Inhumanity in "The Humanity"

512 26 6
                                    


Sagai ke agle din thana mein

Haseena Malik headquarter se laut rahi hai

Santosh: MaddamSir aap DSP Sir se milne gye the.

Haseena: Nehi Santosh Sharma, hum unse milne nehi gye the, unhone humein bulaya tha.

Santosh: Haa to aap DSP Sir se milne jaaye ya DSP Sir apko milne bulaye baat to ek hi hai na. Kyu Pushpa ji?

Pushpa Ji: Baat to sehi kaha Santu ne MaddamSir. Waise humare Lalla ke pappa bhi bilkul aisa hi kiya karte the. Bahane karte the humse milne ki. Hum the hi itne khubsurat.

Haseena: Kuch jaruri kaam se bulaya tha. Cheeta Chaturvedi apko files ready karne k liye kha tha adhe ghante mein humare cabin mein miliye files ke sath.
Aur Pushpa Ji chargesheet ready ho gya?

Pushupa Ji: Ji ho gya...

Santosh: Ho gya Pushpa Ji?

Pushpa Ji : hmm.. Humara matlab hai abhi ho jayga.

Haseena Malik is little bit pareshan. Unko DSP Sir ne headquarter bulaya tha. Ek secret case ki baat karne.

Lucknow sheher ka ek famous businessmen Vikram Thakur. Ek ladki jo Vikram Thakur ki “The Humanity” naam ki company mein kaam karti hai. Usne DSP Sir ko call kar ke help mangi that her boss mashur businessmen Vikram Thakur ne unko molest karne ki koushish ki hai. Likin apna naam nehi bataya aur koi case bhi nehi ki. Dsp sir ne pata lagaya hai yeh sim card kisi Tridha naam ki ladki ke naam pe registered hai.

Bina kisi registered case ke itne bade businessman ko arrest to dur ki baat sawal-jawab ke liye bulana bhi possible nehi hai. Aur upar se clean imaged. Koi crime history bhi nehi hai Vikram ke khilaf.

To DSP sir ne yeh kabil officer Haseena Malik ko hand over ki hai secretly solve karne k liye. And ordered her to keep it a secret.

On the other hand S.I. Karishma Singh ko Shalini naam ki ek ladki ki pita ne call karke unke beti ke liye haat jod ke insaaf mange hai.
Shalini ki papa ko lagta hai ek Karishma Singh hi hai jo unke beti ko insaaf dila sakti hai.

Shalini.. Jo ek time pe Vikram ke office pe kaam kiya karti thi. Phir achanak ek din suicide kar li.
Aur chitthi chhod ke gyi hai,
“Mere daman katilo ko maat chhodna Papa”.
Kuch saal pehle ki tarikh likkhi hui yeh chitthi Shalini ke pita ko abbhi Shalini ki diary mein mila.

Karishma Singh ne yeh sab sunke wada kiya hai Shalini ke papa ko, wo unki beti ko insaaf dila ke rehegi.
Kyuki Vikram ke khilaf koi case registered nehi hai.

Karishma Singh ko laga agar yeh baat wo Haseena Malik se kahenge to Haseena Malik unko rokenge. Bina kisi sabut ya case ke Haseena Mallik kuch action lene ki permission nehi denge.
To Karishma ne Haseena ko kuch nehi bataya.

Haseena Malik ki haat bhi bandhe huye hai, wo bhi Vikram ke khilaf koi action nehi le pa rahi kyuki Vikram ke khilaf na koi case hai na koi sabut.

Chaliye milte hai Vikram Thakur se. "The Humanity" naam ki company ki chairman hai. The Great business Icon. Clean imaged. Youth festivals mein jaa ke bhashan dete hai. Bohot students unke jaisa banne ke sapne dekhte hai. Aur Samaj ke log bohot maante hai kyuki Charity bhi karte hai na. Unke Charitra pe daag to dur ki baat unke chehre pe bhi ek daag nehi hai. Aisa mera nehi samaj k log aur inke followers ka maan na hai. Upar se videsho mein bhi inke products supply hote hai. Desh ke liye bhi asset hai.
Aise admi ke khilaf ladna matlab kuch haad taak apni jaan ki bazi lagana hota hai. Likin burai kaab taak jeetega. Ek na ek din to uska aant nishchit hai.
Ab Karishma Singh aur Haseena Mallik dono ek dusre se anjaan, ek hi case mein jud gye hai. Ab dekhna yeh hai ke kon pehle solve kar pata hai yeh case. Aur kon dila pata hai. Shalini aur Tridha ko insaaf.

FIRE GIRLS  (one step ahead of you)Where stories live. Discover now