PART 62

101 10 1
                                    

Swara- thankyou

Sanskar- kisliye

Swara- uttara ki madad karne ke liye

Sanskar- meri behen hai...uske liye nahi karunga toh kiske liye karunga

Swara smiles seeing him.

Sanskar- kya hua madam

Swara- pehle mujhe lagta tha aap ache nahi hai matlab bohot strict aur gusse wale hai par aap bohot ache hai...aapko gussa jaldi zaroor aata hai par sahi chhez ke liye aata hai aur aap har insaan ki kadar karte hai aur unki wishes bhi puri karte hai...main bohot lucky hu ki main aapki patni hu

Sanskar gets surprised hearing all this from her. He kisses her forehead and stands there hugging her leaning on the wall.

Sanskar- tum khush ho mujhe aur kuch nahi chahiye par ab ye socho ki arnav se kaise baat karogi

Swara gets tense and looks at him still being in his embrace.

Swara- jis tarah aapne inki baat karwa di vaise hi meri aur bhai ki bhi karwa dijiye...aap jo kahenge main vo karungi...promise

Sanskar- pakka...jo kahunga vahi karogi

Swara- pakka...jo kahoge vahi karungi

Sanskar- deal

Swara- deal

Sanskar- one week trip to maldives for honeymoon...done

She looks at him shocked.

Sanskar- what...din kam hai kya

Swara- vo hon..honey

Sanskar- honeymoon

Swara- ji vahi.. vo... main

Sanskar laughs at her- swara tum toh aise dar rahi ho jaise jo honeymoon par hota hai voh toh hamne kiya hi nahi kabhi

Swara blushes hearing him.

Sanskar- maine kaha tha naa jab tum thik ho jaogi tumhe lekar jaunga aur ab toh hamra reception bhi hai do din me...toh koi tension nahi hai

Swara- aapka kaam aur mera college

Sanskar- i'll manage my work aur rahi baat aapke college ki toh madam trustee ki wife ko kaun mana karega...jisse chahe pad lena...aur koi bahana

Swara softly speaks without making eye contact- uttara ki shaadi ke baad

Sanskar smiles- done

Swara blushes while sanskar smiles. At that time the door opens and they see uttavi coming to them.

Sanskar- so guys what have u decided

Avinash- mujhe koi problem nahi hai...tu ek baar uttara se puch le...main niche jata hu

Sanskar nods while avi leaves. Swara hugs uttara.

Swara- uttara kya hua

Sanskar- chotu kaisa laga avi

Uttara- ache the bhaiya

Sanskar- kuch time chahiye...ye roka postpone karna chahti hai

Uttara- nahi bhai

Sanskar- uttara kisi ke baare mat soch tere dil me kya hai vo bol

Uttara looks at swara who nods in yes

Uttara- bhai bhabhi mujhe nahi pata ki main tayyar hu ya nahi par vo ache hai unhone mujhe comfortable feel karwaya aur meri baato ko importance di...unhone ye bhi kaha ki mujhe shaadi ke baad padai chodne ki zaroorat nahi hai aur agar main chahu toh kaam bhi kar sakti hu

Sanskar- tu chahti hai ye roka ho

Uttara nods

Sanskar- toh niche chale

She nods. He hugs her and extends his hand to swara who joins them.

They all go downstairs and swara makes uttara sit with avi. The elders complete the rituals and go in the hall to talk about marriage preparations while the youngsters went on the terrace.

Arnav- so uttara all ok right

Uttara smiles and hugs him tightly while he kisses her forehead. Swara pouts seeing arnav ignoring her in the function. Khushi and sanskar hit theirselves' head.

Sanskar- in dono ka kuch nahi ho sakta

Khushi- sahi kaha...bhai ziddi toh behen usse bhi zyada ziddi

Sanskar- chal kuch karte hai

They follow all of them and sit making a circle. The seating arrangements were already done.

Laksh- pehli baat toh guys yaha par koi chup nahi rahega sab bolenge...us "naa bolne wale rivaaz" ko atleast yaha par goli maaro

Ragini chuckles.

Avinash- vaise mujhe ye rivaaz samajh nahi aaya

Laksh- jis din hame aa jayega ham samjha denge

He hi-fied sanskar.

Sanskar- i agree bhai...ladies yaha par apna maun vrat kripya karke tode

Khushi- pata hai yaha aane se pehle mujhe kitni tension ho rahi thi...ek toh aisi haalat me Annapurna aunty ne bhari bharkam kapde bhijwa diye uske upar se 10 kilo jewellery aur fir chup rehna...bye god kaise kar lete ho tum log ye roz roz

Ragini- ab ye toh aap swara se hi puch lijiye...sabse ache se rivaaz toh vahi janti hai

Sanlak laughs while swara pouts.

Swara- kya hai sab pareshan karte rehte ho mujhe

Arnav- par hua kya

Sanksar- madam ne apne size ke hisaab se i mean jo ye handle kar paye vaisi dress choose ki thi par mrs maheshwari ne ise isi ke weight ka double lehenga diya hai aur uske upar jewellery...subah se do baar gir chuki hai aur teen baar maine girne se bachaya hai

All laugh at her

Khushi hugging her- bechari meri bachi...hasna band kijiye...bas ek baat achi hui in sab me swaru ko saree pehenna aa gaya

Ragini- are kaha aaya...roz sanskarji pehnate hai...maine khud dekha hai

Swara widens her eyes and burries her head in khushi's chest being embarassed while sanskar glares at all.

Khushi(whispers in swara's ears)- kya baat hai swaru...nice going...lagta nahi hai ki tum dono ko pyaar ke izhaar ki zaroorat hi nahi hai

Swara blushes.


TO BE CONTINUED...

TERE LIYEजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें