STARTING FROM THE DAY WHEN SAI ANNOUNCES THAT SHE IS LEAVING CHAVAN NIWAS
SAMRAT - Sai agar tum chali gayi toh iss ghar me ek bhi chehra nahi bachega jisse dekh kar mein yeh keh sakunga ki mein iss ghar me kyu aaya... Kadwa hey par yahi sach hey
PAKHI - Samratt..(in mind)
MANSI & EVERYONE ELSE HEART ACHES HEARING WHAT THEIR SOM JUST SAID...
PAKHI (in mind) - Pakhi tune anjaney mey aur galat hi lekin tune sahi faisla liya. Tune sahi kiya Samrat k sath aagey na badh k tune sahi kiya Pakhi. Agar tu aaj Samrat k sath aaghey bhi badjati na tab bhi Samrat k liye Sai se bad k tu kabhi nahi hoti lekin aab nahi bas bahot hogaya...
MANSI - samrat tera yaha aane ki wajha sirf yeh Sai thi teri aai bhi nahi (a tear drop falls from her eyes)
SAMRAT (trying to wipe Mansi's tear) - nahi aai
PAKHI - durr hato aai se (pushing Samrat)
SAMRAT - Patralekha tum
PAKHI - kya mein huh kya mein Samrat tum dono bhai aur iss Sai ne mil k jindagi barbad kardi hain meri thakgai hu mein tumhare muh se Sai puran sunn sunn k bas band karo aab agar tumhara iss ghar mey aane ki wajha yeh Sai hain toh nikal jao iske sath iss ghar se isi waqt. Just go to hell
BHAVANI - Patralekha yeh kya
PAKHI (cutting her words) - badi mami aap please hum dono k beech maat boliye bahot hogaya aab pani sar k uppar se chalagaya hain
ASHWINI - dekhliya Vahini aapni ladli bahu ki juban kyase chalti hain
PAKHI - aapki bahu oh sorry apki beti Sai ki tarha nahi chalti sukar manaiye mami
SAMRAT (in high tone) - Patralekhaa
PAKHI (in equally high tone) - aawaz nichey rakh k baat karo Samrat Chavan
PAKHI WENT FROM THEIR BEING ANGRY AND BANGED THE ROOM DOOR MAKING EVERYONE SHOCKED...
SAI - Dada aap unki baat kah bhura maat maniye woh yesehi hain unhe toh khushi horahi hogi ki mein jarahi hu kher mein chalti hu... (Leaves)
SAMRAT (in loud tone while enterinh his room) - yeh kyasa bartav tha Patralekha. Sai chaligai aur tumhe usse rokne ki jagha tum kya karke aarahi ho niche pata bhi hain. Mujhe tumse yese ummed nahi thi Patralekha.
PAKHI (in sarcastic way) - oh toh tumhe mujhse koi ummed bhi hain kya mujhe laga tumhe sirf tumhari behen jo tumhare wapas aane ki karan hain usse ummed hain mein toh kon hu tumhari koi nahi bas ek naam ki patni jis k gale par yeh naam ki mangalsutra hain aur tum mere naam k pati.
SAMAT - Meri behen ghar xod k chaligai hain aur tum yeh sab kya kahe jarahi ho
PAKHI (in loud tone) - haa toh meine usse bheja hain kya huh meine kaha tha kya ghar xod k chali jao Sai. Mujhe nahi pata sab aapne bhadas mere sar pe aake kyu fodte hain. Agar tum Virat ko uske harkat k liye confront nahi karsakte toh bewajha mujhe pe chillana band karo samjhe tum. Aapne bhai se kuch kaha nahi jata aur bade aaye mujh par chillane wala
PAKHI BANGS THE DOOR AND GOES TO BALCONY.
PAKHI - kaas mein waqt ko badal pati toh mein kabhi Nasik nahi jati aur na uss Virat se milti. Pata nahi mere akkal pe kyu tala padgaya tha jab usne mujhse Samrat se shadi karne ko kaha toh mein jhat se mangai. Mein yese dorahe pe khadi hu jaha mujhe samne kah pata hain ma pichey kah. Kuch nahi pata bappa ki mein kya karu. Kyasi jagha fasgai mein jaha na pyaar hain na izzat. (She hits the wall making her hand bleed...)
ASHWINI - Kya huwa patralekha khush hogi na tum toh ki Sai chaligai tumhari wajha se chaligai Sai yeh ghar xod k
PAKHI (in loud tone) - Aapki problem kya hain mami jab dekho tab mere pichey kyu padi rehti hain aap aapko aur kuch kaam nahi hain kya jo jab dekho tab yeh huwa toh Patralekha ki wajha se woh huwa toh Patralekha ki wajha se agar Chavan niwas mey ek tinka bhi hila na toh uska jimmedar bhi aap mujhe therayengi. Aapko bas issi baat se problem hain na ki mein Virat se pyaar karti thi aur shadi meine Samrat si ki toh suniye sach yeh hain ki aapke bete ne mujhe aapna pyaar kah wasta deke jabarjasti Samrat se shaadi karne pe majbur kiya. Virat ne mujhse wada kiya tha ki woh meri jagha kisi ko nahi dega lekin afsos woh iss wadeh ko kabhi pura nahi kar paya jyase woh Sai ki jimmedari pura nahi karpaya. Virat ne mujhe khurban kiya Samrat k kiye hui ehsaan kah badla chukane k liye. Mein bhi insaan hu mami dard aur takleef mujhe bhi hoti hain lekin aap nahi samjhenge kyuki aapko hamesa mein hi galat lagungi na ki Virat aur Sai. (Leaves)
BHAVANI (in mind) - Virat ne Patralekha ko majbur kiya Samrat se shaadi karne par. Doh jindagiya barbaad karke woh Sai k sath khushiya aur jashan pe jashan manaye jarah tha. Aab usse iski sajha barobar milegi.
PAKHI LEAVES THE BALCONY AND GOES TO HER ROOM JUST TO FIND HER HUSBAND LOOKING AT HIS AND SAI PHOTOS. A DEEP FEELING OF ANGER, HURT, IRRITATION AND FRUSTATIOM OVER POWER HER.
PAKHI (in little firm voice) - Samrat tum aaye toh bhi sirf mujhe xodne aur Sai ki wajha se aur aaj mujhe aur hamari shaadi ko dusra mouka deni ki wajha bhi chaligai. So i have decided ki lets get seprated it's better for both of us Samrat. Aur yeh mera aakhri decision hain don't think that i will re think about this. I want to get free from this marriage and family. Meri aapni life hain jo mujhe khushi aur izzat k sath jini hain jo mujhe iss pariwar mey kabhi nahi mili so please set me free. I know you want the same so lets get seprated and i know u will be happy without me.
SAMRAT LOOKS AT HER WITH MOIST EYES.
SAMRAT - Patralekha tum yeh
PAKHI - Samrat please yeh jhuti baatein aur tassali mujhe maat doh i am fade up of this all. Tumhari family dekh k tang aagai hu mein. Bhavani mami mujhe 1 saal tak itna pyaar karti rahi lekin tumhare aatehi she side lined and prefered Sai kyu kyuki woh Chavan pariwar ki badi bahu hain mein nahi. Ashwini mami ko jyasehi pata chala ki mein Virat se pyaar karti thi unhone mujhe ghar k nokar se bhi battar treat kiya. Ninad mama bhi mujhe support karte thye lekin jyasehi Sai ne ek harmonium lyake dediya unhone bhi mujhe side line kardiya afterall Sai unki saghi bahu jo thi. Sonali mami mujhe support karti thi lekin tana bhi barobar marti thi. Karishma toh kabhi idhar kabhi udhar. Mohit ne toh mujhe Sai se bhi jyada taane mara hain. Mein chahe sahi thi ya galat lekin hamesa sab k liye mein galat hoti hu. Aur tumne wapas aake bhi wahi kiya jo Ashwini mami, Sai, Mohit Shivani bua, Pulkit ki tarha mujhpe tane ki barshat karte rahe, bezzati karte rahe na jane kya galti thi meri jo mujhe yese treat karte rahe.
SAMRAT (in mind) - Itna kuch saha Patralekha ne itne salo mey usse yese treat kiya mere family ne aur meine bhi itna galat kiya uske sath wapas aake...
PAKHI - kher Goodnight Samrat kal sabko batadena we are getting seprated
SAMRAT - Patralekha..
PAKHI - Goodnight...
YOU ARE READING
Little lost Little found - Pakhi...
Fiksi PenggemarLITTLE LOST AND LITTLE FOUND.. PAKHI A BUBBLY, JOYFUL, FUNLOVING GIRL. SHE LOVED EVERYONE BUT LATER TURNS OUT TO BE INSECURE, ANGRY JEALOUS JUST BECAUSE SOMEONE SHE LOVED BROKE HER HEART IN EVERY WAY. LATER WHEN SHE GOT MARRIED HER HUSBAND LEARNS TH...