Jab kisise itna saccha pyaar kiya ho aur phir bhi taqdeer apko juda kar deti hai.. tab ya toh pyaar shabd se hi bharosa uth jaata hai ya phir uss pyaar se bichadne ka gham hi apka wajood bann jaata hai.. tab koi aisa insaan apki zindagi mein ho, jo apke toote dil ko anjaane mein jod raha ho, uss zakhm ko bhar raha ho.. toh kya woh apke dil aur zindagi mein jagah nahin bana sakta? Kya yeh uss pehle sacche pyaar ke saath naainsaafi hogi? Kya phirse pyaar ho sakta hai?