Pheli Mulaqaat

37 4 14
                                    

Ek naya din tha, Noor ki umeedain apnay khuwaab say juri hui thin, ajj uskay liye bhot eham din tha. Kala rang ka jora phenay haath ultay haath main khuch kaghzaat ki file pakray woh bari mushkil say apna darwaza band karrhi thi. "Noor, tayyar hogyin?" Anzila aunty ki awaaz ayi thi par Noor unkay samnay achuki thi. "Yeh dekhien, tayyar hoon. Aunty app Afzal uncle ko abhi phone karien."
Aunty ka chehrha abhi parha nahi jasakhta tha, unhonay jawab main apna sar manfi main hilaya our ghar kay bahir jane kay liye qadam barhadiye. "App meri baat toh sunien!" Noor bhi unkay peechay gaari main abheti thi. "Phone kar kay unhay sirf itna khedien, kay main test or interview ek aam candidate ki tarah dungi, please." Anzila Ahmed ko logon kay liye kaam karna pasand tha par agar koi unki niyat par shaq karay our unhay galat samjhay toh unsay woh khafa hojatin thin.

"Noor e hayat, khamoshi say bheti raho. Hum abhi wahan jarhy hain tum test or interview dono dougi our ek normal candidate ki tarah hi dogi, samjh gyin?" Unki awaaz unchi thi par unka karak lehja Noor ko agey our khuch na bolnay kay liye kaafi tha.
____________________________________
"Daadi jaan, school main sab kay parents atay hain, unhay lenay bhi our chorhnay bhi. Mujhay ajj tak koi school lenay nahi aya, Hafeez uncle ko bhejdetay hain. Mujhse koi pyaar nahi karta! Mujhay paida nahi hona chayie tha. 8 saal ka woh bacha apnay mathay say baal hata kar bol raha tha. App toh mujhay pyaar karti hain na? Woh apni daadi ki godh main bheta zameen ki taraf nigahien karey bas jo dil main tha sab kheta jaraha tha.
Meri jaan idhar dekho, tumhay pata hai tum kitni manaton kay baad huye thay? Allah nay humay kisi achay kaam ka sila diya hai, jaantay ho woh tohfa our khubsurat sila kiya hai? Woh ab apni daadi ki ankhon main ankhien daal kar unsay bhot masoomi say poochnay laga, kiya? Tum, meray Dil o jaan. Meray Dilafroz ko yeh pata hona chayie kay woh Allah ki naimat hai."
Kamray main halki peeli roshni namudar thi, ghari ki awaaz saaf sunayi deyrhi thi our uss shaqs kay kaanon main bhi jo bistar par gehri neend main say bahir achuka tha, uskay maathay par sirf baal nahi ajj paseena bhi tha. Apnay iss khuwaab say woh tang tha daadi jaan kay lafz our unka naram lehja ajj bhi ussay bhot yaad ata tha, sirf woh hi thin jo inn lambi deewaron unchay makaan kay beech ussay iss magan zindagi main khonay nahi deti thin. Unkay hotay Dilafroz ki rassi Allah say juri thi par unkay baad woh uski rakhwali nahi karpaya.

Uskay kamray ka interior bhot hi khubsurat tha, woh siyah rang ka shoqeen tha our yeh uskay kamray ko dekh kar koi bhi bata sakhta tha. Uskay bed ki side table par paani parha tha ussnay woh peetay apnay phone par nazar dali subah kay 6:30 horhy thay. "Daadi, i miss you." Woh yeh asmaan main dekhta kheraha tha pori tarah say tayyar hokar woh apnay nashtay ki table ki janib barh gaya.

"Aray ao, bheto shukar hai ajj tum jaldi uth gye." Afzal sahab ki awaaz uskay kaanon main parhnay ki dair thi kay uskay chehray par jo narmi dikhayi derhi thi woh sakhti main badal gyi, "Phir say kisi ka interview lena hai?" Afzal sahab ussay aqsar isi kaam say yaad kiya kartay thay, office ka kaam woh khud hi dekhta tha our aesa bhot kam hi hua hai kay wahan ka koi bhi case yah deal woh ghar par subah nashtay par discuss karien. University main jab bhi Afzal sahab ko apnay kisi dost yah business partners kay bachon ko admission dilwana hota hai tou woh Dilafroz ko hi yeh zimadaari diya kartay hain. Our ajj bhi aesa hi tha, "Tum tou mera ab zehan bhi parhnay lagey ho, interesting."

Uskay chehray par halki muskurahat kay saath karwa pan tha, "Chalien, koi toh hum dono main say ek ko samajh paraha hai. App tou koshish bhi nahi kartay." Afzal sahab uski shakal dekh rhy thay woh jantay thay yeh sab itna jaldi theek nahi hoga na hosakhta hai, woh intezaar main thay kay kab iski zindagi main koi aesa aye jo ussay insab cheezon ka dusra ruq dikhaye. Galat or sahi, sach or jhoot, dhoka or imaandari ka farq samjha sakhay. "Meray bachay, yeh sirf tumhay lagta hai. Tum mujhe khuch samjhaney ka mauqa hi nahi detay ho."

Dilafroz khara horaha tha jab Afzal sahab nay kaha, "Ruqo, tum Anzila Ahmed ko tou jantey hi ho bas unki bhot khaas hai koi jiska admission karwana hai woh test deygi." Dilafroz dobara apni kursi par bhet gaya, hass raha tha, "Test deygi? Par kyun?Admission tou horaha hai, yeh na honay wala jo confidence dikhatay hain loug bilkul pasand nahi hain mujhay." Afzal sahab apna coat phen rahy thay, "Tumhay ussay koi masla nahi hona chayie, our meri baat gour say suno ussay koi bhi, kisi bhi kisam ka zaati sawal nahi karna." Unki baat mukamal hochuki thi woh ghar say bahir apnay kaam ko rawana hogye. Peechay ek shaqs sirf yehi soch raha tha kay uss larki say kiya sawal karna hai jo uski zindagi, uski zaati zindagi say jura ho.

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Nov 05, 2021 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

MaraasimWhere stories live. Discover now