Khofzadaa

38 6 31
                                    

Zindagi samandar jesi hoti hai, itni gehri kay koi bina teraki seekhay usmain utarna chahey tou ussey apni taraf aesay kheechta hai kay uska dam tor deta hai. Par zindagi main khuch marhaley aesay atey hain kay jahan saans tou arahi hoti hai par jeena mushkil hojata hai. Samandar ki gherayi usmain rehti ek tanhayi zindagi say mukhtalif nahi, hamarey iss safar main hum bhi bilkul akelay hotay hain. Aas pass logon ka hujoom hai par phir bhi saath koi nahi. Sab apni jangien khud lartey hain, roz ek apna naya app daryaft kartey hain.

Noor-e-Hayat ki zindagi main woh apne siwa kisi ka saath nahi chahthi thi. Ussey apne app par bharosa karnay kay liye itna waqt lag gya tha kay kisi our say kiya hi tawaqa rakhti. Woh apnay forms bhar kar apne kamray main wapis achuki thi, ussey yeh sab ek khuwaab lag raha tha jahan woh apni marzi say apnay app ko ek khuli hawaa letay mehsoos karhi thi. "Meray honay yah na honay say sirf mujhe hi farq parta hai. You got this Hayat!" woh apne app ko yeh aksar kheti thi, uska hosla barhane kay liye koi nahi tha par woh khud to thi our yehi kaafi tha.

Anzila Ahmed apnay jamni rang kay kameez shalwaar main malboos, khuley baal our seedhay khanday par bag latkaye bari shaan say gari say utartin our apnay head office ki taraf jarahin thi jabhi unkay haath main pakra phone bajnay laga, "Afzal sahab calling.." unhonay foran call ko uthatey salam kiya samne say awaaz ayi, "Walikum assalam, Anzila kesi ho? Mujhe tumsay khuch zarori cases discuss karnay hain humey kahin milna hoga." Anzila nay jawab main kaha "main theek hoon khan sahab, app kay barey main hi soch rhi thi. App jesa kahien."
"Ajj hamare barey main socha jaraha tha, zehnaseeb! Meray assistant nay jagah or waqt fix kardi hai, tumhay msg miljayega. Jo tumhay khena ho wahin batadena, Allah hafiz." Anzila nay khuda hafiz kaha our phone band kardia. Yeh dono ek dosray ko bhot arsay say jantey thay, kaam kay silsilay kaafi mulaqaatien bhi ho chuki thin our Anzila Ahmed ka sab say bara support, Afzal sahab ko kaha jasakhta tha.

"Ma'am, app nay jin aurton ko shelter homes bhejwanay ka kaha tha, unhay saath kheriyat say poncha dia hai par ek problem hogyi hai..." assistant unhay roz aesay hi atey saath sarey kaam ki khabray dia karta tha par ajj shayad kisi musibat nay Anzila Ahmed kay darwazey par dastak di thi.
Woh apna bag rakhtey apna office ki siyan rang ki mulaim kursi par bhetgyin our laptop ki screen kholtay ussey kaha. "Tum agey bologay yah yahan say chutti karwa kay tumhay kisi drama auditions main bhejdun?" Samney khara naujawan thora sa pareshaan nazar araha tha, foran bol para. "Ma'am, woh. Woh Jeelani sahib ki ghar ki izzat hain." Anzila kay haath laptop our ankhien screen par jam si gyi thi. Unhonay jawab main kaha, " Izzat, uski izzat hotin toh aesay unpar tashadud na karta. Apni beti ka bhi lihaaz nahi kiya iss besharam insaan nay. Tum jao main dekhlungi, koi idhar milnay aye tou guards ko khekar ussey iss office ki building say kamskam 10km dur phenkwa dena." Woh sar hilata office say bahir nikal gaya tha.
_______________________________

"Yeh tum kiya kherhay ho.. woh" uski dheemi awaaz Dilafroz kay illawa koi nahi sun sakhta tha woh khuch bolna chahrhi thi par uskay alfaaz jaisay khatam hogye hon our uskay pairon main say kisi nay jaan nikal di ho. Uskay chehray say saaf zahir tha uskay samney woh screen par apni video dekh kar heraan nahi balkey pareshaan our ghussay main thi. Uskay qadam peechay huye woh kahin chupna chahthi thi, yeh sab ek second main uskay career or uskay status ko bhot buri tarah chakna choor kardeyga. Woh yeh jaanti thi par yaqeen karna mushkil hogya tha.

Screen par woh laal rang ki saree phenay Areem maujood thi, woh koi bhot hi khubsurat office ka kamra tha wahan Areem kay saath uskay dou uskay our uski company ko sambhalnay walay uskay bhot bharosay dar, executive our right hand maujood thay jo kisi deal kay barey main baat karhy thay. Camera ko kisi nay iss tarah rakha tha kay poora office saaf waazey nazar araha tha. "Miss Areem appnay soch liya hai Khans ka business tabah hi nahi barbaad bhi hosakhta hai."
Areem apnay samney bhetay logon ko bhot gor say dekh rhi thi ussay shayad khuch galat mehsoos hua tha par woh unki baatien sun rhi thi. "Sir Haseeb, app meri side hain yah uski? Jitna kaha jaraha hai utna hi karien. Tender ki offer app kisi tarah Khans ko dilwaien, unkay material ki quality ko kharab karna mera kaam hai. Iss tarah, unhay hum par shaq nahi hoga."

MaraasimWhere stories live. Discover now