Chapter 3

182 8 2
                                    

Agli subah jab Haya ki aankh khuli toh usko kal raat ka manzar yaad aaya. Woh aur Jihan uske bistar par baithkar movie dekh rahe the. Woh achanak uthi aur apni pusht bed ke headboard se lagakar baithi. Woh soch rahi thi ke shayad uska laptop uske bed par pada hoga aur coffee ki cup uske side table par. Magar jab usne apni nazar kamre mein daudayi toh uska laptop uske study table par rakha tha aur uski coffee ki cup bhi nahi thi. Usne apne bistar ke bazu dekha jahan Jihan kal raat baitha tha lekin woh hissa ek dum saaf tha aise jaise koi kal wahan baitha hi nahi tha. Usne apne dimagh par zor daalkar sochne ki koshish ki ke yeh sab kisne sameta tha. Khair yeh baat toh waazeh thi ke yeh sab Jihan ne hi sameta hoga. Par woh kahan thi jab woh yeh sab kar raha tha. Usey fauran hi apna jawaab mil gaya tha. Woh so gayi thi. Woh movie ke darmiyan so gayi thi. Yeh yaad aane par Haya ko apne upar gussa aaya. Shadeed gussa. Woh aur Jihan pehli baar saath baith kar movie dekh rahe the aur woh so gayi?. Waah. Bahut ache Haya. Allah Allah, Jihan kya sochta hoga? Yehi ki uski biwi ko sone ke alawa kuch nahi aata?.

Kya woh uske sote hi kamre se chala gaya tha? Haya jaldi se uth khadi hui aur apne laptop ke paas gayi. Usne apna laptop khola aur dekha ke movie toh complete thi. Iska matlab Jihan ne puri movie dekhi thi par usne nahi. Uff Haya..ab tum Jihan ka saamna kaise karogi woh tumhara bahut mazaaq udayega. Khair ab kya kiya ja sakta tha.. woh neendh ki bhi toh itni kacchi thi.

Haya yeh sab sochte hue washroom gayi aur tayyar hokar neeche naashte ke liye aayi.

Naashte ke waqt mez ke atraaf sirf Fatima, Suleiman Sahab aur Sabeen phuppu baithe the. Rohail aur Natasha toh yaqeenan apne safar ke liye rawana ho gaye honge aur Jihan? Woh kahan tha. Khair acha hi hai yahan nahi hai. Woh uska saamna abhi nahi karna chahti thi. Usne yeh socha hi tha ke Jihan darwaze se andar daakhil hua. Woh ek siyah aur safed tracksuit mein malboos tha. Uske maathe par paseene ke kuch qatre the. Woh yaqeenan apni morning walk se lauta tha. Jaise hi Jihan ne Haya ki taraf dekha, Haya ne apni nazar apni plate par jhukali. Jihan mez ki qareeb aaya aur sabko salaam kiya "Salamun Alaikum". Sabne uske salaam ka jawaab diya " Wa'alaikummussalaam". Haya ne bhi diya par bina usey dekhe.

Phir Jihan ne kaha "Mein fresh ho kar aata hun phir aaplog ko join karunga" Woh zara sa muskuraya aur chala gaya. Haya jaanti thi ke Jihan baar baar uski taraf dekh raha tha par woh usey nazar andaaz kar rahi thi. Jab Jihan waapas aaya toh woh ek halke neele rang ke shirt aur black jeans mein malboos tha. Nashte ke dauran Suleiman Sahab ne Jihan se poocha "Toh kya socha hai tum dono ne?"

Jihan ne tazabzub se poocha "Kis baare mein mamu?"

Sulaiman sahab ne jawab diya "tum dono ke trip ke baare mein. Kaunsi jagah jaane ka socha hai?"

Jihan: Oh woh. Nahi filhaal uss baare meine kuch nahi socha. Mujhe abhi ek do kaam hain yahan Islamabad mein unke khatm hone ke baad phir kuch plan karte hain."

Suleiman sahab ne isbaat mein sar hila diya.

Naashta khatm hote hi Haya kuch kaam ka bahana karke apne kamre mein chali aayi. Usey kamre mein aakar kuch hi der hui thi ke uske kamre ke darwaze par dastak hui aur Haya ne socha ke woh yaqeenan Jihan hi hoga. Woh apna laptop lekar baith gayi aur kuch type karne ka natak karne lag gayi. Woh usey yeh jatana jaati thi ke woh masroof hai. Phir usne bed par baithe baithe hi awaaz di "Aajao".

Jab darwaza khula toh Haya ne nazar uthakar bhi dekhna gawara nahi kiya. Phir usey awaaz aayi " Assalaamualaikum Haya baji". Tab usey ehsaas hua ke darwaze par dastak dene waala Jihan nahi balki Zahid chacha ki beti Sana thi.

Darwaze ke paas Sana ko dekhkar Haya chaunki thi. Usne apne aap ko fauran hi compose kiya aur uske salaam ka jawaab diya "Wa'alaikummussalaam"

Sana uske kamre mein daakhil hui aur uske paas aakar bistar par baith gayi aur shuru ke kuch minutes woh dono ne ek doosre ki khairiyath malum ki.

Jannat Ke Pattay (fanfiction)Tempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang