khush rakhna

221 14 0
                                    

Hlo guys 😊
Mein raat ko post ni kar pati isiliye abhi kar diya
Here's the next part
I hope you will like it 😇

So last part mein Anirudh aur Paromi dono Bondita ko hospital le jate hai
Bho Dono usse lekar hospital pohchte hai Doctor usse andar le kar jate hai check up ke liye

Aab aage

Paromi: pata nahi kyu Humesha uske sath hi itna bura kyu hota hai
Anirudh: Paro humein khud ko Sambhalna hoga Bondita ko humari jarrurat hai
Paro: aap Sahi keh rahe hai
Par ghar pe kya bolenge
Anirudh: hum sabse sach kahenge
Paro: par Anirudh jii hum kaise
Anirudh: janta Hoon paro batana muskil hai par batana to hoga na
Paro: hmm...

Anirudh Rcs haveli mein call karta hai
Sampoorna maa ko batata hai
Fir sampoorna Das Haveli mein call karke Tupur ko batati hai

( Sampoorna, Batuk, Tupur, Thakuma,  Vidhi maa hospital pohachte hai )

Tapur Shashwati ke sath ghar par thi bho choti Hai isiliye
Akela ni chod sakte the
Sasurji aur Som Calcutta gaye the business ke kaam se
Aur ksj Zameendari ke kaam se bahar the

Sampoorna: kaise hua yeh sab
Paro sabko Aditya ke bare mein batati hai
Vidhi maa (with tears) : yeh kya ho gaya meri Bacchi ke sath
Thakuma: Bahu yeh samay Himmat se kaam lene ka hai
Smbhalo khud ko

Thori der mein doctor bahar ate hai

Tupur: kaisi hai abhi bho
Doctor: abhi bho theek hai
Mein ne unhein injection diya hai
isiliye behosh hai abhi unhein kal shubah tak hosh aa jayega
Aap log chaein to unse mil sakte hai
Par dyan rakhiyega
Anirudh: Thanku soo much doctor
Doctor: yeh to humara farz tha

Fir sab Bondita se milne andar jate
Hai Anirudh bhi jha hi Raha hota hai Doctor usse bolte hai

Doctor: Aap Unki family Hai na
Anirudh: ji hai doctor
Doctor: kya aap mere sath chal sakte hai mujhe apse kuch important baat karni hai
Anirudh aur Doctor dono Cabin mein jate hai

Anirudh: kya baat hai doctor
Doctor: dekhiye Anirudh ji aap Unki family hai aur barrister bhi to mujhe laga ki aap iss baat ko acche se samjhenge
Anirudh: mein samjha ni
Doctor:  mein ghuma fhira kar baat ni karuga
Dekhiye Anirudh ji yeh bahut sensitive matter hote hai jismein ladki par kya beetti hai iska andaza koi ni laga sakta
Aur humare desh mein to ladkiyo ko hi galat mana jata hai
Iss trauma se bahar nikalne mein saalo lag jate hai
Kabhi kabhi to Isse ladkiya bahar hi ni nikale pati
Jisse bho depression mein jane ke chances jada rehte hai
Anirudh: to iska koi to ilaaz hoga doctor
Doctor: dekhiye iska ilaaz sirf ek hi hai ki Unka khush rehna bahut jarruri hai
Unhein khush rakhna hoga apko aur iss baat ka dyan rakhna Hoga ki  unke samne esi koi baat na ki jaye jisse unhein dukh ho
Anirudh: mein iss baat ka pura dyan rakhuga doctor don't worry
Thanku doctor mein chalta hoon

Fir Anirudh Bondita ke room mein jaa hi raha hota hai ki bho Batuk ko Side mein rota dekhta hai

Anirudh: kya hua Batuk tum roo kyu rahe hoo
Batuk: da.. dada bho boudi
Anirudh: kya hua Batuk bolo Bondita theek to hai na
Batuk: bho theek hai par unke sath yeh sab
Anirudh: Batuk Dekho jo hua hum usse to ni rok paye par aage kuch galat hone se to rok sakte hai na
Batuk: hmm....
Aab mein meri behn, boudi aur dost ko kuch ni hone duga
Tupur: mein ni hum
Hum sab uska dyan rakhege
Anirudh: Tupur tum yaha 
Tupur: bho dada mein Medicines lene ayi thi Bondita ki
Anirudh: tum dono andar jao mein le kar ata hoon

Tupur aur Batuk andar jate hai aur
Anirudh medicine lekar Bondita ke room mein ata hai

Anirudh: hum Bondita ko kal shubha tak ghar le ja sakte hai
Aap sab ghar jaiye mein hoon yaha
Paro: Anirudh ji sahi keh rahe hai
Aap sab thak gaye hoge
Aur shashwati aur Tapur bhi akeli hai aap sab ghar jaiye
Aur Anirudh ji aap bhi ghar chale jaiye mein hoon yaha Bondu ke sath
Anirudh: paro Tum bhi thak gayi hogi tum jao mein hoon yaha
Paro: aap chale jaiye
Batuk: Paro didi dada ni manegein aap bho boudi ko chod kar ni ja payenge isiliye aap hi chaliye
Paro: theek hai
Chaliye sab

Sab bahar chale jate hai
Sampoorna Anirudh se bolti hai

Sampoorna: tum theek ho na Anirudh
Anirudh: Maa mein bilkul theek hoon
Sampoorna: Maa hoon tumhari Tumhein janti hoon isiliye keh rahi hoon
Hum sabke Samne ni roo sakte apna dard ni baat sakte Uske sath to baat sakte ho na
Anirudh: hmm..
Aap sab  apna dyan rakhna
Sampoorna: aur tum bhi apna aur Bondita ka dyan rakhna

Fir Sab log ghar chale jate hai

Aab aage ki story padhne ke liye bane rahiyega mere sath
Abhi mein chalti hoon
Ok
Bye 👋
Love you all ❤️






Amar Prem Kahani Where stories live. Discover now