PART 44

113 9 1
                                    

Ragini and uttara takes swara to raglak room and ragini gives her a saree

Ragini- ye le lo swara...ise pehen lo

Swara(without eye contact)- par ye toh saree hai

Ragini- ha toh

Swara- mujhe saree pehenna nahi aata hai...ek baat puchu

Ragini- ha pucho na

Swara- maine yeh kapde pehle bhi pehne hai...arnav bhai, khushi bhabhi aur sanskarji ne bhi kabhi mujhe mana nahi kiya toh fir yaha par sab log (gets silent)

Ragini- arnav bhai aur khushi bhabhi tumhe apni beti mante hai swara...tumhe kuch karne se rokenge nahi kabhi...tumse bohot pyaar jo karte hai....

Swara interrupts- lekin sanskarji ne bhi mujhe kabhi ye kapde pehenne ke liye nahi toka

Ragini- vo pati hai tumhare...aise kapdo me tumhe dekhne ka haq sirf sanskarji ko hi hai...(sees swara upset) acha tum baitho

Ragini makes swara sit and herself sits beside her.

Ragini- dekho swara laksh ke liye tum unki behen jaisi ho par ho toh tum unke bhai ki patni hi ho na...har rishte me kuch limits hoti hai na...aur rahi baat maa ki baato ki toh swara vo aisi hai...unki baato ko dil se mat lagao...abhi chalo jaldi se saree pehen lo...chalo

Uttara- par bhabhi swara bhabhi ko toh saree pehenni hi nahi aati

Ragini- tumne kabhi saree nahi peheni swara

Swara- pehni thi na...lekin khushi bhabhi ne pehnai thi

Ragini- tumhe na bhabhi ne hi bigaad kar rakha hai

Swara pouts. In a this they both completely forgot the reality of their relation.

Swara- uttara tum mujhe apna suit de do na

Ragini- nahi swara tum yaha saree hi peheno...pehle khushi bhabhi ne pehnai thi...aaj main pehena deti hu...uttara tum jakar laksh ko le aana

Swara- ok...pehna dijiye...par mujhe pakadkar rakhna...mujhse saree nahi sambhalti

Ragini- pehle bhi kya khushi bhabhi pakadti thi

Swara- nahi sanskarji ne pakda tha.....(stops realising what she was about to say)

Ragini and uttara widens their eyes and teasingly says together- ooh...sanskarji ne pakda tha

Swara blushes. Ragutt laughs and ragini feels relaxed to see swara laughing again.

Uttara leaves the room and ragini makes swara wear the saree. After sometime when ragini was setting saree on swara she hears the door knock. She quickly finishes her work and opens the door to see laksh uttara and sujata there. She lets them in.

Sujata goes and hugs swara.

Sujata- swara beta jiji aur bhaisa ki baato ka bura mat maan na...ye laksh pagal hai pata nahi tujhe kyo le aaya yaha

Laksh- are waah...sirf ham hi bhugte is ghar me paida hone ka nateeja...sanskar bhi isi ghar ka beta hai...use bhi toh thoda phal mile

Sujata- are toh tu sanskar ko lata...swara ko kyo le aaya

Laksh goes and keeps his arm around swara saying- ab mere bhai se pyaar kiya hai toh nibhana toh padega...kyo swara

Swara looks at him with widened eyes. Laksh chuckles seeing her. Sujata leaves as a servant comes there saying that ramprasad called her.

Uttara- bhai ab aap swara bhabhi ko pareshan karna band karo...aapko pata hai kitna upset thi bhabhi

Laksh- really...kyo swara tum upset kyo thi

Ragini- laksh vo.....

Laksh- ragini main swara se baat kar rha hu...bolo swara kyo upset thi

Swara- vo...main....

Laksh- hmm itna toh main janta hu ki maa papa ki baato ka bura laga hoga par ragini ke samjhane par tum samajh gayi hogi...kahi tumhe is baat ka bura toh nahi laga ki maine tumse is tarah baat ki

Swara lowers her eyes.

Laksh- toh ye baat hai...swara i know ragini ne tumhe samjhaya hoga...main vahi repeat nahi karunga par ek baat zaroor kahunga ki tum meri behen ho aur hamesha rahogi...main tumhare sath hamesha rahunga jaise arnav rehta hai lekin agar tumse koi galti hui toh arnav ki tarah hi main tumhe daatunga bhi aur agar kabhi zaroorat padi toh hath uthane se peeche bhi nahi hatunga...i promise

Swara- i am sorry...mujhe aapki baat maan na chahiye tha...ek toh galti ki us par aap se naaraz bhi ho gayi

Laksh cups her face- galti ka ehsaas hai toh bas...i am sure tum ye dobara nahi karogi

Swara smiles and nods. Laksh hugs her while ragutt smiles seeing them.

TO BE CONTINUED...

TERE LIYEजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें