SHANTI-PRASTAV

1.7K 132 20
                                    

Next morning everyone was sitting at the court, the elders were eagerly waiting for the Shanti-prastav, they wanted to prevent the war at ant cost. Duryodhan, Dushashan, Ashwathama and Shakuni were getting bored, because what ever it is they will deny it anyways.

Amarsri enters the court, the soldiers on the sides kneel on one knee to show respect. She walks up to the center of the court, the very same place where the Kauravas attempted to disrobe Draupadi.

"PRANIPAT MAHARAJ." Amarsri greeted.

"KALYAN HO, HASTINAPOOR KE RAJ SABHA MAI RAJKUMARI AVANTIKA KA SWAGAT HAI. HEY RAJKUMARI, KURUO KA YEH MAHAN VANSH AAJ SANKAT KA BHAGI BAN CHUKA HAI, ISS SANGHARSH KO ANNT KARNE KA KOI MAARG DIKHAYIYE RAJKUMARI." Dhritrashtra said.

"MAHARAJ, PANDAVO KO UNKA RAJYA LAUTA DIJIYE AUR APNE PUTRO KO PRAYASCHIT AUR DAND KE LIYE SAJYA KIJIYE. UNKE PRAAN NAHI JAAYENGE YEH MAI VACHAN DETI HU, KINTU UNHE APNE SAMMAN KO CHODNA HOGA. YADI ITNA MANYA HAI TOH YEH YUDH TAL SAKTA HAI." Amarsri offered.

"RAJKUMARI ! INDRAPRASTH PE MERA ADHIKAR HAI, MAHARAJ KA NAHI. MAI KISI BHI STHITI MAI INDRAPRASTH KO LAUTAYUNGA NAHI. AUR JAB TAK KUNTIPUTRA INDRAPRASTH KE RAJA NAHI, UNHE YUDH KA ADHIKAR HI NAHI." Duryodhan said standing up, the elders sighed at his arrogance.

"ANYAYE KE VIRUDH YUDH KARNE KA ADHIKAR SABKA HAI, YUVRAJ. YEH TOH KUNTIPUTRO KI UDARTA HAI KI UNHONE ITNE VARSHO TAK YUDH NAHI KIYA." Amarsri said.

"MAHARAJ KA SAMMAN KIYA PAD-PAD PAR, VASTAV MAI KISI BHI STHITI KA ANNT USS STHITI KE ARAMBH SE HI NISHCHIT HOJATA HAI. MAHARAJ DHRITRASHTRA, ISS SANGHARSH KA ARAMBH BHI USI DIN HO GAYA THA JIS DIN MAHARAJ PANDU KA VAN MAI DEHANT HOGAYA THA AUR UNKE PUTRA HASTINAPOOR AAYE THE. AAPNE YADI USSI DIN RAJKUMAR YUDDHISTIR KO YUVRAJ GHOSHIT KAR DIYA HOTA TOH YEH STHITI HI UTTPAN NAHI HOTI. KINTU AAPSE AAPKE SINGHASAN KA MOH TYAGA NAHI GAYA." Amarsri said. Dhritrashtra gritted his teeth.

"YEH AAP KIS PRAKAR KI BHASHA KA PRAYOG KAR RAHI HAI, RAJKUMARI ? AAP SHANTI KA PRASTAV LAYI HAI YA SANGHARSH KA AWAHAN DENE ?" Shakuni accused.

"GANDHAR RAJ, SATYA KO APMAAN WAHI MANTA HAI JISE ASATYA SE KOI LABH HO." Amarsri said. Shakuni closed his one eye.

"KINTU SATYA TOH YEH HAI KI EK RAJA KA PUTRA HI RAJA BANTA HAI." Dhritrashtra said.

"KINTU AAP TOH KARYAKARI RAJA HAI MAHARAJ." Amarsri deadpanned, Bhisma smirked.

"SATYA TOH YEH HAI, KI AAPKA RAJYA ABHISHEK KABHI HUYA HI NAHI. TOH AAPKE PUTRO KO SINGHASAN KIS PRAKAR PRAPT HO SAKTA HAI ?" Amarsri said, Bhisma silently chuckled, Duryodhan gritted his teeth.

"ITNE PURANE ITIHAS KE PANNE KHOL KAR KYA LABH MAHARAJ, RAJKUMARI SATYA TOH YEH KI DYUT SABHA KE ANNT MAI PANDAVO NE 1 VARSH KA AGYATVAS SWIKAR KIYA THA. KINTU MERE BACCHE DURYODHAN NE EK VARSH PURN HONE SE PEHLE, ARJUN KO DEKHLIYA THA. HUM KUNTIPUTRO KO VANVAS SE MUKTI DENE KO SAJYA HAI YADI WOH YUDH KA HAT CHOD DE." Shakuni said.

"MANDIR KE PRANGAN MAI KARNE SE BHI ANUCHIT KARYA UCHIT NAHI HO JATA, GANDHAR RAJ. DYUT SABHA HI ADHARM THI, ISLIYE USKE PARINAMO KA KOI MAHATWA NAHI." Amarsri said pointing her finger at him. Duryodhan came down towards her.

"RAJKUMARI, KYA BHRATA YUDDHISTIR NE JAAN KAR KE APNI SAMPATTI, APNE BHAI, APNI PATNI AUR SWAYAM KO DAV PAR NAHI LAGAYA THA ? TOH WO ADHARM KAISE HO SAKTA HAI ?" Duryodhan asked.

"KISI STREE KO BHARI SABHA MAI NIRVASTRA KARNE KI CHESTA KAR AAPNE SARI SABHA KO ADHARM SIDDH KAR DIYA THA YUVRAJ. BHOJAN KE KIS NIVALE NE SHARIR MAI VISH FAILAYA HAI YEH KOI NAHI PUCHTA, SAMAGRAH BHOJAN KO VISHYUKT MANA JATA HAI." Amarsri said, Duryodhan, Dushashan, Ashwathama and Shakuni gritted their teeth.

"INDRAPRASTH KI BHARI SABHA MAI HUME BHI NISHASHTRA KIYA GAYA THA, BHUL GAYI AAP ?" Duryodhan asked.

"USS SABHA MAI JAB AAPKE SHASHTRA UTARE GAYE THE, TAB AAPNE YUDDH KA AWAHAN KYU NAHI DIYA YUVRAJ ? DYUT SABHA MAI PRAPANCH KARKE EK STREE KO NIRVASTRA KARNE KI YOJNA KYU BANAYI AAPNE ? SATYA TOH YEH HAI KI SURYAPUTRA KARN KE JANE KE BAAD AAP KE PAAS YUDH KARNE KA SAMARTHYA HI NAHI BACHA." Amarsri said.

"RAJKUMARI AVANTIKA, USS DYUT SABHA MAI MAHAMAHIM BHISMA AUR MAHAGURU DRON BHI THE, KYA INHONE BHI ADHARM KIYA ?" Shakuni asked, proud of his question.

"AWASHYA KIYA, JAB SAMAAJ AUR MANAVTA KE PRATI KOI APRADH KAR RAHA HO, TOH KEVAL APNE VYAKTIGAT DHARM KO SAMBHALNA ANARTHKARI HOTA HAI. DHARM KA YEH AISA VICHITRA ROOP HAI, JISE MAI MANYA NAHI KAR SAKTI." Amarsri said glancing at both Dronacharya and Bhism, they both lowered their gaze.

"YEH SAMAYE DHARM-ADHARM PAR CHARCHA KARNE KA NAHI HAI, YEH SAMYE HAI EK MAHAYUDH KO TALNE KA PRAYAS KARNE KA." Vidur said.

"AUR ISSI LIYE TOH MAI SHANTI-PRASTAV LAYI HU, MAHAMANTRI." Amarsri said.

"JO MUJHE MANYA NAHI HAI." Duryodhan said and walked past Amarsri.

"YADI ISS SAMYE SABHA KA TYAAG KARENGE YUVRAJ TOH HUMARA MILNA RAN BHUMI MAI HOGA MAHARAJ." Amarsri said.

"DURYODHAN, THEHERO." Dhritrashtra stopped him.

"RAJKUMARI, DAND KI BAAT KARKE AAPNE SHANTI-PRASTAV KO SWIKAR KARNE YOGYA RAKHA HI NAHI. KOI BHI YODHA DAND KIS PRAKAR SWIKAR KAREGA ?" Dhritrashtra said.

"AUR KAUNSA YODHA APNE HI PARIVAR KE STREE KO NIRVASTRA KARNE KI CHESTA KARTA HAI MAHARAJ ?" Amarsri said silencing Dhritrashtra.

"KINTU FIR BHI MAI VACHAN DETI HU, DRAUPADI KE CHARAN SPARSH KAR KSHAMA MAANGLI JAYE TOH KUNTIPUTRA USE BHI DAND MAANLENGE." Amarsri proposed. Duryodhan turned around offended.

"KYA ITNA HO PAYEGA YUVRAJ ?" Amarsri asked facing him.

"RAJKUMARI, YEH KSHAMA, DAND, PRAYASCHIT VYARTH KI BAATE HAI, KRIPIYA KOI AISA PRASTAV DE JO MANYA KIYA JAA SAKE. MAI AAPSE VINTI KARTA HU." Dhritrashtra said joining his hands, Amarsri sighed.

"MAI AAPKA SAMMAN KARTI HU MAHARAJ ISLIYE EK ANTIM PRAYATNA KARTI HU." Amarsri said.

"NA KSHAMA, NA DAND, NA SAMRAJYA, NA SAMPATTI, KUNTIPUTRO KO PAACH GAVO PAR SWATANTRA ADHIKAR DEDIJIYE, KEVAL PAACH GAV." Amarsri proposed.

"BHRATA DURYODHAN, MUJHE RAJKUMARI YEH PRASTAV UCHIT PRATIT HO RAHA HAI." Yuyutsu said.

"APNE RAKSHAN KE LIYE BHAYE LAG RAHA HAI, YUYUTSU ?" Duryodhan asked.

"APNE RAKSHAN KE LIYE NAHI, KEVAL YEH MAHAYUDH TAALNE KE LIYE." Yuyutsu said.

"SHANTI KE LIYE KUNTIPUTRA APNA ADHIKAR TYAAG RAHE HAI, TUM AHANKAR TOH TYAAG HI SAKTE HO DURYODHAN." Bhism said.

"YUVRAJ, RAJKUMARI UCHIT KEH RAHI HAI. PAACH GAVO KA PRASTAV SWIKAR KAR LIJIYE." Vidur requested.

"MAHARAJ DHRITRASHTRA, ADHIKAR AAPKA HAI, AAP MANYA KAR LIJIYE." Dronacharya said.

"PUTRA DURYODHAN, MANYA KARLO YEH SHANTI PRASTAV. ISS YUDH KI BHISHANTA SE ARYAVART KO MUKT KARDO PUTRA." Dhritrastra requested.

"YEH PRASHNA AB VYAKTIGAT BAIR KA HAI, MUJHE YEH PRASTAV SWIKARYA NAHI." Duryodhan said as he went towards Amarsri.

"SUNO RAJKUMARI, PAACH GAV TOH KYA SUI KI NOK PAR REH SAKE, BHUMI KA UTNA BHAAG BHI MAI UNN KUNTIPUTRO KO NAHI DUNGA !" Duryodhan said. Amarsri looked at him.

"NIRNAYE LENE SE PEHLE, ANTIM VICHAR KAR LIJIYE YUVRAJ. KAHI AISA NA HO JAB AAPKO AAPKA BHAVISHYA NIKAT AATA DIKHE TOH SWAYAM KE RAKSHAN KE HETU AAPKO BHAGNA PADE." Amarsri said in a deadly tone.

"MERA RAKSHAN CHODO, APNA RAKSHAN KAISE KAROGI ?" Duryodhan said, the elders felt a churn in their stomach.

"DURYODHAN AISA KUCH MAT KARNA JISSE TUMHE PACHTANA PADE." Dronacharya warned.

"GURU DRON AAPKE PRAAN EK STREE KO DEKHKE SUKH GAYE ? YEH KIS PRAKAR KA SAMARTHYA HAI AAPKE PAAS." Duryodhan taunted. He then turned around and faced Amarsri.

"USS DIN DRAUPADI ISS PURUSHO KE SABHA MAI AKELI THI AUR AAJ TUM HO." Duryodhan said, Amarsri raised her brow at him.

----------------------- 
A/N
ISE KEHTE HAI, PRAAN JAYE PAR GHAMAND NA JAYE.

THIS IS THE FIRST UPDATE FOR TODAY.
VOTING IS OPTIONAL BUT APPRECIATED.
STAY SAFE ❤️

HARIHARESHWARI 1 : DHARMSTHAPNAWhere stories live. Discover now