Chapter-1 Dil se bandi ek dor

217 15 1
                                    


"Please mere traf dekho...muje pata he mujse bohot badi galti hue he but ye jo bhi hua he ajane me hua he ..I am really sorry . Tum kuch bol kyu nahi rahi ho"
usne us ladki ki ankho me dekha ...uske ansu he ki rukh ne ka naam hi nahi le raha ..jithni baar uski taraf dekh raha tha uthni baar guilt me ladke ki buri haal hua ja raha tha .
Adhe ghate ke silence ke baad voh utke khadi ho gayi aur darwaze aur chalne lagi

"Arey ja kaha rahi ho ... doctor ne tume rest karne ko bola he ..yahi ruk jao it's not safe " ...but uski baat puri hone se pehle hi usne darwaza khola aur daud ne lagi
..."arey ruk jao ...kaha jara hi ho ...it's not safe ruk jao ...."
"Sidharth beta utt ... humesha ki tarah vahi sapna hena" Sidharth ek jhatke me uta
"relax maa me tik hu " usne apne dono haat strech kiye. Aur mathe pe jo pasina tha voh apne bedsheet se pocha ..

"kya baat he Sidharth laga tar tum ko ye sapna kyu atha he ...ab tho batha de muje"
"Kuch nahi he ma ...kyu atha he....ye muje bhi patha nahi " Sidharth ne bina maa ke taraf dekhe jawab diya aur bed se uthar kar washroom ke aur chalne laga
"Sidharth .... beta ma hu , tumhari har ek chees se vakif hu , jut tho tuje bolna hi nahi ata ..kher chodo har roj vahi sawal aur tumare vahi jawab ...chay table pe rakha he pee lena ..me Mandir ja rahi hu"
" Dyaan se jana ma ...me aaj late ho jaunga important meeting he ...late avunga " Sidharth closet se apna towel aur kapde leke washroom ke andar gaya ...

Rita ma ...humare hero Sidharth ki ma ...inki aura hi alag he ... humesha sir uta ke chalti he ..dikhne me aur rahn sehan me ek normal simple Indian woman, unko dekhe koi ye nahi keh sakta ki voh India ki most successful business man ki maa he...kyu ki voh bohot down to earth he aur simple rahna pasand karti he Sidharth duniya me sab se jyada pyaar unhi se kartha he..isliye apne kahi alishan banglow chod ke apne maa ke saath ek flat me rehta he...

Sidharth washroom se shower leke bahar aya ...he looked so unaffected ..kyu ki usko ye sapne ki aadat pad chuki thi
"Ramesh break fast ready kardo me gym karke aya ...jaldi nikal na he aaj.." Sidharth ne room se chilla ya
"Ji bhiyya nashta ready he aap bas aajo "...
Ramesh salon se Sidharth ke ghar kaam karta he ... employee jaisa nahi balki family ki tarah treat kartha he Sidharth ramesh ko .
Sidharth ready hokar breakfast karke meeting keliye nikal tha he ...flat ki darwaza band karke lift ki taraf badne lagtha hi he ki ek ball ake uski pav se takra tha he
"Arey kya aap mere ball uta ke donge ...please " Sidharth ne mud ke awaz jaha se ayi us taraf dekha
Use dekhthe hi Sidharth ki dil zor se dhadkne laga pata nahi voh kon si dor thi jo use uski taraf keech le ja rahi thi ....samne ek choti si bachi khadi thi usne yellow color ki floral print vali dress pehni thi
Sidharth ne juk ke ball utaya aur us nanhi pari ke haat me de diya ...
"Aap tho bilkul doll ho ...naam kya he baby ka "
"Ziya ...thank u buddy"
"Buddy aur me " Sidharth ne ek cute si smile pass ki aur use pucha ....
"Haan aap muje ache lage isliye ...bye buddy chalthi hu ...nahi tho sanu dategi'"
Uski khil khilata chehre se Sidharth ki anke hat hi nahi rahi thi ...dikhne me char panch saal ki he ...ek dam doll jaisi
"Sanu kon apki mummy he"
"Arey nahi voh tho meri aunty he ...bye me ja rahi hu " .... Sidharth ki aur kuch puchne se pehle hi voh tho vaha se bhag ke chali gayi .....uske dur jaane tak najane kyu voh use dekh tha raha aur ajane me uske bola "ziya"
But is ek mulakat na jane aisa kya tha ki uske chehre pe ek halki muskan chod gayi ..
"Ziya ....indeed she is a ray of light'.

.

.............
Ab aage khani konse mode legi .....wait for the next chapter...

Note : hey guys hope u like it .... please do comment and rate the chapter .. aapke reviews bohot important he taki me agese acha likhu aur improve karu ...so please apna review comments kardena ...thanks for reading

Megh Malharजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें