"Chap 3"

558 23 0
                                    

(At University)

(Aarzoo and Alizey in Garden)
Aarzoo: What should I dooo Alizey???
Alizey: dekho Aarzoo tumhare pass sirf 2 choices hain... Ya too tum Shaadi se inkar kardo Jo k tum karogi nhi...ya phir Nikkah pe Nikkah karlo...
Aarzoo: Are you in your senses???.. Shaadi shuda hon men... I'm a married women....tum jaanti bhi ho ye Kiya hai....
Alizey: OMG!!! Jinhe janti bhi nhi hoo unse itni muhabat k apni bachpan ki dost ko hi bhula diya..Wah bhi wah...
Aarzoo: esi baat nhi hai Alizey..ye ghalat hai...
Alizey: iska Matlab koi beech ka rasta nikal na parhega...hmm...wese tumhare unn ka naam Kiya hai...
Aarzoo: Aarm... Aarman Malik..
Alizey: ohhoo!! Blushing haan...
Aarzoo: Gg..nhi men to unhe jaanti bhi nhi...Nikkah nama men parha tha naam..
Alizey: aab too buss ek hi rasta bachta hai...tum Aarman Bhai ka address pta karwao..aur yahan se bhag jao..
Aarzoo: nhi Alizey!! Bhagna har masle ka Hal nhi hai...
Alizey: please Meri baat samjho Aarzoo!! isi men tumhari bhalai hai...
Aarzoo: lekin mujeh unka address nhi pta...
Alizey: GREAT!!! ....Tumhari Chachi ko to pta hoga...
Aarzoo: unhe kiyon pta hoga...woh mere Nikkah men nhi thi...
Alizey: yaaar..koi aur gawah jinka naam ho nikah nama par...
Aarzoo: haan..kisi Ahmed Salahudin ka naam tha lekin mujeh too ye bhi nhi pta k wo zinda hain ya nhi...
Alizey: Agar Ahmed Salahudin tumhare Chachu k dost the too Chachi ko too pta hoga na.. kiyon ke ese kaam sirf best friends k sath milkar hi Kiya jasakta hai..aab agar best friend hain ye tooo....
Aarzoo: haaan ye hosakta hai..men unse pochongi....
Alizey: pochongi nhi...abhi pocho bulke Chalo mere sath...
Aarzoo: abhi!!!
Alizey: haaan abhi....

(At Jamshed Suliman's house)

Aarzoo: Assalam Alaikum... Chachi..
Atika begum: W/Salam Meri bacchi kese aana hoa....Arre Alizey tum bhi aai ho.. aao...andar...

(Aarzoo aur Alizey atika begum see thori der edher udher ki baten karte hain)

Alizey: Aunty aap to Jamshed Uncle k sare doston ko jaanti hongi na....

(Iss baat par Aarzoo Alizey ko koni Marti hai)

Atika begum: haan Saab doston ko jaanti hon....
Aarzoo: phir too aap Ahmed Salahudin uncle ko to zaror jaanti hongi na....
Atika begum: nhi Ahmed naam ka too koi dost nhi tha unke doston men se...
Alizey: chalen aunty hum chalte Hain...late hogaya hai...

(Alizey aur Aarzoo door Tak pohochte hain tabhi atika begum unhe rokti hain)

Atika begum: ek second Aarzoo...ek dost the too unke Salahudin naam k. .lekin wo to Islamabad men rehte hain.....
Aarzoo: Thank you... thank you so much...Chachi.. please phuppo ko mat btaiye ga k men yahan aai thi...
Atika begum: theek hai Meri jaan....

(At home)

(Aarzoo jese hi Ghar men enter hoti hai samne Rasheeda begum khari uss hi ka intezar Kar rahi hoti hain)

Rasheeda begum: Aae...larki itni der kiyon lag gai...
Aarzoo: woo... phuppo extra class thi... Isi liye late hogai....
Rasheeda begum: accha...acha zyada na bola karo...buss ye btana tha k Kal tumhara Nikkah hai...
Aarzoo: Kiyaa????

(Aarzoo ko kuch samjh nhi aata k kese react Kare isiliye bhagte we apne room men chali jaati hai)

Aarzoo: ya Allah aab men Kiya karon... Alizey..uss se kese contact karon..Mera too phone bhi phuppo ne leliya hai...Namal haan Namal...

(Wo dorte we Namal k room men jaati)

Namal: arre Aarzoo Aapi Aram se..Kiya hoa aap ko...
Aarzoo: Namal mujeh jaldi se apna mobile do... please... aur dekho phuppo ko mat btana....
Namal: ok appi relax...ye Len mobile..

(Aarzoo on call with Alizey)

Alizey: Aarzoo please aab sochne ka time nhi hai...bhag jao...
Aarzoo: lekin kese....???
Alizey: uski fikar tum mat karo...men karlongi intezam...tum buss jawab do....
Aarzoo: theek hai!! Men tayyar hon..
Alizey: hmm...men tumhari aaj raat ki tickets book Kara rahi hon...aaj ki train se tum Islamabad nikal jaana...raat at 12 O'CLOCK... Men tumhe pick karlongi...ok packing karlena....
Aarzoo: ok bye...

...........................................
....................
..........
Hi guys! Hope u like this episode stay with me for the new update....
Love 😍😘

"My Unknown Man"(Mera Fojji)(Complete Short Story)Where stories live. Discover now