Maa...

12 1 0
                                    


Dekhbhaal meri apne bachhon ki tarah karte hai,
Pyaar mujhse bhi bohot karte hai,
Apne din bhar ke kaam me meri bhi fikar kar leti hai,
Ek Maa hai meri jo meri nahi hokar bhi meri hai...

Mujhe sahi raastein sikhati hai,
Bhatak bhi jaoun toh mil jaati hai,
Kho jaoun toh dhundh laati hai,
Ek Maa hai meri jo meri nahi hokar bhi meri hai...

Janti hai ki mai khana jyada nahi khata,
Ya yun kahun toh na ke barabar hoon khata,
Fir bhi mujhe ullu bana kar prem se 2 roti paros dete hai,
Ek Maa hai meri jo meri nahi hokar bhi meri hai...

Mujhe apna hi manti hai kabhi bhi bhedbhav nahi karti,
Bus thodi naaraz rehti hai iss baat se ki mai phone kyun karta unhe,
Meri zindagi ka hissa sa lagne lagi hai woh,
Ek Maa hai meri jo meri nahi hokar bhi meri hai...

Pedh ki chhaya dekar mujhe dhoop se bacha leti hai,
Thodi si kharoch bhi aaye toh pareshaan ho jaati hai,
Mujhe koi taqleef toh nahi haina ye baat hamesha puchte hai,
Ek Maa hai meri jo meri nahi hokar bhi meri hai...

Unse kehna toh chahata hoon kayi baar,
Par ye bhi janta hoon woh jante hai sab kuch,
Mere baarein me sab kuch hai unhe pata,
Ek Maa hai meri jo meri nahi hokar bhi meri hai...

Rote hove bachhe ko sambhala hai unhone,
Pyaar se apna beta bulaya hai unhone,
Iss gair ko kaise apnaya hai unhone,
Ek Maa hai meri jo meri nahi hokar bhi meri hai...

© A.K
@tashreeh.writes

Shayari's... (Hindi Shayari's)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें