Hello everyone.. Thanks for the support.. Keep supporting...
To shuru karte hain...
Next morning...
Aaravi get ready and Goes to Khurana industry..
At Khurana company...
RK: Tumko humne kaha tha ki Oberoi company ke CEO se meri meeting fix karavo.. Par apse ye kaam bhi nahi hua... Mujhe Kabir ko CEO banna hain.. Or bina Oberoi ke CEO ke broad meeting mein koi bhi decision nahi le sakte..
(Rohan Singh-RS,RK's secretary and trusted employee)
RS:Sir kisiko ye hi nahi pata ke Oberoi company ka CEO kon hain... And maine bahut try ki par meeting fix nahi hui..
RK:Aree... Ek yahi samjh mein nahi aa raha ke itna sharp insaan duniya se chipa kyu... Uske jaise CEO puri world mein koi nahi hain....
Aaru enter in meeting room..
Aaru:Thanks for the complement. .
RK turned and saw her.
RK : Aree Aaravi itne din baad uncle ki yaad aai tumhe... Achanak chali thi... Or achanak aa bhi gai....
Aaru goes and side hugged to RK..
Aaru: Vo kya hain uncle kaam ke chakkar me nahi ho paya milna...
RK: To aaj kaise...
Aaru: Aaj bhi nahi aati ..par kya karea apki company ke broad ke mamber hu and apki company ke 20% share mere hain.. To aana pada ye deal rokne..
RK: Kya matlab... 20% share, broad ke member and all that...
Aaru:Jise itne din se meeting fix karvane ki kaushish kar rahe vo hi hu main.... Aaravi Oberoi Oberoi company ki CEO...
RK:Kya.... Tum hi ho...
Aaru: Ji..
RK: Are come sit...
Aaru Sit : thank you..
RK: Whh... Matlab kabhi socha nahi tumse aise miluga..
Aaru:maine bhi..
RK:Kis deal ki baat kar rahi thi..
Aaru: RS(Rai Singhania) ke sath jo ap deal kar ho Kabir ki shadi karva ke us deal ki..
RK : Samjha nahi main..
Aaru:Ap chahete ho ki Kabir CEO bane.. Right..
RK:Haa...
Aaru: To apko ye deal todni chahiye...
RK: Kyun todni chahiye..
Aaru:Look uncle.. Ap sirf Kabir ko CEO isliye banna chahete ho kyuki apko pata hain ki Khurana industry ko Sirf Kabir hi us bulandiyo tak paucha sakta hain.. Jaha hona chahiye.. Right...
RK:Right..
Aaru: To agar is shadi se apne ye deal crack kar li to... Kabir apne ko prove kaise karega... And even I don't think so ki ye janne ke baad broad mamber Kabir ko CEO banayege...
RK:Vo bhala kyu...
Aaru: Uncle kyuki broad mamber use CEO banate jo layak ho..
RK: Kabir har tarah se layak hain..
Aaru:Vo mujhe bhi pata... But jab insaan ko sari chij bin mange mil jaye to vo insaan layak se nalayak ho jata hain...
RK: Ye to hain..
Aaru: To uncle ap khud sochiye ki agar is shadi ye deal crack ho gai to Kabir apne ap ko prove kaise karega... Ek business man ki tarah sochiye...
RK started thinking...
Aaru(herself) : Kya talent hain Aaravi.. Kya baat hain ek business man ko sochne pe majboor kar diya.. I am proud of you Aaravi..
Aaru: Bas itna hi kahena tha... Apse chalti hu... Bahut sari meeting hain mujhe aaj... Bye..
RK: (getting out from his thought)Bye beta..ghar aana jarur..
Aaru: Jarur...
Aaravi came out from meeting room..
Aaravi saw Diya near door of meeting room..
Aaru : Tum yaha...
Diya: Ha aana pada papa ne bheja tha...
Aaru: Ooo.. To ap DRS ho na ki Diya..
Diya : Tuna kabhi nahi badalne wali...
Aaru: Kya fyada badal. Ke.. Kaam khatam karlo sath me chalte hain..
Diya: Thik hain..
After some time Aaravi and Diya leaves together from their..
Diya: To kaisi rahi..
Aaru:Kya kaisi rahi...
Diya: Jo kar rahi thi andar..
Aaru:Accha... Vo pata nahi maine kar to diya par ye dav ulta bhi pad sakta hain... Ye ap dono ke naseeb pe depend karta hain...
Diya: Tab to ho gaya... Bahut acha naseeb haina... Humara...
Aaru: Sab thik hoga tu chal... Main kuch galat hone hi nahi dugi...
Diya:Haa... After all pyaar karti hain Kabir...
Aaru: Kuch bhi .... Aesa kuch bhi nahi hain.. Ye sab chod.. Kahi drop karna ho to tujhe drop kardu main..
Diya: Nahi.. Mujhe thoda aur kaam hain.. Vo finish kar chali jaugi... Tu jaa... Byeee.
Aaru: As your wish.. Byeee
Aaravi leaves from there..
Diya: Tu kitna bhi mana kare.. Par ye sach koi bhi badal sakta ki.. Aaravi tu Kabir se pyaar karti hain. Or Kabir tujhse pyaar karta... Or main tum dono ko ye realize karva ke rahugi.. Or Diya ka nahi DRS ka vada hain.. Aaj tak DRS ka vada kabhi nahi tutta..
In Aaravi's Car..
Aaru:
Ye saza kis gunah ki
Khud ki hoke khud ki na ho saki
Hain pyaar mera bhi sacha
Fir bhi apne apko vaha chod aai ki
Jaha se koi vapas nahi aa sakta..
Khud ka soda karke hu bethi..
Ye zindagi meri hoke bhi na hui meri
Kaise karu pyaar usse aab kyuki
Main Khud ka soda karachuki( Hum na to shayar hain na to kavi...
Fir bhi likh diya... Don't judge..Pata
It's not perfect🤭🤭)Aaru:Apne apse to juth nahi bol sakti.. Haan karti hu pyaar main Kabir... Meri zindagi ka pahela Or aakhir pyaar hain Kabir... Par kya karu main.. Jab ye meri zindagi khud ki nahi hain.. To kisi or kaise du apni zindagi... Meri zindagi pahele hi kisiko de chuki.... To ye pyaar karna hak bhi gava chuki hu... Fir bhi dil kisiki sunta.. Dil kabhi puchta nahi sirf order deta.... Par use follow karna ki na karna hum par depend karta... Or is pyaar ko main hamesha ek tarfa rakhugi ye mera faisla hain...
A tear falls from her eyes...
To be continue. . .
Sorry for delay...
So aaj ke liye itna hi... Next kal aayega....
Kaisa laga comment kar ke batai.... Or agar accha laga ho to niche diye gaye star wale button ko press karke vote kijeye...
Or koi suggestion ho ya koi demand ho to comment kare yaar direct massage kare...
Byeee. Take care
YOU ARE READING
Tere Liye-A pure relationship
FanfictionIn this story same character of maddam sir but with different name and different story...