Ek Tarfa Pyar

5 1 0
                                    

...Mehak ke message ke baad Aarav khush bhi tha aur confused bhi.
Par pyar tha uska toh excitement me kar diya usne reply:

Aarav: hey Mehak! how are you

Mehak: I'm fine. Aap kaise ho

Aarav: Me acha hu...aap batao kaha ho aaj kal.

Mehak: bas yaar kaat rahe hain life. aur kar bhi kya sakte hain.

Aarav: waise aap konse college me ho abi

Mehak: Yar maine New Delhi me admission liya hai St. Mary's College

Aarav: Aap Delhi chale gaye aapne bataya bhi nahi

Mehak: kaise batati apko aap toh busy insaan ho.

Aarav: nahi yar aisa kuch nahi hai.

Mehak: Music Band start kiya hai aapne sunne me aaya.

Aarav: han bas socha kuch kar lete hain time bhi pass ho jayega.

Mehak: wow! aap humesha se itne creative rahe ho kya

Aarav: hm! bachpan se

Mehak: kabhi bataya nahi apne

Aarav: Kaise batata...School me utni baat hi nahi hui humari

Mehak: han yar... miss kar diya bahut kuch haina...

Aarav: yes...waise apko kisne bataya humare band ke baare me.

Mehak: woh humare sath humara classmate tha na Sujal usne.

Aarav (mann me) : ek number ka ganda insaan hai woh...itni ghatiya soch wala...pata ni yeh ladkiyon ko aise ladke hi kyu milte hai dosti karne k liye...

Mehak: hello...are u there? kya hua

Aarav: kuch nhi...bas aise hi... waise aap batao aur kya chal raha hai life me ...

Aarav ab indirectly Mehak ke relation ke baare me puchne ki try kar rhaa tha...Shayad uske muh se sunne chahta tha.

Mehak: hmm ...jayada kuch nhi bas aise hi

Aarav (ghabraate hue): waise apka koi friend hai?

Mehak: bahut hain...aap bhi ho

Aarav: nahi matlab khaas wala koi...

Mehak (hanste hue): you mean boyfriend?

Aarav: ji han...

Mehak : chalo aapse kya chupaana...han ek hai life me...i think sabki life me koi ek special insaan toh hota hi hai.

Aarav : hmm

Mehak: aapki life me bhi hai koi special?

Aarav: nahi yr

Mehak: arrey bata do yar sharmaao mat maine bhi bata diya na...aap bhi bata do...friends me koi baat chupi nhi rehni chahiye.

Aarav: hmm...hai toh sahi...par uski life me special one koi aur hai.

Mehak: ohh! matlab one-sided love

Aarav: hanji...ek tarfa pyar aur me lachaar...

Mehak: don't worry yar aap fikar mat karo...usko bhi ho jayega apse pyar...phir one-sided nhi rahega.

Aarav: nahi yar... aisa na hi ho toh acha hai.

Mehak: kyun? aap ni chahte woh bhi aapse pyar kare.

Aarav: woh pyar kare yan na kare bas me itna chahta hu ki usko pata chale ki me bhi usse kitna pyaar karta hu...bas yeh kehna chahta hu baaki aur kush nhi.
Ek baar keh dunga toh dil ka bhoj thoda halka ho jayega.

Mehak: toh keh do na. kya problem hai

Aarav: kaise keh du...woh already kisi aur ke sath hai...acha ni lagta aise...

Mehak: han woh bhi hai...kaafi confused case hai apka...acha chalo me aapse baad me baat karti hu actually mere bf ka call aa raha hai.

Aarav: okk...bye

Kisi ka itna bura na kate jitna humare Aarav ka kata hai...
Jiss situation me iss waqt Aarav tha shayad aisi situation me koi nahi aana chahega.

Par aage zindagi kaafi mod lene wali thi...
Aur iss kahaani ka bhi anjaam ab durr nahi tha.

(To Be Continued)

Written by:
ABHISHEK SINGH RAJPUT

First Tragedy 2 - Hindi Short Story जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें