Rait ki deewar

3 0 0
                                    

Rait ki deewar si hai meri muhabbat.....

samandar ki lehron se tut jaegi...

aaino ka sheher the mere khwabo ka....

khwab chhan se tut jaega...

Ankhon se girte hain ashk to girne do....

mere ashkon se teri dosti hai...

Ek jahan ho tera mera....

Aye jaan meri....!

Jo na chhute wo sath ho tera mera.....

Laut kar saare rang yaha se.....

teri aankhon mein sama jaenge....

Honton pe thehri jo khamoshi hai

Wo bhi toot jaegi...

Hum chalte rahenge kisi raaste ki talash mein...

tum raah eri ban jana....

Jo roothe tum to roothi mujhse meri duniya hai.../

dar hai ki haathon ki lakeeron se apni qismat se....

kahin tera naam mit na jae...

Aye jaan meri....

Jab teri yaaadon se dur chali jaungi...

to yaad tum ko bahut aungi.....

teri aankhon mein bahut se ashk theher jaenge.....

Main aansu ban kar teri aankhon mein sama jaungi.....

Jab raat ki chandni mein veeran ho raasta...

us raaste mein tere saath chalte rahenge......

Be khwaab ho jaengi meri aankhein....

to neendein tumse bhi rooth jaengi....

.jab tanha hum reh jaenge .....

To sitaaron mein tumko dhundenge hum.....

adhuri si muhabbat kyun hai???

Rait ki deewar se hai meri muhabbat.....

samandar kinaare pe mera aashiyana hai.....

Jo tez lehrein ayengi.....

to mera aashiyana bikhar jaega....

Aye jaan meri......!

Ban ke baarish ki boondein teri yaadon mein sama jaungi.....

Main rango ki titli hu kisi phool se ud kar chali jaungi.....

Tum dhundte phiroge humko aur hum.....

Tere dil mein kahin chhup jaenge....

Koi lamha-e-muhabbat jo yaad aaye 

hum teri yaadon mein theher jaenge.....

kabhi ulfat ,kabhi nafrat.....

kaisa yeh silsila hai?

Aye jaan meri!!!!


MERI SHAYARIWhere stories live. Discover now