Next morning 🌄.
AS: Jan uth jao
HM: kiyà hai Anubhav ap humain sonay hi nahi daytay hain Sahi say.
AS: subha ho gae hai.
HM: aaj Sunday hai Anubhav humain sonay aaj please.
AS: maa subha say 4 chakkar humaray room ka laga chuki hain, agar tumhara mood aaisay hi raha toh unhain shak ho jaey k humaray beech kuch garbar hai.
HM: par shak kyun humaray beech toh sab Sahi hai na.
AS: par yeh baat maa ko Kaun samjhaey, aur waisay bhi aaj hum nay maa ko is k baray mei batana bhi toh hai.
HM: ha ap keh toh Sahi rhy hain.
AS: Kal Kashi bata rhi thi k maa lawyer say milnay gaen thi divorce paper k silsilay mei. Or aaj un ki diey gay do mahinon ka akhiri din hai, par humain umeed hai yeh Khushkhabri unka faisala badal day gi.
HM: ha humain bhi Vishwas hai k maa yeh khabar suntay hi sab kuch bhool jaen gi.
AS: toh dyar kis baat ki tum ja k fresh ho jao jab tak hum tumhari saree press kar daytay hain.
HM: Anubhav
AS: hummm.
HM: Kal raat k liey sorry hum nay apko buhat Sunna diya, par kiyà Karen hum bhi humain aaj Kal choti choti si baton par gussa aanay laga hai, hum kabhi ap say aaisay baat karnay ka soch bhi nahi saktay thy jaisay hum nay ap say Kal baat ki thi, I am really sorry humain maaf kar dyn, ap toh humari care kar rhy thy phir bhi na janay kyun humain gussa aa jata hai, apki koi ghalti nahi thi phir bhi ap nay hum say sorry Kaha or hum Ulta ap say maafi mangnay k aur krodit ho gay.
AS: tumhain sorry kehnay ki koi zaroorat nahi hai Jan, hum jantay hain tum nay woh sab unintentionally Kaha hai tum maqsad humain hurt Karna nahi tha, or hum yeh bhi jantay hain k yeh haseena Jo abhi humaray samnay hai woh asal haseena jaisi bilkul nahi hai yeh sab mood swings, gussa sab pregnancy mei honay walay harmonal changes ki wajah say tumhain aa rha hai, kyun k humari asal haseena ka roop hum nay dekha hai Jo ghalat baat bhi sun k chup rehti thi kabhi palat k jawab nahi dayti thi, jis nay kabhi apna haq nahi manga kabhi hum say sawal nahi kiyà, humari har zulum khamoshi say saha hai, humari Haseena buhat shant or samjhdar hai, yeh Jo abhi humaray samnay hai woh toh iska roop mei Jo apki shaksiyat mei jhalak rha hai.
HM: toh ap humaray baby ko in sab k liay qasoorwar samjhtay hain.
AS: hum nay kab Kaha k woh qasoorwar hai, woh ek buhat hi zayda natkhat or shararti hai.
HM: woh toh hai.
AS: ab yahen Sara din isi bed par guzarna hai ya uthna bhi hai, agar tum kaho toh tumhain uth k bathroom tak lay jaen.
HM: please lay Chalo na.
AS: Jo hukum apka, he picked her in his arms and moves towards the bathroom.
*****
HM: Anubhav maa toh so rhi hain, hum unhain ab kaisay bataein?
AS: subha say maa nay buhat intezar kiya hai apni bahu ka , par us waqt bahu rani aaram kar rhi thi, bechari maa intezar Kar kar k so gae.
HM: is mei bhi humari ghalti, ap nay pehlay humain kyun nahi jagaya.
AS: acha ji maan liya k Sara ka Sara dosh humara hai ab khush.
HM: ha ab humain bhook lag rhi hai buhat.
AS: toh chalen hum apni jan ko apnay hathon say kuch bhariya sa bana k khilatay hain.