Ye kahani hai 15 saal ki Karishma ki, jisne mujhe duniya ki har khushi de di. 💕💕💕
A teen-love story describing friendship, affection, pureness with a lot of good messages..
[IN HINDI]
By Dhruv Barot
Winter ke season mein mere liye bicycle se school jana bahut mushkil tha isliye main paas wali local bus se school jane laga.
Main khidki ke paas baithke gir rahi thande-thande baraf ke tukdo haath mein le raha tha. Maine dekha dheere dheere bas B. R Nagri ke paas aa gayi thi. Phir dekha to niche Karishma khadi thi.
"Are Sonu, tum bhi yahan pe" – usne bus mein mujhe dekhte kaha. "Haan, sardiyon mein main issi bus se school jata hoon" "Oh! Thik hai, Chalo mujhe khidki ke paas baithne do" "Uh! Ha thik hai, baith jao" – maine uske liye jagah karte hue kaha.
Wo mere paas ki khidki ke paas wali seat par aakar baith gayi. Waise to main kisi ko khidki ke paas nahi baithne deta lekin aaj pata nahi kyun maine use wo seat kuch bole bina hi de di.
School mein gaye aur mujhe yaad aaya ki agle hafte to Chemisry ka revision test hai. Iss baar chemistry ka syllabus bahut zyada tha. Maine aur Karishma ne thaan liya tha ki iss baar exam mein achhi mehnat karenge. Hum dono roz jee tod mehnat karne lage. Class mein, balcony mein, tennis court mein, playgrounds mein, bus mein, Har jagah hum dono book kholkar padhai karte rehte.
Karishma ne mujhe bataya ki use toh neend mein Double displacement reaction wale sapne aate hai 🤣🤣
Finally test ka din aaya, sabne test diya. Baaki sab bahut ghabraye hue the, mere aur Karishma ke siwa. Finally humne test diya, aur hum dono ka test limit ke 1 ghante pehle hi ho gaya tha.
Phir test ke baad hum bus mein baithkar saare answers discuss kar rahe the. Mujhe ek question samajh nahi aa raha tha to maine Karishma se uske baare mein pucha.
Karishma ne kaha, "are ye to bahut easy hai, ruko maine apni notebook mein likha tha"
Usne yeh kehkar book mein mujhe answer dikhaya aur pata chala ki mera answer right tha. Phir use bahar se uski kisi friend ne aawaz di to woh usse baat karne neeche chali gayi.
"Tum ruko, main abhi aayi" – aisa kehkar usne mujhe apni notebook pakda di. Achanak se us notebook mein se ek folded page girkar bahar aaya. Maine dekha ki yeh kya hai! Usse jab maine khola toh mere hosh udd gaye.
Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Mujhe tab pata chala ki Karishma mujhse pyar karne lagi hai. Mujhe humesha aisa lagta lekin main usse dosti todna nahi chahta tha Isliye usse kabhi kuch pucha hi nahi.
Maine uss letter ko wapas usi notebook mein daal diya. Jab wo wapas aayi tab maine usse kuch nahi bataya kyunki agar main kuch kehta to wo rone lagti.
Thand bahut badh rahi thi, saath hi saath mera mann bhi bahut tense ho raha tha. Kya kahun? Keh doon?? Kaise?? Kahan bulau use??
Phir finally bus chalne lagi, usne baki ke questions discuss karne ko kaha par main kuch bol hi nahi paya.
Jab uska ghar aaya to main bhi uske saath hi utar gaya.