(Aarzoo POV)
Dear Diary,Akhir esa kiyon hota hai k har baar pehle se zyada takleef hoti hai...Kiya karon?? Men thak gai hon dar dar Kar rehte rehte....kabhi Jimmy se kabhi phuppo se to kabhi apni taqdeer se....men bhag Jana chahti hon.... Kahin dooorrrr!!!!!!.....
(Third Person POV)
(At University)
(Wo apni University k cafeteria men bethi table men Saar diya kuch lekh rahi thi...)
.......Kiya Kar rahi ho Aarzoo.....
Aarzoo: Allah!!! Alizey tumne too mujeh dara hi diya....kuch nhi buss...!!
Alizey: Aarzoo kab Tak... akhir kab Tak tum apna dukh iis diary k sath bathti raho gi....aur ye tumhare hath pe Kiya hoa....(Alizey Aarzoo k hath ki taraf eshara karte we kehti hai)
Aarzoo: Kkk..kuch nhi...buss wo Kal iron gir gai thi ghalti se hath par to wohi.....
Alizey: jhooot!!!! Kiyon Aarzoo?? Kiyon ye Saab sehti ho...chali jao wahan se wo ghar tumhare laiq nhi hai....
Aarzoo: Kahan jaon Alizey... Mera too koi nhi hai....
Alizey: accha please aab rona nhi Meri jaaan.... Chalo tumhe Ghar drop kardon...Aao...
Aarzoo: hmm....(At home)
(Aarzoo k ghar aate hi uske sar par pahar toot para jab usse pta chala k phuppo ne Jimmy aur uska rishta pakka kardiya hai....wo kamre men aati hai aur Zaro kattaar rone lagti hai)
Namal: Aappi!!! Please rona band karen....pareshan na hon men ammi se baat karongi.....
Aarzoo: Nnn... Namal.. mujeh Jameel se Shaadi nhi karni... please Meri baat samjho...mujeh nhi pasand wo...(Tabhi wahan Rasheeda begum aati hain)
Rasheeda begum: Aaae..larki pasand Kiya hota hai Han....Teri Shaadi too mere bete se hi hogi..Samjhi!!!!...Aur Namal too chal mere sath...aab agar yahan dekhi to moo tordongi Tera...chal...!!!...
Namal: Ammi!!!...ammii..(Rasheeda begum zabardasti Namal ko apne sath le jaati hain aur bahar se door lock kardeti hain)
(Aarzoo kafi der rone k baad apne Cupboard se ek box nikalti hai aur usse kholti hai jisme uske bachpan ki kuch photos aur uske parents ki photo hoti hai...wo photo nikalti hai aur apne seene se laga Kar rone lagti hai)
Aarzoo: kiyon ammi?? Kiyon chor Kar chali gai aap mujeh....ammi Abbo mujeh apne pass bola len please men yahan nhi rehsakti....
(Phir apne chachu ki photo nikalti aur unse baaten karne lagti hai)
Aarzoo: Chachu!! Kash aap hote mere pass...kitna pyar karte the na aap mujeh se...kabhi mere sath ye Saab na hone dete...kiyon chachu.. kiyon..gai aap....
(Rote rote uski nazar photo k neeche rakhe envelope pe parhti hai)
Aarzoo: ye Kiya hai???....aaj se pehle too kabhi nhi dekha mene ye....
(Aarzoo k envelope kholte hi Jo uske samne aata hai usse uske hosh urh jaate Hain)
Aarzoo: ye..ye kese..hosakta hai...nhi .nhi.....
(Kiyon ke Envelope men Nikkah nama mojood hota hai wo bhi uska..... Sath Jo ek letter bhi rakha hota hai.. Aarzoo usse uthati hai aur parhne lagti hai)
Aarzoo POVMeri jaan Aarzoo!
Men jaanta hon men ye ghalat Kar raha hon...aapko jab ye letter milega shayad tab tak men hayat na hon....kiyonke mujeh breast Cancer hai....mere bete mene Jo bhi Kiya aapki behtri k liye hi Kiya...aur mujeh yaqeen hai k Aarman aapka boht khayal rakhe ga...aap bhi uske sath khosh rehna...
Tumhara Pyara Chachu!
................ ...............................
..........................................
............
........
Third Person POV(Wo abhi Tak shock k aalam men bethi hoi thi...tabhi door k bahar ki awazen sun kar jaldi jaldi saman sametti hai...
(Tabhi Phuppo jaan andar aati Hain)
Phuppo: umeed aab Tak aakal tehkane aagai hogi.. aur agar nhi aai too Shaadi Tak raho band yahin...
Aarzoo: nhi nhi... phuppo men Shaadi k liye raazi hon...
Phuppo: acchi baat hai...warna mere pass aur bhi tareeke the....
Aarzoo: phuppo.. men Shaadi se pehle ek dafa University Jana chahti apni saheliyon se milna chahti hon... please....
Phuppo: accha...acha ...chali Jana.. lekin aagar edher udher gai...to chahe bil men bhi chup jao men tumhe nikal k laongi....Samjhi!!!!!
Aarzoo: Gg...jee............... ............
...........Hi, Guys wait for the new update...
Bye bye
Love 😍😘
YOU ARE READING
"My Unknown Man"(Mera Fojji)(Complete Short Story)
Storie d'amoreThis is the story of unknown marriege of Arman and Aarzoo....let's Read it!!!