Kabhi kabhi jyada sochna nahi chahiye ...just go with the flow ... zindagi age kya mode le hume kaya pata ...
Par yaha koi he jo soch me dube hue the ...janab apne office me baite he....
bohot restless he ...Aur kon ho sakta he humare Shukla ji hi he..."May I come in " Shuklaji ko apne khayalo ke duniya se bhar laya voh awaz
"Yes . Come in" Sidharth responded." Kamine kithni Barr phone kiya ...uta tha kyu nahi he ...thu phone leke ghumtha kyu he jub uska use nahi karta ...jake achar daal iska." Ek aadmi tsunami ki tarah andar aya, he seemed to be hell irritated with Sidharth.
Sidharth- "Shanth Vipul, tu bait ,voh phone silent pe tha shayad isliye ...kya baat he kuch kaam tha"
Vipul - "kuch khas nahi ....kyu kuch kaam ho tho hi tujhse baat kar sakta hu kya ? "
Sidharth - "arey aisa kab bola mene ...me tho generally puch raha tha .."
Sidharth ka bachpan se dost he Vipul Jha , best friend , zindagi ki har sukh ,dukh me usne Sidharth ka saath diya he ... Sidharth ki chote se chota change yu pakadletha he vipul.
Vipul -"kya hua Sidharth, tu kuch disturbed lag raha he, maa tik hena "
Sidharth - " maa tik he Vipul par..." Voh bolthe bolthe bich me hi ruk gaya , aur apne seat se uthkar window ke pass ja kar khada hogaya ....
Vipul -" muje patha he bahar ka nazara bohot khubsurat he , use niharna band kar aur bol hua kya " vipul ne environment ko thoda light karne ki koshish ki
Sidharth - " shut up" he glared at him.
Vipul - "ab muje ghurna band kar aur bol"
"Shehnaaz ".....Sidharth ankhe band karke sirf itna hi bola .
Vipul - "Not again bro....kuch mahino se uska naam nahi liya tho muje laga ki tumne move on kar liya hoga ...me bhi kitna bada ghada hu , jo tum se adhe ghante se puch raha tha kya hua ,kya hua ....muje pehle hi samjh jana chahiye tha ..
The great Sidharth Shukla ko ,sirf ek hi insaan iss duniya me itna affect kar sakta he voh he Shehnaaz Kaur Gill ...jise voh sirf zindagi me ek hi baar mila he ..." Vipul Sidharth ke taraf dekh ke tumhara kuch nahi ho sakta vala look deta he.Sidharth - " main use mila vipul ..bath bhi ki "
Vipul - " are you serious , kaha pe ? Voh India kab ayi vapas ? "
Sidharth - " voh humare building me shift hue he , bagal vale flat me "Vipul looked surprised " kya ab prblm kya he , laila tho majnu ki itni karib he patale use..."
Sidharth - " shut up Vipul, muje lagtha he voh uss din ki baat ko ab tak bhuli nahi he, but pretend tho aise kar rahi thi ki usko kuch affect nahi karta ab...but mene uske ankho me pain dekha he aur ek ajeeb sa dar ..."
Sidharth ko voh dard khud mehsus ho raha tha.
Vipul- " ek baat puchu , tune abhi tak muje se bhi ye baat share nahi ki akhir us din hua kya tha , jo tum dono ko itna affect kargaya ...paanch saal hogaye ...tune apna party life chod di ...jo Sidharth club jaye bina rah nahi pata tha voh us din ke baad us taraf mud ke bhi nahi dekha , kisi aur ladki ki taraf bhi nahi dekha tune us din ke baad, "Sidharth ek faint smile deta he vipul ko ..
vipul continues "drink karna bhi chod di ..... jo ki ek achi baat he ...usne tho country hi chod di , aur Canada chali gayi..ab tho bata de , ab tak tho tu isliye nahi bata raha tha na tuje koi ummid nahi tha ...but ab tho destiny ne use khudh teri pass leke aya he ...batha do ...shayad me tera madat kar pau "Sidharth do minute sochne ke baad bol ne laga ... guilt uski ankho me dikh raha tha par ek faint smile bhi tha chehre pe ...."Tuje yaad hena hum us din Mr .Joshi, Priya ke papa ke birthday party pe gaye the westen hotel"
Priya Joshi vipul ki girlfriend he aur Sidharth ki family friend.
"vaha pe mene use pehli baar dekha aur dekh tha hi rah gaya....."
आप पढ़ रहे हैं
Megh Malhar
FanfictionMegh Malhar Sangeeth me ek aisa ragh he jo man ko moh letha he ...kehte he ki jab bhi is raag me koi dil se gatha he tho vaha par baarish hoti he ye kahani bhi kuch istara he Megh Malhar ki tarah ...pyaar jo dilo ko jod tha jab dil se kiya jatha he...