Fajar ka waqt tha, Allah hu Akhbar ki sadaien har ek kay kaanon main goonj rahi thi par uss Azaan ka ehsaas karne waley bhot kam thay, khuch apni gheri neend main thay our khuch aesay thay jo Allah kay farmaan ko bhula bhetay thay. Gaano ka shor ussey pasand nahi tha, par woh apne app ko zabardasti ka sakoon denay ki koshish karta tha. Ajj bhi woh yehi karne yahan aya tha.
Uskay mathey par girey silky baal, siya rang ki ultay haath par pheni ghari our siya pant or half sleeves shirt main malboos woh uss barey say bar ki kursi par bheta apne dou doston say mukathib tha. "Ajj mere sir main shadeed dard hai, iss DJ waley ko bol gane ki awaaz tez kardey." Waiter ko awaaz deta apni drink mangwa raha tha. Yaar tujhe pata hai tu ajeeb hai bhot ajeeb. Saya nay apne chehray ko seedhay kandhay pay rakh kar bola our phir apnay yaar ki baat ko maantey huye uth khara hua.
Dilafroz ki baatien ajeeb hi hotin thin, woh apne app ko kabhi kabar duniya main itna busy (masroof) karna chahtha tha kay uska asal maqsad usey koi yaad na dilane ki koshish kare our nahi hi uska koi zikar cherhnay ki himmat karey.
Dildaar, say milnay kyun gye thay our kiya kaha usnay? Iss dafa bol nay wala, Baseer tha. Yeh teeno college main saath parhtey thay our jab say ab tak ka saath, dosti, yah phir larayi jhagrey hi kyun na ho, inka ek dosre par etamaad our yaqeen in teeno ki gheri dosti ka saboot tha our teeno hi ek dosrey say khuch nahi chupate thay. Aesa nahi tha kay Saya our Baseer bhi parties enjoy kartay thay par woh Dilafroz ko yahan akela nahi chorh sakhtey thay kyun kay woh jantey thay kay agar inhone bhi issay chorhdiya tou yeh apnay wajood ko chorh dega.
Woh kisi gheri soch main tha, par jab uskay kandhay par Baseer nay hath rakha tou jesay ussey kisi nay iss duniya main wapis bhej dia ho lambey safar kay baad, khayalon kay safar say.
"Main ussey sirf milnay gaya tha, uski baaton say mehsoos hua jesay mujhe blackmail karne kay mansoobay bana rhi ho. Par ussay abhi Khan kay iradon our contacts ka pata nahi hai. Chal in sab ko rehnay detay hain, tu apni bata yahan kisi ko apnay saaf dil main paish honay ka mauqa dia? Uskay alfaaz our chehray ki sakhti halkey halkey narmi main badaltey muskhurat main badal gyi.
Baseer phelay sanjeedgi say sun raha tha par phir uski ankhien choti hogyin our labon ko daba liya jaisay ussey uski baad bilkul pasand na ayi hi. Our aesa hi tha, "tujhe pata hai main iss type ka larka nahi hoon. Tu phelay say hi jaanta hai mera yahan anay ka maqsad sirf tu hi hai." Tou phir kis type ka hai tu, meray heeray? Saya nay thora unchi awaaz main bola tha.
Ab woh bilkul chirh sa gaya tha our janey kay liye uth khara hua, jab Khan nay ussay kaha: "Merey sher, palat aja bhet idhar tujhe kisi say milwana hai." Woh dono tham say gaye our shayad bhokla bhi gye thay kay ab yeh kiya karnay wala hai.
"Meet this gorgeous lady of the night, Miss Areem. Miss, yeh dono meray yaar kam bhai hain." Ussnay dono ka taruf, apne silky baalon ko mathey say hatatay huye karaya. Areem ek baais sala larki, jo lambi siyah rang ki frock jiska gala agey say chota our peechay say aesa design kiya gaya tha kay uski khubsurati wahan sabhi loug maujood, dekh sakhte thay, uski gardan par bana woh siyah tatto our wazey tor par nazar aney laga jab ussnay Khan ko dekhtey hi apne saray curly baal ek taraf karte hue kaha, "Glad to meet you, guys. Khan, sirf Areem." Uska rang bhot saaf tha our har nazar say intehayi haseen thi par Dilafroz kay chehray ki muskurahat uski ankhon tak nahi ponchi thi kyun kay woh iss haseen chehray kay peechay iss kay faraibi dil ko janta tha.
YOU ARE READING
Maraasim
SpiritualAndheri raat thi, dou janon ka safar ek dosray kay saath shuru hua tha. Shayad woh safar ek dosray kay liye bhi tha par unhay khabar na thi, woh bhatak gye thay, shayad iss zindagi kay khel nay dono ko hi buri tarah torh kar rakh dia tha. Woh bari Z...