04: mission amdheer planning

495 18 28
                                    

Karamchand, mogar and veer reached sahani house to plan with vashmay.....they were going to enter the couple's room when they stopped at their tracks hearing their conversation
V- oye uday tujhe nhi lagta ki humari naak ke niche kuch alag hi chl rha hai
U- oye matlb mai samjha nhi
V- "chiding him" oye tu kitna bewakoof hai kl dekha nhi mogar bua kitne pyaar se uss bevde ko khaana khila rahi thi
U- haa toh khilaengi hi na iss ghr ki beti ne uss bevde se shaadi jo ki hai randheeer sahab ki zindagi barbaad krke
V- oye tu chahe kitna hi bol magar daal mai jarur kuch kaala hai pehle hi mainu yeh baat hajam nahi ho rahi ki randheer se itna pyaar krne wali amrit uska dil todkar uss bevde se shaadi kr baithi hai aur upar se kl mogar bua ki woh harqatein
Aur abhi thode der pehle uss khatam singh ka aana
U- uss bevde ka chota sa chamcha aithe aaya tha!!!
V- haa!! keh raha tha ki mogar bua ne bola hai ki veer sahab yaha hai toh mai milne chala aaya
U- par mogar bua aisa kyu bolegi kahi uss veer ne mogar bua k saath kuch kiya toh nhi na
V- oye pata nhi par subah se amrit aur randheer ki bhi badi fikr si ho rhi h
U- oye uss ladki ka naam mt le mere saamne jisne pyaar se zyada paison ko tawajub di aur berhami se humare randheer sahab ka dil tod diya... Kitna pyaar karte the woh uske naal.... Apni jindagi ki parwah na krte huye use bachaaya aur usne yeh sila diya
He got interrupted by veer's voice as he entered their room
V- ji bohot khushi mili hume yeh jaan ke ki aap dono humare chote bhai se itna pyaar karte hai par dukh aur taras bhi bohot aa rha hai aap dono par
U- oye tu yaha ki kr rha hai ha ja bhanu veerji bahar honge waha jake apne yeh drame kar aur apna chota bhai kise kaha tune ha
V- aapke randheer sahab ko
U- "annoyed by veer"oye subah subah chadha k aaya hai kya.....kuch bhi bake jaa raha hai
Karamchand and mogar too entered the room
K- uday puttar woh jo bhi bol raha hai bilkul sach bol raha hai
U- " Shocked hearing him speak normally"" karamchand chachaji aap thik ho gye randheer sahab ne bataya nhi
K- woh tb bataega na jb use khud pata ho
V- mai kuch samjhi nhi chachaji
Ka- oye puttar tm dono toh bohot kuch samajh nhi paaye.... Ek nirdosh ko itne dino se saza dete aa rhe ho
U- ji acche se samjhaiye chachaji aap kehna kya chahte hai
Ve- mai samjhata hu.....tm dono ne humare prem se toh acchi dosti nibha li par bechaari amrit ko galat samajh baithe aur uski wajah bhi hum hi the... Humne hi amrit ko dhamkaya tha.... Unhone toh yeh shaadi aapke randheer ko jail se riha karane ke liye ki thi...... Woh toh aap logo k paas bhi aayi thi par humne hi aapko seher se baahar bhijwa diya tha..... Pata nahi woh dono kabhi hume maaf bhi kar paenge ki nahi
Va- tumhe jo kehna hai saaf saaf kaho kya kiya tha tumne unke saath
Ve- humne hi ek aadmi ko randheer ke bhes mai aapki parjaayi k saath zabardasti krne k liye bheja tha... Socha tha randheer jail mai rahenge toh amrit ko humse chin nhi paaenge har tarah ke paitre aajmaaye un dono ko alag rakhne k liye par humaare chaalak prem ne amrit ko humaara asli chehra dikha diya uss khat ke jariye aur woh hume kamre mai band kr aap logo ke paas aane ke liye nikal gyi... Par shayad aap logo ko na paake khud uss jagah pohochi jaha randheer uss raat phase huye the aur badi chaalaki se apne randheer ke haq mai saboot dhundh bhi liya unhone par hum jaise ghatiya aadmi ne waha jaake unki saari mehnat barbaad kr di aur unhe dhamki di ki agar woh randheer ko bachana chahti hai toh unhe humse shaadi krni hogi......pehle toh woh nhi maani aur jail mai randheer se milne chali gyi par waha jo behudgi humne ki usse woh maan gyi
Va- "angrily" aisa kiya tha tune uske saath
U- "angrily holding his collars" oye bl
Ve- "guiltfully" humne police karmchaariyon ke jariye amrit ko ek tamatar sauce se bhara shirt dikhwate huye kehlaya ki randheer ki kisi kaidi k saath jhadap ho gyi hai aur woh ab adhmari haalat mai hai.......yeh sun kar woh toot gyi aur jab humne yeh keh ke dhamkaya ki abhi tk toh tamatar sauce hai par bohot jald unka khoon hoga agar woh nhi maani toh unhone shaadi ke liye haa kr di... Randheer ko thappad aur itna bhala bura isiliye sunaya unhone kyuki woh chahti thi ke randheer unse nafrat karne lage aur shaayad aap sb k saath bhi isiliye aisa kiya unhone
U- "shocked and regretting for his past behavior" yeh kya kar diya maine....apni amru ka dard nahi samajh paaya mai... Pata nhi kya kya nhi kaha maine usse
V- "reminiscing how amrit tries to talk to her but she always gave her ahaa oye farooq se jb mai majboori mai nikaah kr rhi thi.... Mujhe dekhte hi samajh gyi thi woh humesha mujh par bharosa kiya usne par mai na kr paayi.
Mai ek acchi saheli nahi ban paayi
K- o baccho yeh waqt apne kiye par rone ka nahi hai balki apni galtiyon ko sudhaarne ka hai.... Hum sab ko milke kuch aisa karna hoga ki woh dono apne saare dukh dard bhul ke wapas se ek ho jaaye
Ve- kyu na hum unhe unke puraane din wapas yaad dilaye
Va- ha yeh accha sujhav hai isse unke mann ko kuch dair ke liye hi sahi par bohot khushi mil jaegi aur dil mai dabe jazbat unhe wapas ek kar denge
Ve- haa sahi kaha kyu na hum ek naatak banaye unki prem kahaani par
U- haa vichar toh accha hai par isme bohot waqt lagega
Ve- iski chinta tm hum par chod do kunwar veer pratap singh ke ek ishaare pe hazaaro naatak karne wale lg aa jaenge aur rahi baat stage ki toh hum khud ek painter hai aur apne school mai drama me stage designing mai sabse acche the hum
Aap sb bas hume unki puri kahaani vistaar se sunaiye baaki sab hum khud dekh lenge....
Va- "excitedly as well as proudly" ha yeh un dono ki khasam khaas vashma baig hai na mujhe aur sirf mujhe unki kahaani ka har ek pehlu acche se pata hai
U- Oye tu toh aise keh rhi hai jaise ki mujhe kuch pata hi na ho un dono k baare m
V- Oye tujhe pata hi kya hai ha....tujhe yeh baat pata hai ki humari amrit hi raanjhan hai
U- Haiii apni amru raanjhan hai woh prem kahaniyaan likhne wali jiske pure Punjab m charche the
V- Ha oye wahi
M- O rab rab rab tabhi woh raanjhan nu jaanti thi aur usi ne woh chitthi likhi thi randheer ke liye jo maine chupayi thi taki meri kiranbala ko randheer pasand kr le... Mere dimag mai kbhi yeh baat kaise nahi aayi
Ve- "feeling ignored by all of them" Koi hume bataega ki yaha kiski baat ho rhi hai aur yeh raanjhan ka kya kissa hai

Amdheer: Family binds them togetherWhere stories live. Discover now