Hmm...

36 5 4
                                    


Na paas aate hai,
Na durr jaate hai,
Na aage badh paate hai,
Na peeche mud paate hai,

Kuch log bhi hai duniya me,
Jo wahi reh jaate hai...

Na kho paate hai,
Na pa paate hai,
Na chupa paate hai,
Na keh paate hai...

Kuch log bhi hai duniya me,
Jo wahi reh jaate hai...

Na has paate hai,
Na ro paate hai,
Na mana paate hai,
Na ruth paate hai...

Kuch log bhi hai duniya me,
Jo wahi reh jaate hai...

Bohot si baatein hai,
Kitna kuch kehna hai,
Na lafz saath hai,
Na khamoshiyon ka pata hai...

Kuch log bhi hai duniya me,
Jo wahi reh jaate hai...

Na neend aati hai,
Na waqt jaldi guzarta hai,
Milne ko aankhein tarasti hai,
Aur dil yun hi bechain ho jaata hai...

Kuch log bhi hai duniya me,
Jo wahi reh jaate hai...

Tasveeron se baat hoti hai,
Par samna nahi kar paate hai,
Durr ho kar bhi unse,
Na jaane kyun paas reh jaate hai...

Kuch log bhi hai duniya me,
Jo wahi reh jaate hai...

Uski har khushi ki dua dil karta hai,
Usse dard me dekh kar dil dukhi hota hai,
Uski khushi ki wajah chah kar bhi nahi ban paate,
Uske dard ka hissa chupa kar khudme baat lete ho...

Hum saath ho kar bhi,
Aasmaan aur zameen ban gaye,
Hum poore ho kar bhi,
Adhure hi reh gaye...

Kuch log bhi hai duniya me,
Jo wahi reh jaate hai...

Kuch log bhi hai duniya me,
Jo wahi reh jaate hai...

- A.K
@tashreeh.writes

Shayari's... (Hindi Shayari's)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें