Daya realized that till now he was the same person who smiles the very next day in case where he was accused or had to listen many taunts by seniors. Behind his smile too pain was hidden of which he got a slight glimpse.
Again silence prevailed for few minutes when Daya said " Iska matlab ye tumhe marne ki sajish hai. "
Abhijeet : Ho sakta hai.
Daya : Tumhe kal raat kuch ajeeb laga ?
Abhijeet : Nahi to. Maine dinner kiya aur medicines li.
Daya : Koi aur baat ?
Abhijeet thinked for a while and said " Pata nahi kyu par medicines lene ke baad mujhe bohot jyada neend aane lagi. "
Daya : Kahi medicines me to kuch gadbad nahi hai ?
Abhijeet : Ho sakta hai.
Daya : Tumhare pass wo medicines hai ?
Abhijeet : Ghar par honge.
Daya : Mai ek baar check karva leta hu.
Abhijeet : Thik hai. Jaise hi kuch pata chale mujhe bata dena.
Again silence.
Abhijeet : ( in a low tone ) Tum mere ghar par . . .
I mean mai to apne ghar par hi tha na.
Daya remembered the last night incidents.
Daya : Wo darsal mujhe kuch kaam tha isliye subah tumhare ghar par aaya tha. Par dekha ki tum so rahe the. Maine tumhe jagane ki koshish ki magar tum uth nahi rahe the . . . .
Abhijeet : ( in a deep tone ) Jab juth bola nahi jaata to kyu bolte ho ?
Daya remained silent.
Abhijeet : Kab aaye the mere ghar ?
Daya : ( in a low tone ) Kal raat.
Abhijeet : Kuch aur bhi chupa rahe ho. Kya hua tha kal raat ?
Daya : Wo mai kal raat so raha tha tab hi maine dekha ki tum mujhe chod kar ja rahe ho.
He then downed his head.
Abhijeet : Acp sir ne mera transfer rok diya hai. Ab mai yaha hi rahunga.
Daya : Mai tumse maafi mangna chahta hu. Mujhe maaf kar do.
Abhijeet : Tum pahle hi maafi mang chuke ho.
Daya : Mujhe pata hai tumne mujhe dil se maaf nahi kiya hai.
Abhijeet : Tumne bhi to nahi kiya hai mujhe. Dekho jo kuch bhi hua hai usme sirf tumhari galati nahi hai meri bhi galati hai. Mujhe maaf kar do.
Daya : Abhi to tum mujhe mana kar rahe the maafi mangne se aur ab tum khud maafi mang rahe ho.
Abhijeet : Wo isliye kyunki taali kabhi do haath se nahi bajti.
Daya : Accha dono ne maafi mang maang li. To maafi maafi cancel.
Abhijeet : Hmm.
Both of them shared smile.
Daya : Kya sab kuch pahle jaisa nahi ho sakta ?
Abhijeet : Ho sakta hai. Agar tum chaho to.
Daya : aur tumhara kya ?
Abhijeet : Mai to humesha se hi chahta hu. Tumne jawab nahi diya.
Daya : Mai bhi yahi chahta hu. Isliye to mai aaya tha tumhare ghar tumse baat karne lekin phir . . .
Abhijeet : Samjh sakta hu mai.
YOU ARE READING
Together Forever
FanfictionA story based on duo. Set after azadi ki jung 2. Duo lovers peep inside.