Chapter 3 - Ae dil ijazat hai tujhko karle mohabbat zara

71 10 2
                                    

"Sidharth ruk muje baath karni he tujh se" rita maa ghar me vapas ate hi Sidharth se baat karna chahthi thi. Sidharth ye expect kar rahata pehle se hi ....

"Maa aap baiti ye" , Sidharth ne Rita ma ko couch pe baithaya aur paas bait gaya

"Ab bolega kuch ya aise hi sir niche karke baita rahega ...tum dono ek dusere ko kaise jaan the ho aur sana ne aisa react kyu kiya tuje dekh kar" Rita ma ke ankho me bohot sawal the.

Sidharth ne ek lambi saas li " maa hum ek dusere se sirf ek baar hi mile he. Panch saal pehle mene use ek party me dekhta . Aur Uss din muje se bohot badi galti hogayi thi but maa jo bhi hua anjane me hua tha.... misunderstanding hogayi thi ...ise jyada me aap ko kuch nahi bata sakta abhi ...sorry maa.."
Sidharth looked away

Rita ma " beta tum dono ke bich aisa kya hua me nahi puchungi ....but ek baat tu humesha yaad rakhna jaane anjane kisi ladki ki dil nahi dukhana chahiye ...agar tujhse galti hue he... tho use sudharega bhi tuhi.."

Sidharth's POV

Ye galti ko kaise sudharu maa jo ek tarah se galti lagthi bhi he ....ek tarah se nahi bhi ...pata nahi ....but am glad panch saal baad destiny ne fir se use mere samne laya he , dekhte he zindagi aage hume kaha le jana chahti he...

"Maa aap jake rest kiji ...muje kuch important calls karne he , me atha hu ...good night" bath ko vahi talke....voh rita maa ke forehead pe kiss karke vaha se nikal jatha he ...

"Heh bhagwan kab iss ladke ke ki life me khushiyaan ayegi..."Rita maa itne saalo me hope hi chod chuki thi..

Yaha pe sana apne room ki balcony me baiti he...... Voh apni hi duniya me khoyi hue he ...

Sidharth aur Shehnaaz ke flats aju baju me he aur undone ke rooms ki  balcony bhi linked he matlab ek balcony se araam se dusere balcony tak jaa sakte he (I mean ek balcony se dusere balcony me khud ke jaa sakte

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Sidharth aur Shehnaaz ke flats aju baju me he aur undone ke rooms ki balcony bhi linked he matlab ek balcony se araam se dusere balcony tak jaa sakte he (I mean ek balcony se dusere balcony me khud ke jaa sakte ....iss balcony ka bohot importance se iss story me yaad rakhna ..aage bohot kaam ayega😉)

Sana apne khayali duniya se bahar ayi jab usne bagal wale balcony se ek gaana bajthe suna ...aur kon hoga Sidharth hi he voh bhi apne balcony me bait ke overthink kar raha tha( jo ki uski ek badi khubi he...... kisi baat ko soch soch ke pahad jaise complicated banana inse seeke koi)

Dono gane me khoye hue he

ae dil ijazat hai tujhko
karle mohabbat zara

kya sochta hai tu aajkal
mujhko bhi de tu bataa

jitni bhi chhahe sapne sajaa le
aankhon se khwaabon ka hai

yeh silsila, haan.. yeh silsila

Achanak se gana bajna band hojatha he.... Sidharth gana band karke utke room me jane lagtha he ....usne abhi tak sana ko nahi dekha dusere tarf balcony me baite hue ....

Sana us gane ki aage vali lines gaane lagthi he ...aur voh vahi ruk jatha he

haq mujhe bhi toh hai
pyar mai bhi karun

yeh bhi hai koi gunaah
ishq mehsoos karna hai
ab umar bhar

bin iske jeena bhi kya
ae dil tu bun le
chaahat ke sapne

kar de shuru ishq ka
Ye silsila.. ye silsila

ek dusre ko dekhte hi,dono ka vakt vahi tham jatha he.....unki ankhe ek dusre se bohot bathe karthi he jo juban nahi kar parahi thi ....sana ke ansu bhare ankhe Sidharth ke dil me kuch kuch kar rahata ...kyu dard mehsus ho rahta use khudh nahi pata tha

Sana mud ke andar jane lagthi he
"Shehnaaz ....kya do min baat kar sakti ho please ..." Sidharth ne roka use

"Muje baad me patha chala Sidharth jo kuch bhi hua tumne jaan ke nahi kiya... Panch saal hogaye sidharth chodo us baat ko kyu yaad karna ...me us incident se bandi hue nahi hu ...raat gayi baat gayi chod ke aage badh bhi gaye " sana ne jawab me kaha ...

"Tumhe dekh kar tho ye nahi lagta ki voh raat gayi baath gayi vali baat thi tumhare liye " Sidharth ne curiously sana ka jawab ka indzar kiya

"Nahi tha ...bohot fark pada tha muje ...par kab tak use bandi rahti ...jiski zindagi me koi matlab hi nahi he " sana ne Sidharth ki ankho me dekh ke hi jawab diya .

Sidharth kuch bolne hi vala tha tabhi
"Sanu tum kaha ho muje nini nahi arahi story suna dona " ziya balcony me ayi uski favourite yellow teddy ke saath ...

"Buddy ...aap tho itne pass rehte ho ....sanu muje story sune vali he aap bhi sunoge" ziya asked innocently

" Haan baacha kyu nahi ...aap ki masi achi story sunathi he ?" Looked at sana
"aap ko pata he aap dono same same ho"
Dono ne ziya ke taraf dekha voh kaise vala look
"Aap dono muje pyaar se bacha keh ke bula the ho " giggled .
Dono ke chehre pe automatic smile agaya .

"Ek baat puchu ...aaj aap muje story sunaoge" ziya Sidharth se pucha

"Aaj nahi bacha ...fir kabhi sunaungaa promise " Sidharth replied with a smile .

"Raat kafi hogayi he me chaltha hu ...good night ...aur ek baat shehnaaz bandh tho tum jarur gayi ho" ....gave her a wide smile aur room ke andar chala gaya .

Shehnaaz's Pov

Tik kaha tumne Sidharth bandh me gayi thi us din aur aaj tak taklif de raha he ...paanch saal baad himmat ki he ...ye sab face karne ka ...aage jo bhi hoga bhagwan ki marzi ...me khudh ko nahi rokungi ...nafrat tho karna chahta dilne tujhse ...par voh bhi na ho paya ."

"Sanu ... story" ...ziya demanded with a cute pout ..."haan bacha andar chalo" sana ziya ko leke andar chali gayi


dil ne mujhse ijazat bhi
maangi nahi

waisa hai yeh dil mera
ishq dobara bhi hota hai
kya is tarah
koi bataa de zara

maine toh aisa socha nahi tha
kaise shuru ho gaya

yeh silsila, haan.. yeh silsila


Note : hey guys ... please do rate the chapter , comments bhi karo please ..
Aur jude rahi ye .....next chapter past ko reveal karungi kyu ki iss journey ne past se jyada present important he...





Megh Malharजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें