phir kaha
"Hmm acha khayal hai. Kab jaane ka program hai?"
Rohail ne apne khushk labon par zubaan pherkar kaha "Abba who darasal hum dono ne pehle hi plan kar liya tha ke hum Walimah ke fauran baad chale jayenge toh hamari kal subah ki flight hai."
Yeh sunkar Fatima ne Rohail ko nagawaari se dekha aur apne dil mein socha ke jab in dono ko apni manmaani hi karni thi toh bata kyun rahe hain.
Suleiman: Acha toh kitne din ka plan hai?
Rohail: bass kuch das pandra din.
Suleiman sahab ne halka sa muskurate hue kaha
"Hmm theek hai. Dhyaan se jaana."
Rohail ne jab Suleiman sahab ki muskurahat dekhi toh who khud bhi beikhtyaar muskura diya aur kaha "Ji Abba".
Jab Rohail aur Suleiman Sahab ki baat khatam hui toh Natasha ne ek nazar Haya aur Jihan ko dekha aur apne haath mein pakde chamche se unki taraf ishara kiya aur boli "Any plans for your honeymoon?"
Natasha ka sawaal sunkar mez ke atraaf baithe saare log ek dum chaunke. Haya ne usey ek nazar achumbe se dekha aur phir uske rukhsaar surkh padhne lage toh usne apni gardan jhukali aur chamche se apni plate mein khane se khelna shuru kar diya. Doosri taraf Jihan ne beniyaazi se apne shaane uchkaye.
Natasha ki baat ko support karte hue Rohail ne bhi poocha "arey haan tum dono ki bhi toh teesri dafa mangni hui hai, so honeymoon pe jaana toh banta hai."
Yeh kehkar Rohail has diya.
Darasal Haya aur Jihan ka nikah unke bachpan mein hi ho gaya tha. Tab Haya sirf ek saal ki thi aur Jihan aath (8) saal ka tha. Un dono ki ek mangni Istanbul mein bhi ho chuki thi Sabeen phuppu aur Suleiman Sahab ke maujoodgi mein. Lekin jab yeh dono Haya ke exchange program khatm hone ke baad Pakistan laute toh saare khandaan ke maujoodgi mein unki ek dafa aur mangni hui thi. Tabhi Rohail un dono ko teesri mangni ka hawala dekar chedh raha tha.
In dono ki baat sunkar Haya ne socha "Allah Allah, yeh dono bila jhijhak badhon ke saamne kaisi baat kar rahe hain." Uska dil chaha ke kaash usey zameen usi waqt nigalle ya Islamabad ki hawa usey kahin duur udha le jaye. Jabke Jihan ko toh in baton se koi farq hi nahi padh raha tha, woh toh beparwahi se khana khane mein aise masroof tha jaise uska is baat se koi ta'lluq hi na ho. Jab Jihan ne kuch nahi kaha toh Haya ne keh diya "Umm nahi hamara aisa koi plan nahi hai."
Haya ka jawaab sunkar Natasha ne apne chamche ka rukh Jihan ki taraf modha lekin uski nazrein Haya par hi thi jab woh boli "This guy is full of surprises, who knows he must have already planned something and is going to surprise you. I can tell you he is a romantic at heart."
Yeh kehkar Natasha zer-e-lab muskurayi aur Haya uski baat sunkar beikhtyaar hasdi aur ek nazar Jihan par daala aur phir dheere se boli "Jihan and Romantic. Namumkin."
Haya ne apne dil mein socha ke Romantic lafz ne bhi tauheen mehsoos ki hogi jab Natasha ne uska istimaal Jihan jaise aadmi ke liye kiya.
Haya ki baat sunkar Rohail has diya aur Jihan ne apni eyebrow chadhakar usey dekha. Jawaab mein Haya ne apne shaane uchkaye.
Phir Rohail ne Jihan se kaha "Toh Jihan, kya tum batana pasandh karoge ke tum Haya ko kis tarah surprise karne waale ho?"
Yeh sunkar Jihan ne apne sar ko jumbish di aur sirf itna kaha "Mein itna faarigh nahi huun."
Yeh sunkar Haya ne apne dil mein socha "Allah Allah, kya dunya ki saari masroofiyat isi ke hi khaate mein aayi hai. Badtameez."
Sabeen phuppo jo kaafi der tak khamoshi se bacchon ki baatein sun rahi thi beikhtyar keh uthi "Tum dono ko bhi kahin ghoomne jaana chahiye. Ab dekho yeh mauqa bhi acha hai, Haya ki classes shuru hone mein bhi kuch waqt hai aur Jihan tumhe bhi koi new project filhaal nahi mila hai. Toh isi bahane kahin ghoom aao. Baad mein tum dono ki masroofiyat shuru ho jayegi toh kahan time nikaal paoge."
Sabeen phuppu ne Suleiman sahab aur Fatima ki taraf gardan modhkar poocha "Aap dono ka khayal hai?"
Suleiman sahab ne kaha "Mujhe koi aitraaz nahi hai ulta mein toh khush hun iss baat se."
Suleiman Sahab ka jawaab sunkar Sabeen muskurayi lekin usi waqt Fatima achanak keh uthi "Arey nahi Sabeen, aise kaise jaa sakte hain yeh dono? abhi toh Haya ki rukhsati bhi nahi hui hai, aur humne toh faisla kiya tha ki rukhsati uski padhai mukammal hone ke baad hi hogi toh ussey pehle yeh log kaise jaa sakte hain ghoomne, log bahut baatein banayenge."
Toh ispe Sabeen ne kaha "arey Bhabhi, Haya ki padhai khatm hone mein abhi pura ek saal baaqi hai. In dono ki toh teen dafa mangni ho chuki hai aur saare rishtedaaron ko bhi inke nikah ki khabar ho chuki hai. Aur waise bhi logon ka kya hai unka toh kaam hi hai baatein banana. Pehle bhi banate the, abhi bhi banate hain aur banate rahenge. Par hamein apne bacchon ki khushi ka sochna hai. Ab kab tak yeh log ek doosre se alag rahenge? shariah ke mutabiq toh yeh dono miyan biwi hain. Rukhsati hone ya na hone se kiya farq padhta hai."
Sabeen ki baat sunkar Suleiman sahab ne kaha "Mein Sabeen ki baat se ittefaaq rakhta hun yeh dono ko bhi ghoomne jaana chahiye."
Suleiman sahab ki baat sunkar Fatima ne kaha "Theek hai jaisa aaplog munasib samjhe."
Sabeen ne Jihan se mukhatib hokar poocha "Tum kya kehte ho Jihan?"
Jihan ne apne shaane uchkaye aur kaha "Mujhe koi aitraaz nahi hai."
Rohail ne muskuraate hue kaha "Haan bhai yeh janaab ko kyun aitraaz hone laga, ulta inke dil mein toh laddu phoot rahe honge."
Yeh sunkar Jihan ne apni eyebrow chadhakar Rohail ko dekha, phir apna sar jhatka aur waapas apni plate ki taraf dekhne laga.
Badon ki baatein sunkar Haya ke labon par ek badi si muskuraahat aane lagi thi jisko woh apne neeche ke lab ko daant mein dabakar rokne ki puri koshish kar rahi thi aur saath mein soch rahi thi ke Jihan ke dil mein laddoo phoote ya na phoote par uske dil mein toh sirf laddoo hi nahi aur bhi kayi saari mithai phoot rahi thi.
YOU ARE READING
Jannat Ke Pattay (fanfiction)
FanfictionThis book is a fanfiction based on an Urdu novel Jannat Ke Pattay (Leaves of Heaven) written by Nemrah Ahmed. I absolutely fell in love with the book and wanted more. Hence, I decided to write a fanfiction in Roman Urdu. Note: Please read this book...