Chapter 4

203 26 80
                                    

Y/N : Siddharth bhaiya, yeh kaun hai?

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Y/N : Siddharth bhaiya, yeh kaun hai?

Siddharth : Oh, Y/N! Yeh hai Nandini.

Nandini : Oh my god! Tum Y/N ho na?! Siddharth ne tumhare bare mein mujhe bohot bataya hai

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Nandini : Oh my god! Tum Y/N ho na?! Siddharth ne tumhare bare mein mujhe bohot bataya hai.

Nandini Y/N ko bilkul ek chote bacche ki tarah treat karne lag jati hai. Aur Y/N ko yahi chiz bilkul pasand nahi hai ki koi use bacche ki tarah treat kare.

Nandini : Mere bhai ki pasand acchi hai. Itni pyaari ladki ko dost jo banaya.

Yeh line bolte hue Nandini Siddharth ko ek weird look deti hai.

Y/N : Aap Siddharth bhaiya ki behen ho?

Nandini : Haan.

Y/N : Aap se milkar accha laga. Lekin ek baat main kehna chahti hoon, bura mat maniyega. Mujhe pasand nahi ki koi mujhe ek 5 saal ke bacche ki tarah treat kare. Main 16 saal ki hoon!

Nandini : Tum bilkul mere jaisi ho. Tumhare umar mein main bhi aisi hi thi. Chinta mat karo. Main tumhe ek teenager ki tarah hi treat karungi. Vaise main toh bas apne bhai se milne aayi thi. Siddharth ne tumhe bataya sab kuch?

Y/N confuse ho jati hai.

Y/N : Kya bataya?

Nandini : Yahi ki vo-

Siddharth : Didi! Abhi nahi! Aapke jane ka time ho gaya hai na? Aap jao.

Nandini : Oh! Tune abh tak apna vo kaam nahi kiya jiske liye tu aaya tha?

Siddharth : Nahi.

Nandini : Tujhe pata hai na tere paas zyada vakt nahi hai?

Siddharth : Haan. Main koshish kar raha hoon.

Nandini : Toh abhi main chalti hoon. Bye! *waves*

Siddharth and Y/N : Bye!

Nandini chali jati hai.

Y/N : Aapne mujhe kya nahi bataya? Aap mujhse kuch chupa rahe hai?

Siddharth : N-nahi toh! Y/N, mujhe abhi thoda bahar jana hai. Abhi tum jao.

Siddharth Y/N ko jaldi jaldi ghar se bahar nikal deta hai aur darwaza bandh kar deta hai. Y/N ka shak yakin mein badal jata hai.

Y/N : Kuch toh gadbad hai, Daya!

Timeskip

Y/N Jethalal ke sath khel rahi hai

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Y/N Jethalal ke sath khel rahi hai.

Y/N : Pata hai, Soobu, mujhe aaj kal bohot ajeeb ajeeb se feelings aa rahe hai. Siddharth kuch toh chupa raha hai mujhse.

Y/N Jethalal ko apne bed pe rakhke thodi der ke liye bahar jati hai.

Bunny POV

Y/N apne room se bahar gayi. Aur main thode der ke liye wapas insaan ban gaya. Y/N ke bedside table pe uski bachpan ki photo thi. Main use hath mein leke dekhne laga. Tabhi mujhe Y/N ki awaaz aayi.

Y/N : Siddharth bhaiya?!

Siddharth : Y/N?!

Siddharth dekhta hai ki uske khargosh wale kaan abhi bhi bahar hai. Vo unhe chupane ki koshish karta hai lekin vo nahi jate.

Siddharth : Y/N, dekho, tum yaha baitho. Hum aaram se baat karte hai. Aur please, chillana mat.

Y/N : A- aap e- ek kh- khargosh ho?

Siddharth : Uhm... Yes, I'm a hybrid bunny.

Y/N : Are you an icchhadhari khargosh?!

Siddharth : Icchhadhari what-

Y/N : *excited* Aap ek icchhadhari khargosh ho?!

Siddharth : No, no. I'm a bunny hybrid.

Y/N : Vahi toh main keh rahi hoon! Icchhadhari khargosh!

Siddharth : Oh god! Tum bohot zyada naagin serial dekh rahi ho aaj kal. Dekho, icchhadhari naagin jo hote hai vo koi bhi roop le sakte hai. Lekin hybrid janwar sirf do roop le sakte hai. Ek unka janwar roop aur dusra insaani roop. Main ek hybrid khargosh hoon. Koi icchhadhari naag nahi. Samjhi?

Y/N : Hmm.

Siddharth : Kya samjhi?

Y/N : Aap ek icchhadhari khargosh ho.

Siddharth : *facepalm* Kya samjhaya maine tumhe itni der se?

Siddharth dobara Y/N ko hybrid aur icchhadhari ka farak samjhata hai. Lekin Y/N uss hi baat pe adi hui hai. Aakhir mein Siddharth ne bhi umeed chod di.

Y/N : Lekin aap yaha kyu aaye ho? *gasps* Aapko bhi badla lena hai? Kyuki kisine aapke family ko maara tha?!

Siddharth : Y/N, tum seriously naagin serial dekhna bandh karo yaar!

Y/N bas Siddharth ko badi badi aankhon se dekhti rehti hai.

Siddharth : Actually baat yeh hai ki main padhai karna chahta tha. Kyuki mere family mein aur aas paas mein kisi khargosh ne padhai nahi ki hai. Aur jab koi bimar ho jata hai, tabh unhe koi help bhi nahi kar pata. Isliye main vet banke khargosho ka ilaaj karna chahta hoon.

(Kya chal kya raha hai mere dimag mein😂)

Y/N : Oh...

Siddharth : Lekin please yeh baat kisiko mat batana.

Y/N thoda mauke ka fayda uthati hai.

Y/N : Uhm... Aapne mujhse itni badi baat chupai. Abh main nana nanu se jhut kaise keh sakti hoon?

Siddharth : Please, Y/N! Tum jo bologi main vo karunga.

Y/N : Toh phir chalo shadi karte hai!

Icchhadhari Khargosh (Bunny Hybrid) || CompletedWhere stories live. Discover now