Chapter 6

178 26 49
                                    

Siddharth : Lekin vo insaani umar mein abhi bhi bacchi hai!

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Siddharth : Lekin vo insaani umar mein abhi bhi bacchi hai!

...??? : Vo sab tu mukhya ji ko samjha na! Vo toh samajh nahi rahe

Y/N darwaze pe knock karti hai aur dono baat karna band kar dete hai. Siddharth jake darwaza kholta hai.

Siddharth : Y/N, tum yaha?

Y/N : *fake smile* Aapne mujhe padhne ke liye bulaya tha. Yaad hai?

Siddharth : Oh haan! Tum andar aao na.

Y/N andar jati hai aur phir vo uss aadmi ko dekhti hai jisse Siddharth pehle baat kar raha tha.

...??? : Hi, main Siddharth ka bhai, Bunty.

??? : Hi, main Siddharth ka bhai, Bunty

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Y/N : Oh Hi, Bunty bhaiya!

Bunty : Tum dono padho. Main chalta hoon.

Bunty jaldi jaldi ghar se chala jata hai. Y/N ko pakka yakin tha Siddharth kuch chupa raha hai.

Siddharth : Padhne chale?

Y/N : Haan.

Siddharth aur Y/N Siddharth ke room mein padhne jate hai. Y/N har vakt Siddharth ko shak ki nazar se dekhti hai.

After 1 hour...

Siddharth : Aaj ke liye sirf itna hi. Baki ka kal padhaunga. Tum abhi ja sakti ho.

Siddharth apni pani ki bottle leke pani peene lagta hai.

Y/N : Maine sab sun liya hai.

Siddharth apne muh se pani phek deta hai.

Siddharth : K-kya sun liya hai?

Y/N : Aapki aur Bunty bhaiya ki baatein. Aap definitely kuch toh chupa rahe hai! Aaj aapko mujhe batana hi hoga!

Siddharth : Y/N, aisa kuch nahi hai-

Y/N : Thik hai. Phir main jake nana nanu ko aapke bare mein bata deti hoon.

Y/N uthke jane wali hoti hai lekin Siddharth uska hath pakad leta hai.

Siddharth : Y/N, please! Please kisiko mat batao! Main tumhe sab kuch batata hoon! Asalme, main tumse pehle mila tha.

Y/N : Matlab?!

{Flashback}

Siddharth POV

Yaha aane se pehle main tumse mila tha. Jab tum tumhare ghar ke piche ke pahadi pe jati thi aur khargosho se milti thi, tab un mein se ek khargosh main bhi tha. Mujhe tum bohot acchi lagti thi. Ek din toh main tumhare piche piche tumhare ghar tak chala aaya tha.

Lekin vo accha lagna kab pyaar mein badal gaya mujhe pata hi nahi chala. Lekin yeh prakriti ke niyamo ke khilaf tha. Jab yeh baat baki ke khargosho ko pata chali tab un sab ne ek meeting bulaya.

Uss meeting mein humare mukhya bhi the. Mukhya ji ne bola,

Mukhya : Siddharth ne jo kiya hai vo ek gunah hai! Aur isliye vo phir kabhi uss ladki se nahi mil payega!

Siddharth : Nahi, mukhya ji! Aisa mat kijhiye! Main usse sachme bohot pyaar karta hoon.

Nandini : Mukhya ji, use ek mauka toh dijhiye!

Mukhya : Toh phir thik hai. Hum tumhe ek mauka denge. Agar tumne neele chand ki purnima se pehle use apne dil ki baat bata di aur vo bhi tumhe tumhare asli pehchan mein swikaar kar le, toh tumhe uske sath rehne diya jayega aur agar tum nakamyab rahe, toh tum phir kabhi insaan nahi ban paoge.

Present time

Siddharth : Mujhe tumhe yeh sab batane se bohot dar lagta tha. Kyuki maine kabhi kisi ladki se baat bhi nahi ki hai isse pehle. Aur tum toh abhi bhi insaani umar mein bhi choti ho.

Y/N : Siddharth bhaiya! Aap na ek number ke pagal ho! Itne darpok kyu ho aap?! Maine toh kitni baar aapse kaha, chalo shadi karte hai, chalo shadi karte hai! Lekin aap? Aap har baar mana karte rehte ho! Aur agar aapko shadi karni hi nahi hai toh yaha aaye kyu?

Siddharth : Vo main nahi chahta tha ki tumhe koi aur ladka pasand aa jaye isliye.

Y/N : Nahi matlab aapko mujhse rishta bhi nahi jodna phir mujhe kisi aur ladke ke sath bhi na dekh pana, matlab, aap chahte kya ho?!

Siddharth : Ek kaam karte hai tum mere sath chalke mukhya ji se kehdo ki tumne mujhe accept kar liya hai. Phir tumhare adult hone ke baad hum dono shadi kar lenge.

Y/N : *sigh* Yahi kar lo!

_______________________________________

A/N : Ok, I seriously don't know what I'm writing right now.😑 This shit doesn't even make sense. My future is dark.

Icchhadhari Khargosh (Bunny Hybrid) || CompletedWhere stories live. Discover now