Woh ek naya din tha, par har shaqs say juri yaadien, unkay ehsas, unkay chakna choor khuaab sab ek jaisa tha, sab purana tha par kehne ko woh ek naya din hi tha. Shayad zindagi main, roz har din ek naya aghaaz hi hota hai par hum insaan, un beetay huye lamhon ko peechay chorh kar agey nahi barh patey. Shayad yeh sab asaan bhi nahi hota, jab zindagi hume aesay safar pay lay jarahi ho jahan kaantey our logon kay talqh lehjay hi appkay muqaddar main likh diye jaien. Par kiya yeh sab humare galat faislon ka nateeja hota hai? Yah, yeh Allah ki koi azmaish hai?
———————————————————————————————
"Utho, ajj nashta tum dougi mujhe. Yeh tum har waqt isi kamrey main band pari rehti ho. Our jab say ayi ho khuch bata bhi nahi rhi ho, tum iss ghar main panah lenay ayin thin our maine tumhay di, par chalo ab koi kaam wagaira karo, bua jee ka haath bata dia karo. Mujhe farigh loug achay nahi lagtey." Anzila Ahmed yuhun hi roz koshish karti thin kay bas ab shayad Noor unhay khuch batadegi kabhi kabar woh talqh alfaaz bhi istemaal kartin thin, lekin woh bas muskura kar khedeti thi, "jee, itna ehsaan kardiya hai thora our sahi."
Par nashtay ka pheli dafa in hafton main bola hai, aunty kheriyat tou hai? Woh iss khayal kay saath bhot lambi soch main chali gyi thi.
Anzila Ahmed ka dou manzila ghar, jismain woh our unkay saath unki tanhayi unka akelapan rehtay thay. Our shayad unhay aesay hi rehna pasand tha. Ghar bhot sada our bhot achay tareeqay say saja hua tha. Kaafi bara our khula hua lawn tha, our andar dakhil hon tou ek bara sa lakri ka darwaza tha jiska sunheri rang ka handle tha, andar dakhil hote hi lounge our upper jatin seriyan dekhayi deti thin, andar ka interior bhot hi khubsurat tha. Phele floor par dou kamre thay our dinning room bhi alag say tha jisko dekh kar Noor ko aqsar, apnay ghar ki yaad ajati thi. Lekin woh ghar tou shayad ghar tha hi nahi. Usskay second floor par 3 kamre thay jismain say ek Anzila aunty ka tha our seerihon kay bilkul seedhay haath wala kamra Noor ko dia gya tha jiskay andar dakhil hote hi ek ajeeb sakoon mehsoos hota tha. Uss kamre ki designing is tarah ki gyi thi kay jab woh khirki say bahir jhankti tou ussey dur dur tak jangal our phir khuch ghar dekhayi detay thay. Bas, woh manzar usko woh sab yaad dilata tha jo woh kabhi bhul nahi sakhti thi, woh apnay dimaag our apnay dil say uss sab ko nikal nahi parahi thi, woh uss khali khandar ki tarah hogyi thi jiss ki na kisi ko fiqar hoti hai our na koi mur kar usko dekhta hai, agar dekhta bhi hai tou sirf aesay kay koi phenk denay wali cheez ho. Bilkul bekaar our ghatiya.
Woh apne inn roz kay khayalon say tang agayi thi, ussey bas ab apne liye zindagi main khuch karna tha, pheli dafa woh sirf apnay barey main soch rhi thi. Ussey apnay appko mazboot banana tha, woh jaanti thi kay agey ka safar asaan nahi, par na mumkin bhi nahi. Woh apnay khayalon main itna doobi hui thi kay Anzila aunty ko dobara uskay kamray kay darwazay ko khatkana para, jis kay baad woh uth khari hui our ek nayi zindagi ko mauqa denay kay liye tayyar thi, par ussey khabar na thi abhi imtehaan our bhi hain.
____________________________________Woh hai jab tou kyun hai ghum,
Lekin kiya khabar nahi tumhay, ghum bhi ek azmaish hai.
< my own words >
——————————————————Woh safaid shalwaar kameez main malboos, apne ultay haath say apnay mathay par girey silky baal hataney main masroof tha, par logon ki nazar uski uss siyah rang ki rolex ghari par pari jo dur say dikhne main hi kaafi mehngi nazar arahi thi, uski chaal hi alag thi, jin kay paas say guzarta woh murh kar ussey zaroor dekhtay thay. Shayad kisi ko uski khusboo pasand ajati thi yah shayad woh apni roab daar shaksiyat say hi sab ko apni taraf mutawaja kardeta tha.
Dilafroz khan, ek barey khandaan say talluq rakhta tha par uski parwarish un baqi bachon ki tarah achay our pursakoon mahol main na ho payi thi jesay honi chayie thi. Woh waqt kay saath, bhot ziddi our intehayi badmizaaj hogya tha. Uskay liye sirf uska apna app hi kaafi tha. Ussey naseeb nay khandaan tou diya tha par uska pyaar mohabbat our sab say barh kar woh attachment nahi thi jo ek bachey ko apney sab say qareebi riston say hoti hai. Isliye woh apnay zehni sakoon kay liye university kay saath hi business bhi sambhalta tha jis kay liye woh shayad paida hua tha, takey woh apne app ko masroof rakh sakey our ussi kay saath, khuch kareebi yaaron kay sath parties par jaya karta tha.
Yeh uska roz ka mamool tha, woh shayad in sab main itna khoya hua tha kay apni khud ki zindagi ka maqsad bhul chuka tha.Woh business department main say nikal kar parking area main achuka tha, apni gaari ki taraf barh raha tha, tab hi uskay dou dost uskay kandhay par haath rakh kar boley: "Aesa bhi kiya zarori kaam hai, jo tum apni sab say favourite teacher ka lecture chorh kar jarahy ho? Miss ko kiya kahengy hum?" Dono ikhata bole thay. Uskay gaal par garha paida hua, woh muskura raha tha. Apnay cherhay kay tasurat badalta woh bola. "Tum logo ko kiya lagta hai, khan ki sawari ajj kidhar jarahi hai? Jahan tak baat hai Miss Mehreen ki unhay konsa meri gair maujoodgi ka ehsaas hojana hai, woh sirf mujhe thori parhati hain."
"Haan humay pata hai, class main sab hotay hain, par tum nahi hotay tou unka mood bhot kharab rehta hai." Saya nay ankhien ghumatey huye kaha tha.
Baseer nay baat ko jaari rakhtey kaha, "ghar par koi emergency hai?" Jis par usnay apni gari ki taraf dou qadam our barha diye our jo khuch seconds kay liye chup tha, Saya nay foran kaha, "Bata bhi dou. Kiya hua hai?""Tumlogo ko pata hai ghar ki emergency is not an emergency for me. Main Dildaar say milnay jaraha hoon, wapsi par call karunga seedha wahin milengy jahan roz hote hain." Isse phelay woh dono our khuch boltay yah poochtey, Dilafroz apney rebans laggaye gari main bheta our speed say safar kay janib barh gaya.
Zindagi main khuch cheezain itni dair say milti hain,
kay unki talab khatam hojati hai.________________________________
Assalam o alaikum :)
We will be having a chat here so don't ignore it and give me your feedback.
Guys, i will not be uploading updates frequently, you have to be very patient because yahan motivation bhot mushkil say milti hai.
Till that, see you all!
YOU ARE READING
Maraasim
SpiritualAndheri raat thi, dou janon ka safar ek dosray kay saath shuru hua tha. Shayad woh safar ek dosray kay liye bhi tha par unhay khabar na thi, woh bhatak gye thay, shayad iss zindagi kay khel nay dono ko hi buri tarah torh kar rakh dia tha. Woh bari Z...