Maa: kiyà hua hai Anu haseena ko. Or is k pairon mei yeh choat Kahan say lagi hai.
AS: maa hum change karnay gay thy wapis aaey toh dekha k yeh behoosh pari thi
Maa: yeh behosh kaisay hogi.
AS: maa pata nahi hum inhain hospital lay k ja rhy hain.
Maa: Anu sach sach bata tu nay kiyà Kaha tha is say aaisa k yeh behoosh ho gae.
AS: maa hum nay in say kuch nahi Kaha hai.
Maa: nahi Anu zaroor tu nay kuch kiyà hoga hum maan hi nahi saktay
AS: maa apko Jo samjhna hai ap samjh sakti hain , filhal humain inhain hospital lay k Jana hoga hum ja rhy hain.
Maa: hum bhi tere Sath chaltay hain.
AS: maa ap chinta mat karen hum hain haseena k sath inhain kuch nahi honay dyn gay.
Maa: theek hai dhayan rakhna iska.
*********
AS: kiyà hua doctor sab theek toh hai, haseena behosh kaisay hogi?
Doc: Mr Singh ap itnay laparwah kaisay ho saktay hain , apko aaisi halat mei inka khayal rakhna chaheay tha.
AS: ha doctor hum nay poori tarha say inka khayal rakha hai, inhain kisi cheez ki takleef nahi honay di hai.
Doc: acha yeh khayal rakha hai ap nay, apko pata bhi hai Kay apki wife ki condition kiyà hai or aaisi halat mei inhon nay shaid subha say kuch nahi khaya hai.
AS: aaisa kaisay ho sakta hai doctor hum nay khud inko apnay hathon say tiffin pack kar k diya tha, anyway ab kaisi tabiyat hai inki.
Doc: ab behtar hai par dhayan rakhain aagay say is qisim ki koi laparwahi nahi honi chaheay warna yeh inki or baby dono ki health k liey theek nahi hai.
AS: ji doctor hum aab say Inka aur bhi khayal rakhain gay
Doc: yahi behtar hoga.
AS: hum haseena ko kab tak ghar lay ja saktay hain.
Doc: bus hum inhain kuch dyar under observation rakhen gay phir us k bad ap inhain ghar lay ja saktay hain, par Mr Singh ap nay Inka khayal rakhna hoga.
AS: ji doctor ap fikar na Karen ab say hum poora dhayan rakhain gay or koshish karen gay k aaisi nobat dobara na aaey.
Doc: good.
AS: thank you doctor.
She left.
HM: Anubhav..
AS ( shouts): tum nay suna doctor nay kiyà Kaha, tum itni la parwah kaisay ho sakti ho ( at that time maa enters with karishma , but neither haseena nor Anubhav sees them, because his back facing them and he stood infront of her) tum nay phir say hum say jhoot bola kyun? Jab k hum nay tum say pocha bhi tha, tum say humain yeh umeed nahi thi haseena.
HM: Anubhav humain maaf kar dyn.
AS: humain tum say koi baat nahi Karna chahtay, agar tumhari is laparwahi ki wajah say kuch ho Jata toh hum tumhain Zindagi bhar maaf nahi kartay.
HM: Anubhav please humari baat toh sunnain hum apko bata rhy hain na wajah kiyà thi.
AS: hum kuch nahi Sunna chahtay hain haseena, humain is samay ap say koi baat nahi karni, or please ap chup ho jaen, hum is samay buhat gussay mei hain or gussay mei kuch bhi Ulta sedha keh dyn gay jis say apko takleef hogi or hum aaisi halat mei apko filhal takleef dayna nahi chahtay.
HM: Anubhav please gussa nahi karen hum sab kuch bardasht kar saktay hain par apka gussa hum say bardasht nahi hoga.
AS: toh apko yeh hum say jhoot bolnay say pehlay yeh baat sochni chaheay thi. Tab nahi socha ap nay.