Chapter 7

133 25 162
                                    


Taimur ne apne haat ki phusht se anson saaf keye thy. Or table par pari rang se bhari ak dabbi uthai thi.

"Taimur tum kamzor nhi par sakte, kabi bi nhi."

Taimur ke andar se ak awaaz ghonji thi.
Haat main pakri rang ki dabbi ko us painting ki taraf undelne laga tha jaab Zaviyar ki ghonjti awaaz ne Taimur ke haat ko apni jaga jamaya tha.
Awaaz yakinan seriyon se di gai thi.magar ab Zaviyar ke qadmo ki chaap bharti ja rahi thi.
Taimur rang ki dibbi ko wahin phenkta kamre se bahir aya tha. Uski khush qismati se Zaviyar wo painting nhi dhek saka tha.

"Bhai ye kia harkat thi??"

Zaviyar gusse main bola tha.

Taimur bina usse jawab deta kamre ko lock karta upper study room ki taraf bhara tha.or Zaviyar apne bhai ki is harkat ko begour dhekta uske piche chalne laga.

"Bhai ma kuch poch raha hun!!"

Na jane ye jumla wo kitni bar dura chuka tha.Magar samne bheta Taimur apne chere par bina koi tasurat leye laptop par apni ungalia bhaga raha tha.
Zaviyar ko khud apna ap us kamre mien na hota mehsus ho raha tha.

Kuch dair ki taveel khamoshi ke bad jab Zaviyar apna aapa kho bheta to apni jaga se bark raftari se utha or phir samne pare laptop ki screen par dharam se apna haat rhaka tha.
Khush qismati se Taimur apne haat phiche kar chuka tha.

"Ma kab se yahan khara murgon ki tarhan bange de raha hun or ap hain ke ignore kar rahe hain!!"

Taimur ne ab uske chere ki taraf dheka tha.

"Ye kia batameezi thi!!!"

"Ye kia batameezi thi?"

Zaviyar ne jumla be yakine main duraya.

"Bhai ye batameezi uske agy kuch nhi thi jo apne Aaima ke saat ki he."

"Ma sharminda hun apni us harkat par Zavi."

Taimur ke itni jaldi ateraf par jese Zaviyar heran hova tha.magar Taimur bi kia karta wo puri duniya se bhehas kar sakta tha magar apne bhai se nhi wo hamesha uske agy haar jata tha.shahid usse uske agy harna pasand tha.
Dusri taraf Zaviyar bi apne bhai ke naram parte tasurat dhek kar khamosh ho gya tha.niche zameen par bhetta apne bhai ke haat par apna haat rhake apne bi tasurat naram kar chuka tha.

"Bhai apko mafi mangni chaiye usse janta hun apne mangi he magar wo maafi kaam zabardasti zada thi.or apko yaad he na mama kehti thien ke maafi hamesha dil se mangni chaiye."

Taimur apne bhai ka akhari jumla sunta kuch or naram para tha.

"Ma janta hun muje mafi mangni chaiye or ma maango ga bi."

"Bhai mane usse bhen kaha nhi mana bi he .or ma apni bhen ke saat galat hota ni dhek sakta. Phir chaye wo galat karne wala mera bhai hi kiun na ho ma awaaz uthon ga."

" or muje apne Zavi ki yehi bat sab se zada pasand he!!"

Taimue ne usko ak haat se uper uthne ke leye sahara deya or apne gale se laga leya.dono ak dusre se zada der tak naraz ya gussa nhi reh skte thy. Or shahid yehi wajah thi jo unke rishte ko or nikharti thi.

Dil e Nashad Where stories live. Discover now