Agar tum puchoge,
Uss bechandni raat ko,
Jiski tanhai ka aks leheron par sawar hai,
aur jiske nazm ke alfaz,
abhi bhi uss poonam ki chaya ki peheli mein,
deewane hue fir rahein hai,
uss jazbati muhabbat ko dhondh raha hai woh,
jisne naa shaad sitaron mein ragini layi,
aur be noor gagan ki akhon mein roshni ka noor,
woh ab har kone mein baraste hue khoj raha hai,
apne uss ashiq ko,
jisse aftab akaal utha le chala gaya,
uske qalb ka dard gunj hai,
kyonki muhabbat toh sirf thi woh khamosh, kadakti bijli,
badme aya shor.
YOU ARE READING
Ek Aakhree Lafz.
PoetryKya aap ke paas Ek Aakhree Lafz padhne ka samay hai? Meri koshish rahegi ki mein aap ko inn nazmon ka rooh pahucha sakun, Aapke tanqeed aur rayein sada khair muqadam hai, Aapka shukriya!