Kalyug Ka Kaal

6 1 0
                                    

Jab satyug ki neend se uthake
Ojhal aankhon se gita Krishna se puchi,
Aa gayi hu mai kaha
Hai ye kaisi dharti.

Uski nadani pe muskurate hue Krishna ne kaha,
Aao Gita karata hue tumhe deshantar yaha.

Na Ram , Na Krishna , Na dharma ka vaas hai
Yaha toh puja Karna bhi paap hai ,
Phir bhi har ghar me shor hai ki chale hum Ram Rajya ki oor hai .

Dharma - Dharma ke naam uthti hai talware
Manushya ishwar ko hi dene laga hai cheekh bhari lalkare.

Naari ka sammaan yaha , aam rahi nahi baat hai
Bhed - Bhaav ki nok par chalti yaha sarkar hai

Sunkar Krishna ki boli, Gitane apni ojhal aankhe kholi,
Pucha Krishna se , kya bachi nahi koi aas hai.

Ram Rajya ki oor ab asli kadam badhana hai,
Sushana ke saath chal , bhed-bhaav mitana hai .

Durga Puja me navjaat maa ko pujna hai ,
Pita ke saath maa bhi aaye , ye mumkin kar dikhana hai.

Akeli naari ko kamzor ab , hume na padne Dena hai
Maa ke naam ke saath aage , Hume ab badhna hai.

Sankskriti ke saath samaaj ko milakar, ab chalna hai
Unch-Neech ki gaath ko ab suljhana hai

Dar-Dvesh ke Bhaav ko jad se mitana hai
Mitrata ka pani daal ke , samaj ke paudhe ko ugana hai

Ram Rajya ki oor ab asli kadam uthana hai

Dil Ki Baat Where stories live. Discover now