Something

33 4 9
                                    

Maine Karishma se kaha ki cycle mujhe chalane do aur tum piche baitho.  Usne thoda argue kiya lekin phir meri baat maan li

Raat ke andhere mein main use cycle ke piche bithakar use ghar chhodne chal pada. Street light ka color aaj kuch alag tha. Kabhi gulabi to kabhi neeli to kabhi purple, sara aasmaan taro se bhara hua lag raha tha. Mano jaise swarg ho. Sunsaam rasta, bas main aur Karishma!

Main uske ghar pahunch hi gaya tha ki achanak se raaste mein humari cycle ko ek thokar lagi. Main aur Karishma dono cycle se ulatkar kahin door ja gire.

Maine piche mudkar dekha to ek aadmi haath mein chaku liye Karishma ki or badh raha tha. Main uske irade samjh gaya.
Maine usse chillakar meri taraf bulaya. Usne meri taraf gusse se dekha. Uski badi badi moonche, lal-lal ankhein, mota sa sharir dekh main thoda hichkicha gaya.
Main samajh gaya ki isse ladna mere bas ki baat nahi par Karishma ki izzat ko bachane ke liye main usse bhid gaya.
Wo dhire dhire meri or aane laga.

"Tujh jaise piddi ke liye mujhe iss chaku ki zarurat nahi hai. "  – gunde ne apna chaku fekte hue kaha.

Usne mere paas aake mere muh par zor se punch mara aur main door ja gira.
Tabhi achanak se mujhe police van ka siren sunai diya. Apne left mein dekha to ek police van humari taraf hi aa rahi thi.

"Aaj chhod raha hoon, baad mein tujhe dekh lunga" – Ye kehkar gunda wahan se bhaag gaya.

Meri naak se khoon beh raha tha, kaan sunn pad gaye the aur sab kuch dhundhla nazar aa raha tha..

Main badi mushkil se khada hua. Apne aap ko sambhalne ki koshish ki aur achanak se Karishma ne aakar mujhe zor se hug kiya.

"PAGAL!!!!" – woh mujh par chillayi"Aaj tumhe kuch ho jata to?? "

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


"PAGAL!!!!" – woh mujh par chillayi
"Aaj tumhe kuch ho jata to?? "

Maine uski baat ka jawab nahi diya. Wo shayad meri ankhein dekhkar sab samajh gayi thi. Usne apne rumal se meri naak se khoon pocha aur mujhe pine ke liye paani diya.

"Ek kaam karo, aaj raat tum mere hi ghar ruk jao" – Usne meri halat dekhkar mujhe apne hi ghar thehrne ko kaha.
Mera badan bahut dard kar raha tha isliye maine wahi karna thik samjha.

Uske siway uske ghar mein sirf uski didi Shagun thi jinhone humare liye cookies banaye the.

Unhone sabse pehli mera first aid kiya aur mujhe 5-6 min tak aaram karne ko kaha. Thodi der aaram karne ke baad main thoda achha mehsus kar raha tha. Maine meri didi ko phone karke bata diya ki main Karishma ke ghar rukne wala hoon to meri zyada chinta na kare.

Maine unke saath dinner kiya. Dinner ke baad Shagun ne mujhe guest room mein jakar sone ko kaha. Mujhe aur Karishma dono ko us incident ke khyalo ki wajah se neend nahi aa rahi thi.

Ab mind ko divert karne ke liye main aur Karishma chess khelne lage khelte khelte use neend aa gayi aur wo chair par hi so gayi.

Maine use jagaya lekin woh jagi nahi. Bahut try karne ke baad maine use uthakar uske bed par use leta diya.
Phir main guest room mein jane wala tha  ki achanak se Karishma ne mera haath pakad liya. Wo abhi bi neend mein hi thi. Maine halke se apna haath chhudana chaha par usne mera haath chhoda hi nahi. Mano jaise wo keh rahi ho,
"mujhe dar lag raha hai, mujhe chhod ke mat jao, mere paas raho"

Ab main kya karta?? Main uske paas thodi si doori banakar so gaya.. Par raat ke beech mein usne neend mein mujhe hug kar liya. Maine hilne ki koshish ki par uske jagne ke dar se main hil nahi paya..

Subah uthkar main uske jaagne se pehle hi apne ghar chala gaya

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Subah uthkar main uske jaagne se pehle hi apne ghar chala gaya.

Stupid Girl KarishmaWhere stories live. Discover now