PART#6

1.4K 127 10
                                    

Maa: Kashi yeh lay tera Diwali ka uphar.

KS: maa shukriya par iski Kiya zaroorat thi.

Maa: khol k dekha phir bata kaisa laga tujhe.

KS: maa yeh toh buhat khubsorat hai, kis ki pasand hai bhaiya ki ya apki.

Maa: na tere bhaiya nay pasand kiyà hai na hum nay yeh teri bhabhi ki pasand hai , achi hai na uski pasand. Pata hai yeh bracelet ek mahila ko aur pasand aaya tha par is jaisa koi dosra nahi tha, bahu nay Kaha k woh hi isay lay hi kyun k pehlay us nay isay pasand kiyà hai tere liay.

KS: ha buhat achi hai apki bahu ki pasand is mei koi shak nahi ( seeing his brother) or Kisi say kaisay kiyà cheenah hai is mei toh buhat mahir hain woh.

Maa: Kashi aaj k din toh Kam say kam apni zaban band rakh, tehwar hai sab khush hain kyun aaisi batein Kar k sab ka mood kharab kar rhi hai tu.

KS: maa wah ap toh bus apni bahu ki gun gan hi gati rehti hain, pata nahi kiya jadu kar diya hai is nay ap par. Is k samnay apki apni Sagi beti ki koi haisiyat hi nahi hai.

HM is listening all this but tolerate it don't want to say anything to her, she moves to her and hugged her.

HM: happy Diwali Kashi.

KS: hum Kashi sirf apni maa , bhaiya or patidev k liay hain toh please humain Karishma keh k ap bulain toh behtar hoga.

HM: ks theek hai par Kam say kam aaj k din toh sari purani batein bhool k mil k Diwali manatay hain.

KS: purani batein ap bhool sakti hain hum nahi , isliay toh aaj tak apko hum nay bhabhi ka darja nahi diya hai.

HM: kS beshak ap humain bhabhi na manain Kam say kam ek dost toh maan sakti hain na

KS: nahi woh bhi nahi maan saktay hum, kyun k jab bhi yeh naam suntay hain toh humari dost ko apka diya hua dhoka yaad aa jata hai.

HM: agar hum yeh kahen k hum nay kisi ko dhoka nahi diya hai toh.

KS: humari aankhon nay Jo dekha or kanoon nay Jo Sunna hai woh kaisay jhutlaen gi ap.

HM: dekhain ks humaray pass humari baygunahi ka koi saboot nahi hai par ap hum par yaqeen Karen hum nay na kisi ko dhoka diya hai na hi kisi ka dil tora hai. Ek bar humain humari safai ka toh mooqa dyn. Hum sab sach apko batana chahtay hain.

AS: aray Kashi tum yahan kiyà kar rhi ho wahan sab enjoy kar rhy hain.

KS: ji bhaiya hum aatay hain ap chalen.

AS: tum yahan kiyà kar rhi ho room mei jao please yahan reh k hum sab ki Diwali kharab mat karo.

HM: Anubhav hum kisi ki khushiyan barbad karnay nahi aaen hain. Hum maa k pass ja k baithtay hain ap sab enjoy karen.

She sits next to her mother in law and see all are enjoying their festival.

Maa: aray haseena teri mang kyun khali hai Sindoor Kahan hai tera.

HM: sorry maa hum lagana bhool gay.

Maa: tu bhi na kiyà suhagan ki Soni maang Shobha dayti hai kiyà. Anu idhar aa wahan kiyà kar rha hai.

AS: ji maa bolain kiyà hua.

Maa: ja mandir say Sindoor ki dibya la k bahu ki mang bhar day.

But he stands there still.

Maa: bahu tu hi ja k lay aa yeh toh humari koi baat manay ga hi nahi.

HM: ji maa hum lay k aatay hain.

She brings and going to put it on her hairline. But maa stops her.

Maa: ruk Anu tu bhar bahu ki maang mei Sindoor.

Hate Or LoveWhere stories live. Discover now