Chapter 10

148 24 17
                                    

(Please listen to this song)

Siddharth : Y/N main nahi bata sakta.

Y/N : Aapke-

Y/N ka hath galti se Siddharth ke pith pe lagta hai. Aur Siddharth ko dard hota hai.

Siddharth : Agh!

Y/N ko thoda shak hota hai.

Y/N : Apna shirt uthaiye.

Siddharth : Kya?! Pagal ho kya?!

Y/N : Apna shirt uthaiye!

Lekin Siddharth kuch nahi karta. Y/N Siddharth ko ghumake uska shirt uthati hai.

Y/N : Aapke sath animal testing hua hai?!

Siddharth guiltily nods.

Siddharth : Jab main soch raha tha ki tumhare operation ke liye paise kaha se lau, tabhi main ek aadmi se mila. Usne bola tha ki vo mujhe janta tha. Usne bola ki agar maine use apne upar kuch experiments karne diya toh vo mujhe muh mangi rakam dega.

Y/N ke aankhon se aansu behne lag jate hai.

Y/N : Aap pagal ho kya?! Yeh sirf galat hi nahi illegal bhi hai! Vo log aapko maar dalenge! Aapki jaan jaa sakti hai! Insaan bohot berehem hote hai!

Siddharth : Lekin tumhara operation hona bohot zaruri tha. Aur itni badi rakam kahi aur se itni jaldi lana mumkin nahi tha.

Y/N : Main kisi aur ke jaan ke badle apni jaan nahi bachana chahti, Siddharth.

Siddharth : I'm sorry...

Y/N use apne paas khichke hug karti hai.

Y/N : Aapki galti nahi hai. Lekin aaj ke baad aap wapas uske paas nahi jayenge.

Siddharth : Thik hai, main nahi jaunga.

Y/N Siddharth ke aansu pochti hai.

Y/N : *smile* Kal subah main discharge hone wali hoon. Uske baad hum wapas aapke family se milne jaa sakte hai?

Siddharth : *smile* Bilkul!

Y/N : Iss hospital mein na ek vet bhi hai. Chalo aapka doctor se check up kara lete hai.

Siddharth Y/N ko wheel chair mein bithake vet ke paas le jata hai. Aur phir Y/N Siddharth ko doctor se check karwati hai. Obviously, Siddharth tabhi khargosh bana hua tha.

Thankfully, Siddharth ko zyada harm nahi hua tha. Doctor ne Siddharth ko kuch dawaiyan di aur phir dono wapas Y/N ke room mein aa gaye.

Later....

Y/N apne bed pe rest karte hue Siddharth se baat kar rahi thi. Tabhi achanak kuch log bhagte hue room mein aaye.

Y/N's dad : Y/N?!

Y/N ke parents ko dekhke Siddharth khada ho gaya. Uske parents uske paas baithte hai.

Y/N's dad : Kya haal ho gaya meri bacchi ka!

Y/N's mom : Sorry, beta. Sab humari galti hai. Humne hi tumhe khudse dur rakha aur tumhe time nahi diya.

Y/N : Mummy, papa, it's ok. Main bilkul thik hoon.

Y/N's mom : Maa, papa, aap logo ke paas operation ke paise aaye kaha se?

Nana : Siddharth ne diye.

Sabki nazar Siddharth pe padti hai aur Siddharth ko sharam aane lagti hai.

Y/N's dad : Aap kaun?

Nana : Aree yahi toh hai humara kiraydar!

Siddharth : Hi.

Y/N ke papa Siddharth ke paas jake uske samne hath jodte hai.

Y/N's dad : Thank you, Siddharth. Main puri zindagi tumhara ehsaan mand rahunga.

Siddharth : Aree nahi nahi, uncle! Yeh aap kya kar rahe hai? Yeh toh mera farz tha. Akhir Y/N mere liye bhi toh important hai.

Siddharth ki baat sunke Y/N smile karti hai. Y/N ke papa wapas Y/N ke paas aake baithte hai.

Y/N's dad : Aaj se hum dono tumhara pura khayal rakhenge. Hum yeh galti dobara nahi dauhrayenge. Y/N, tumhe ham humare sath leke jayenge. Tum humare sath bade sheher chalo. Vaha hum tumhara pura khayal rakhenge.

Yeh sunke Siddharth ko dar lagne lagta hai. Vo nahi chahta ki Y/N usse dur chali jaye.

Y/N : Nahi, papa. Main bhi aap logo ke sath rehna chahti hoon. Lekin Ooty mera ghar hai. Main yeh jagah chodke kahi aur nahi jaa sakti. Yaha nana, nanu, Tanuj aur Jharna ko chodke main nahi jaa sakti. Aur aap logo se toh main pehle bhi dur rahi hoon toh koi problem bhi nahi hai. Aur yaha kuch aisa hai jise main kabhi chodke jaa nahi sakti.

Y/N akhri line Siddharth ki taraf dekhte hue bolti hai aur yeh Siddharth ke ilava kisiko nahi dikhta.

Y/N's mom : Lekin beta-

Y/N : Oof! Mummy! Maine bola na, main yaha thik hoon. Just chill, mom!

Y/N ki baat sunke sab haste hai.

_______________________________________

A/N : I thought of making this a funny story but sorry for adding a bit sad part here. But I'm gonna be making more funny parts.

Icchhadhari Khargosh (Bunny Hybrid) || CompletedWhere stories live. Discover now