Zia sahab kuch fasle par khare taimur ko jata dhek rahe thy."Kia ho gya he isse?"
Khud se hi mukhatib hove aur Arham ki janib bhare.
" Assalmu alikum bachon!"
Aaima aur Arham ki nazrein Taimur se hati aur zia sahab ki janib bharien.
Kuch rasmi si salam dua hoi aur Arham ne business ke related kuch bataein ki par Aaima ki nazar musalsal Taimur ke office ki janib thien jahan wo kuch dair phele gaya tha."Han befikar raho ma sab handle kar lon ga aur Taimur ki taraf se ma mazrat karta hon masruf he thora!"
Arham aur Aaima dono hi unki maafi mange par sharminda se hove.
" aray nai uncle ap kiun asy keh rhe ma janta hon aksar asa ho jata wese bi wo pareshan lag rha tha..aur galti meri bi he muje bi inform karke ana chaiye tha!"
Arham bi kuch sharminda hova. Reception par bheti larki ne Arham ko dekha to rokna munasib na samja kiun ke wo jan chuki thi ke Arham ki family ke saat baat srif business ki nai thi.aur bina kuch kahe andar jane diya.
"Aray nai beta tum dono mere bachon ki tarhan ho jab dil chahe ao..aur Taimur aur Zaviyar ki bus apas mein thori anban hoi he is liye iska mood asa!"
Aaima jo kab se bina kisi tasurat liye khari thi zia sahab ki baat par chunki thi. Wo jo ak dusre par jaan nichar karte thy un mein anban kesi. Is se ye sabit hova tha ke Zia sahab Taimur ki baat par parda daalna chah rhe thy.
Arham dhima muskuraya. Aur haat mein pakre invitation card zia sahab ke samne kia."Uncle ye car darasal baba khud ana chate thy bus masrufiyat ki wajah se nai aa pae!"
Zia sahab ne bi sir ko muskurate hove khaam kiya aur card thama.
"Han baat hoi thi meri un sey wese bi ab waqat bi thora he masrufiyat bi bhoot hon gi!"
" je aesa hi he uncle!"
" wese ma bata don phele hi ke ma apni beti ki taraf se aon ga!"
Zia sahab ne Aaima ki janib dhekte hove kaha to wo bi muskura di saat hi Arham bi muskuraya tha.
"Je zarur ghar wali baat hi he uncle!"
"Han han...acha chalo ao andar kuch khate pete hein!"
"Aray nai uncle abi bus shopping par ja rhe hum insha Allah phir aein ge!"
"Acha acha chalo zarur ana Allah hafiz!"
"Khuda hafiz!"
Aaima ki nazrein ak bar phir taimur ke office ki janib uthi thien. Kuch ajeeb sa behaviour tha uska. Jo Aaima nazarandaz nai kar saki.
______
"Aaima batao phir agar kuch passnad aya he to?"
Dono takreeban ak ghante se shopping mein masruf thy magar pasand dono ko kuch nai aa raha tha.
Ya sach to ye he ke dono kuch dhek hi nai rahe thy. Arham ko bar bar call aa jati office se aur wo wahan masruf ho jata jabke Aaima ka dimaag ab bi Taimur ki janib tha.
YOU ARE READING
Dil e Nashad
Sonstiges" Muhabat karta hun tumsy " " magar ma nhi karti " " tumhe karni pary gi !!!" ~~~~~~~~~~●●♡♡●●~~~~~~~~~~ " tum asy to nhi thy " " waqat or halat bi asy nhi thy" ~~~~~~~~~~●●♡♡●●~~~~~~~~~~ " chor do mujy . Chor doo ." wo rona chati thi . Magar...