Chapter 5

199 9 9
                                    

Jaise hi Haya gaadi mein baithi usne Jihan se poocha "Hum kahan jaa rahe hain?"

Jihan ne Haya ko bina dekhe jawaab diya "jald pata lag jayega."

Uske baad Haya ne usse dobara nahi poocha. Faidah hi nahi tha. Khair yeh baat toh usey bhi maloom thi ke usey jald hi andaza ho jayega ke woh log kahan jaa rahe the aakhir mein yeh uska sheher tha. Haya khidki ke baahar raaston ko bade ghaur se dekhne lagi. Unhein nikle paanch minute hi hue the ke usey pata lag gaya tha ke woh log Faisal Masjid jaa rahe the. Woh fauran Jihan ki taraf apni gardan modhkar boli "Hum Faisal Masjid jaa rahe hain. Hain na?" Uski aankhon mein khushi utar aayi thi.

Jihan ne halka sa muskuraate hue usey ek nazar dekha aur waapaas saamne dekhte hue isbaat mein sar hila diya. Haya ne ussey phir poocha "kya tum pehle bhi wahan jaa chuke ho?

"Haan kayi dafa."

"Aur tum?" woh poocha toh Haya ne isbaat mein sar hilate hue kaha "Haan mein bhi gayi thi. Magar zyaadah nahi. Ek baar school se field trip par gayi thi aur ek baar university se. Lekin mujhe wahan jaakar ab kaafi arsa ho gaya hai."

Jab Haya school trip par Faisal masjid gayi thi toh usey bataya gaya tha ke ye masjid ka naam Saudi Arabia ke Baadshah Faisal ke naam par rakha gaya hai aur unhone iss masjid ki tameer ke akhrajaat bataur e tohfa Pakistani awaam ke liye bardaasht kiya tha. Usey yeh bhi bataya gaya tha ke salahiyat ke lihaaz se yeh dunya ki chohti (4th) badi masjid hai.

Usey jo bhi sikhaya gaya tha woh yeh sab yaad kar hi rahi thi ke usne Jihan se poocha

"Waise hum wahan kyun jaa rahe hain?"

Jihan ne fauran hi jawaab diya "Tumne abhi bataya ke tum Faisal Masjid sirf field trips pe gayi thi. Iska matlab tumne Faisal masjid ko sirf subah ke waqt dekha hoga."

Haya ne isbaat mein sar hila diya.

Phir jihan ne mazeed kaha "Jaanti ho, Faisal masjid ka manzar doobte hue sooraj ki roshni mein aur bhi zyaadah khoobsoorat aur dilkash lagta hai. Toh bas mein tumhe wohi manzar dikhane le jaa raha hun."

Yeh keh kar Jihan Haya ki taraf dekh kar muskuraya. Uske baad un dono ne mazeed kuch nahi kaha.

Masjid Haya ke ghar se sirf das mint ke raaste par thi so kuch hi der mein woh log Faisal Masjid pahunch gaye the. Masjid ke chaaron taraf dilkash hariyaali thi. Gaadi mein baithi Haya ko har taraf hariyaali dekh kar andar tak khushi mehsoos ho rahi thi.

Masjid ke qareeb hi gaadi park karne ke liye makhsoos jagah thi. So Jihan ne gaadi ko wahan park kar diya. Phir woh dono gaadi se nikle aur masjid ki taraf chal pade.

Khushrang neela aasmaan ruyi ke gole jaise badalon se bhara tha. Haya kabhi aasmaan ki taraf dekhti toh kabhi apne aas paas. Woh jitni duur tak apni nigaah daudhati usey apni nigaah ke ikhtetaam par sirf sabz pahaadh nazar aarahe the. Haya ke bar'aks Jihan ki nazar uske phone par thi. Woh beech beech mein nigaah uthakar Masjid ki simt dekh raha tha aur uske pehlu mein chalti Haya ko.

Ek doosre ke pehlu mein chalte hue woh dono mashriqi taraf se masjid ke ahate mein daakhil hue. Masjid ke chaar kone par chaar bade minar the. Chalte chalte woh dono ek bade se fawware ke paas ruke. Purjoshi ke aalam mein Haya apni nigaah ek chote bacche ki tarah har taraf daudha rahi thi aur ek ek tafseelaat ka mushahida kar rahi thi aur saath hi woh unn tamaam malumaat ko yaad kar rahi thi jo usey field trips par batayi gayi thi. Magar choonke usne tab un maloomaat par dhyaan nahi diya tha so uss wajah se usey ab kuch cheezein yaad nahi thi aur kuch cheezein usne bhula di thi. Kuch der fawware ke paas khade rehne ke baad woh dono qareeb mein ek chabutre par jaakar baith gaye. Faisal masjid ko dekhne kaafi tourists bhi aate the. Kuch tourists fawware ke saamne khade rehkar tasveer keench rahe the kuch is tarah ke fawwara unke pase manzar mein aaraha tha aur kuch masjid ke saamne khade rehkar tasveer khichwa rahe the.

Jannat Ke Pattay (fanfiction)Where stories live. Discover now