Painful past

1.6K 171 18
                                    

Both were sitting close to each other and were holding each other's hands....

AS - Natasha humare sath college me thi.... Humari best friend thi... Humne agar Maa aur Kashi ke alawa kisi par bharosa kara tha to wo thi.... Lekin Maa ko wo bilkul pasand nahi thi.... Lekin hum hi gadhe the jo ek Maa ki baat nahi mani.... Kehte he na maa baap jesa dosto ko koi nahi parakh sakta ...Agar us din unki baat maan li hoti to aaj shayad Maa hamare sath hoti....Humne Maa ke mana kehne ke bavjood Natasha se dosti nahi todi..... Din bar din hamari dosti gehri hoti ja rahi thi.... Ek din jab hum college ke teesre saal me the tab usme humare samne apna prem prastav rakh diya...

HM felt a different feeling maybe jealousy but she ignored it as he was more important than any of this....

AS - Humne use kabhi ek dost ke badhkar nahi samjha.... Humne use mana kar diya.... Usne kaha ki hum dost to reh sakte he na... Humne khushi khushi ha kar di.... Sab kuch wapis jesa tha wesa chalne laga..... Lekin dheere dheere uske bartav me antar aane laga.... Ek din hum ghar pohoche tab Maa hume ghar me behosh mili... Hum bohot dar gaye the.... Humne ambulance ki pratiskha nahi kari aur Maa ko gaadi me bitha ke hospital leke gaye....

HM- Phir....

AS grip tightened on Haseena's hand....

AS with a heavy voice- Unhe heart attack aaya tha.... Doctor ne hume bataya ki unki dawaiyo ke sath chedkani ki gayi he..... Hume kuch samajh nahi aa raha tha.... Maa ki saari dawaiya hum khud late the.... Doctors ne pura prayas kiya magar humari Maa.... He choked...maa ko nahi bacha paye wo....

He couldn't hold his years anymore. He didn't think of anything and just dug his face in her chest and started crying hysterically.....Haseena started caressing his back..... After 10- 15 minutes he stopped crying..... She wiped his tears..... AS looked at her and saw genuine concern for himself in her eyes..... He calmed down.... He started speaking again but didn't left Haseena.... He was still hugging her.. 

AS - Hume kuch samajh nahi aa raha tha hum kya kare.... Jab behena ko ye baat pata chali wo puri tarah se tut gayi thi... Hum khudko sambhalne ki stithi me bhi nahi the Aur hamari choti si Kashi ne chota hokar bhi khudko aur hume dono ko sambhala.... Jab humne Kashi ko dawai wali baat batai tab use bhi yakeen nahi hua kyunki Maa keval hamare hi hath se dawai leti thi..... Hum dono bachpan se hi Baba ke jaise ek bahadur police officer banna chahte the isliye humne is baare me pata karna chaha.... Aur jab humne hamare ghar ki cctv footage check kari tab hame hamari jindagi ka sabse dardnak sach pata chala.... Jis din maa gayi uske ek mahine pehle me aur Natasha humare kamre me padh rahe the.... Maa ne Hume kisi kaam se bazar bheja tha.... Humari gairmojudgi ka fayda uthake Natasha hamari Maa ke kamre me gayi aur unki dawai ki bottle me usne dheere dheere heart ko block karne ki dawai maa ki asli dawai se replace kar di ( I am not from medical background so I don't know if that's a real drug or not....).... Humne jab wo dekha tab us vishwasghat ko hum seh nahi paye..... Humne hamare pure jeevan me kisi vyakti se ek shan me itni nafrat nahi kari jitni us ek pal me Hume Natasha se ho gayi.... Magar hum ye bhi jante the ki ye cctv footage par hum uska kuch nahi bigad sakte kyunki wo bohot chalak thi .... Humne us college se transfer le liya aur padhai ke baad IB join kiya.... Humne Natasha ke khilaf saboot dhundhne chalu kiye aur dheere dheere uski saari kali kartuto ke saboot hamare pass the... Ye kafi tha use jail pohochane ke liye..... Humne use arrest karaaya aur hamare ucchadhikariyon se vinti kari ki uska confession Hume nikalwane de.....

AS was breathing heavily by now.....
HM looked at his state... He was hugging her but she was not hugging back.... But after looking at his state she hugged him tightly.....

AS - Jab humne usse pucha ki usne Maa ke sath ye sab kyu kiya tab usne Hume bataya ki use humme kabhi dilchaspi thi hi nahi..... Wo keval aur keval hamare baba ke naam par jo jayadat thi use pana chahti thi.... Baba ke baad wo puri jaydat maa ke naam par thi.... Usne socha Maa ke baad wo puri jaydat hamare naam par ho jayegi magar esa nahi hua.... Maa ne unke baad wo jaydat Kashi Aur hamari aadhi aadhi likhi thi.... Usne humse pehle hi ghar ke kagaj par hamare bharose ka fayda uthake ke sign karwa liye the...... Us ghar ke alawa uske haath kuch nahi lag paya..... Magar uske chakkar me humne apni jeevan ka sabse anmol vyakti... Hamari Maa khodi humne..... Aur hamari galti ki saza Kashi ko bhi bhugatni pad rahi he... Hum behena ke gunehgar he...... Are hum to itne bure bete aur bhai he ki hum hamare baba aur Maa ki aakhri nishani... Wo ghar jisme unhone apna jeevan bitaya wo tak nahi bacha paye.....

Again tears started streaming down his cheeks.... This time Haseena didn't wiped them because she knew this outburst was necessary for him...... After a long time his cries stopped.... She looked at him.... He had slept from the exhaustion of crying...... She with very much difficulty made him lay down on the bed and covered him with quilt..... She sat down beside him on a stool....

HM - Aapne bohot saha he Anubhav ji.... In sabme aapki galti nahi he.... Jo insan Kisi par bharosa kare uski galti nahi hoti... Balki jo us bharose ka galat fayda uthaye aur use tode uski galti hoti he..... Hum jante he aapke is dard ko dur to nahi kar sakte magar kam karne ki koshish jarur karenge....

She started going towards the couch but his innocent face and red nose due to crying stopped her.... Her hands involuntarily brushed his hairs with a cute smile.... When she realised what she was doing she quickly took her hand back....

She layed down on the couch. Sleep took over her as soon as her head hit the pillow as she was really tired.....

Precap - Abbu's bracelet....

Marriage For Mission Or LoveWhere stories live. Discover now