Sai need answers for her questions...
What made pakhi didi move on? What happened that samrat dada took divorce? Why virat is having her photo frames? Why is he distancing himself from his family? Why?Next day morning.....
All gathered at dining hall for breakfast.... Except Virat....
Sai: aai... Virat sir.... Breakfast keliye nahi aaye? Chalegaye kya?
( Entire family knows that virat and sai care for eachother and love eachother.... Sai didn't realise... Seeing her ask about virat gave happiness to them)
Sai: voh.. mera matlab tha ki.... Ki sab yaha hai sivay unke.... Tho isiliye poochliya....
Shivani: bataya tho tha sai... Kab aatha hai kab jaatha hai kisiko patha nahi chaltha....
Sai: aur aap logon ko.... Unki chintha nahi hothi?
Samrat: hothi hai na... Bhohot chintha hothi uski halath dekhkar.... Voh apne aapko isolate kar rakha hai... Paanch saal hogaye use hastha hua dekh ke... Voh bas teek hai... Khudh keliye nahi balki hum sab keliye.... Raath ko agar koyi uta hua hotha hai uske aane ke time par tho voh force karke khiladethe hai varna patha nahi khaya bhi ya nahi....
Sai: kyu? Aisa kya hogaya hai ki... Ki voh aisa barthav kar rahe hai?
No one answered... They don't know if it is good to tell her or not .... It's correct time or not....
Samrat: bas yu samajhlo ki voh toot gaya hai andhar se....
Sai: pakhi didi kisi or shaadi kari isiliye?
(At this point everyone understood that she is not able to move out of that pakhi zone...)
Samrat: nahi sai.... Virat dada ko aur uski halath ko samajhna chahthi ho tho please tum patraleka ke zone se bahar aajau....
Sai (in mind): kya samjhu.... Koyi mere sawalon ka seedha answer kyu nahi detha? Ya phir aisa tho nahi ki mai samajh nahi paa rahi hu?
Bhavani: bas ab baathen bandh karo aur naastha karo....
They have breakfast and go back to their works.....
Sai takes ashwini to her room... Makes her rest on bed arranging pillows behind her to lean on... Sai gives her medicines....
Sai: aai aapka pair dabha dhu...?
Aapko aaraam milega...
Ash: uski koyi jarurat nahi hai bada
Sai: kyu nahi hai? Aap relax kijiye aur mai aapka pair dabhathi hu....
While doing so... Sai is lost in her questions....
Ashwini: sai.... Kaha khoyi hui ho...
Sai: kahi nahi aai....
Ash: teek hai... Math batau
Sai: aai... Mere man mein bhohot saare sawal hai jiska jawab nahi mil rahe hai mujhe....
Ash: mujhse pooche.... Shayad mai koyi madadh kar pau...
Sai: baath virat sir ki hai... Aap unki aai ho unki side se bhologi na...
Ash: pagli... Aai tho mai tumhari bhi hu.... Kisika side nahi lungi... Mujhe jo lagtha hai vahi bholungi.... Teek hai?
Sai: okay.... Poochu?
Ash: haan....
Sai: pakhi didi move on kaise hogayi matlab jab mai gayi thi tab tho dada ke saath move on karne ki dhikava kar rahi thi?
Ash: mm.... Tumhare gaye hua kuch din baad samrat ne patraleka ke haath mein divorce papers rakh diye the... Bhohot bada thamasha hogaya tha aakir mein samrat patraleka ko samjhaya ki ab unke rishthe ko koyi mauka nahi diya jayega aur use move on karlena chahiye.... Patraleka virat se shaadi ke baare mein jidh karne lagi tho virat ne bhi jawab dediya ki aisa Khabhi nahi hone wala.... Bas voh tab chali gayi thi.... Agle din signed divorce papers samrat ko bheji aur talak hogayi thi.... In sabke hua dho saal baad voh ghar aayi apni shaadhi ki card lekar parivaar ko invite karne...
Tab patraleka bilkul alag thi jitne pyaar se usne humse baath ki shaadhi par invite kiya na koyi Mana nahi karpaye.... Shaadhi mein Samira ko introduce kiya... Samrat aur patraleka dosth hogaye aur usne Samira ko samrat ka jodi banane mein madadh
Kari....
Sai: aisa kya hogaya aai ki dada ne divorce papers haath pe rakh diye?
Ash: voh tho nahi patha.... Samrat, pakhi aur virat ko hi patha hoga... Un theeno ke beech kuch baath hui thi shayad.... Humne poochna jaruri bhi nahi samjha sai.... Kyunki jo ho raha tha teek hi ho raha tha...
Sai: tho virat sir ki haal aise kyu hai? Aise akele akele kyu reh rahe hai?
Ash: voh tho toot gaya hai Sai.... Tumhare jaane ke baad se uski chehre se hasi hi mit gayi.... Patha hai... Us raath ko sharab peeke agaya tha ghar... Uske baathe batha rahi thi ki voh andhar se kitna toot gaya hai kitna dard kitni guilt bhar gayi hai uske man mein.... tumhare jaane ke Baadh se humne use na kabhi rothe dekha hai aur na kabhi hasthe dekha hai....
Sai: unki yeh haal ka zimmedar mai hu?
Ash: mai aisa thodi na keh rahi thi.... Sai.... Tumhare bina voh jee nahi payegaa... Ab voh bas zinda hai lekin zindagi jee nahi raha hai....
Sai.... Tumhe uski athith ko bhoolna hoga chodna hoga.... Tab jaake tumhe virat ka pyaar nazar ayega...
Sai: pyaar? Virat sir mujhse pyaar nahi karthe aai... Agar karthe tho mujhe itni asaani se divorce nahi dedethe...
Ash: tho tum chahthi thi ki voh rokhe tujhe?
Sai: nahi... Maine aisa thodi na kaha hai...
Ash: tum bhi virat se pyaar karthi ho... Lekin accept nahi kar rahi ho ....
Sai: mai koyi pyaar vyaar nahi karthi...
Ash: acha... Tho tumne uski di hui ring tho lauta dhi thi par uski di hui pen voh kyu apne paas Sambhalke rakhi hui ho.... Tum virat se naraaz ho phir bhi uski chintha karna nahi chodthi.... Ise insaaniyat ka naam math dena sai... Insaaniyat kabhi kabhi narazgi aur gusse ke samne tikhtha nahi hai.... Lekin pyaar jarur tikhtha hai.... Jab Samira ne virat ke ghayal hone ke baare mein bataya tho tum gabra gayi thi tumhare awaaz mein dard aur dar thi... Mai vahi thi bahar se sun rahi thi aapke baathen.... Sai.... Jo pyaar gharwalon ko tumhare aur virat ke beech mein dikh rahi hai voh tumhe kyu dhikaya nahi dethi....
Dekho mai tumhe force nahi kar rahi ki jau Godu pyaar karo.... Bas yeh keh rahi hu ki ek baar bas ek baar apne aur virat ke beech jo pal hai patraleka ke bina phirse yaad karo.... Tab tumhe shayad patha chal jayega ki tum uskeliye kya mehsus karthi ho....
Aur yahi baath divorce ki... Use kudh par aur is parivaar par se bharosa ut gaya tha ki tumhe kabhi khush rak bhi payenge ya nahi.... Sai voh apne kiye galathi ka saza bukath raha hai...
Apne kiye ka pachthava hai use....
(Sai kept thinking....)
Chal ab jau tum bhi aaram karo... Lunch ke time pe bhulaungi.....
Sai leaves without saying a word...
Sai goes to her room...
Sai: pyaar.... Virat sir se.... karthi hu kya? Yaar sai... yeh Kya soch rahi ho...
Abhi tak mere sawal ka jawab nahi mila Mujhe.... Pakhi didi virat sir aur dada ke beech kya hua tha....? Mujhe jaana hai... Bas... Kisse poochu.... Dada se.... Nahi teek nahi hoga... Bappa please mujhe sawalon ke jawab chahiye....
आप पढ़ रहे हैं
Will the parted ways ever meet again?
FanfictionIt's a SaiRat centric story.... In the show Ghum hai kisike pyaar mein current plot revolves around Virat locking up Sai in room... Sai escaping from there going to college and applies for transfer.... I am gonna my story start from this point.... A...